Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 2225
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: If Wazoo during jamat namaz is broken or have a doubt then should we broke the namaz right at that time or wait till jamat ends and again offer the namaz alone.

Answer: Doubt has no value. (Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : July 4, 2011)

Id: 2305
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salamun alaikum....mera sawal ye hai k agr hm namaz padh rahe ho aur koi hme salam kare to hme kya karna chahiye...

Answer: Agar koe shaks kisi aisay shaks ko salam karay k wo shaks namaz perh raha ho tu tu namaz perhnay walay shaks k liay zarori hay k jawab day.laikin jawab salam k jaisa ho yani zarori hay k asal salam per izafa nah ho,…maslan agar kaha gaya ho : salaamun alaikum tu jawab main kahain :salaamun alaikum or agar kaha gaya ho k: assalaamo alaik tu jawab main kahain: assalaamo alaik or agar kaha gaya ho: alaikumos salaam k jawab main alaikumos salaam, assalaamo alaikum, salaamun alaikum kehsaktay hain.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 1124) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 2306
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ASalam o Alaikum mara app sa 2 sawal ha ak 1 kaya tshirt main namaz hoti ha? 2 ager namaza maghrib main 3 ka bjaye 4 farz ho jaye to kaya namaz ho jati ha bajamat?

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. 1)Jee haan T shirt me namaz ho jati he.merdo k liay namaz main haatho ko chopana wajib nahi hay. 2)Namaz e maghrib ki 3 rakaat hein aur 4 prhnay se namaz baatil ho jati he. Jab namaz k wajibaat me se koe cheez jaan boojh kar kam ya ziada ki jay to chahay aik harf hi q na ho namaz batil ho jati he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 786-834, 1250) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2311
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mujhe nawaz padhne ka tarika yani 5 waqt me kitni rakat padhi jati h aur kis waqt kitna rakat padha jata h

Answer: Rozana ki wajib namazain 5 hein. 1, 2 - Zohor 4 rakaat or Asr 4 rakaat(zohr aur asr ki namaz ka waqt zawal e aftaab k baad se garoob e aftaab tak he. ) 3,4- Maghrib 3 rakaat or isha 4 rakaat (magrib aur isha ki namaz ka waqt maghrib honay se aadhi raat tak baqi rehta he.) 5- Fajar 2 rakaat (Fajar ki namaz subah k qareeb mashriq ki taraf se aik safaidi opper uthti he jise fajar e awwal kaha jata he aur jab ye safaidi phail jaay to wo fajar aur subah ki namaz ka awwal waqt he aur subah ki namaz ka aakhri waqt suraj nikalne taq he.) (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 717 to 729) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2411
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salaam Kya Namaz Ko Ham Apni Madri Zabaan Me Pad Sakte Hai Plz Ref. ke Saat bataye

Answer: Prayer must be in arabic. (Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : August 2, 2011) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2439
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: namaz main shahadat e salisa parni chaye ya ni

Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina par namaz mai parhna jaaiz nahi hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01758/) [Updated on 05-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 2469
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Namaje isha me kitni rakat hoti he...?

Answer: Namaz e isha ki char (4) rakaathoti hein. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla rozana ki wajib namazain pg # 122) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2704
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia namaz-e asar k baad bulan awaz k sath zikr jaez hey?

Answer: 1) Mard aur aurat par ehtiyaat ki bina par wajib hay k namaz e zohar aur asr may al-hamd aur surah aahista awaaz se parhay. (Ref : Tauzeeh e ul Masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 979) 2) Mard aur aurat par ehtiyaat ki bina par wajib hay k namaz ki teesri or chothi rakat main Al-hamd ya tasbihaat e arba,ah aahista awaaz se parhay. (Ref : Tauzeeh e ul Masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 994) 3)mustahab hay k namaz e zohar aur asr ki pehli or dosri rakato main bismilaah buland awaaz se kahain.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah#1004 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2769
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Namaz me hath kidar bana chahiye aur rafadeen ka tarikh

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. 1) Apnay hathoon ko aajizi aur adab ki niyat se baandhnay se namaz ehtiyaat e wajib ki bina per batil ho jati hay.or agar namaz main haath baandhnay ka kaam shariyat ka hokum samajh ker karain tu aisa kerna haram bhi he . 2) Mustahab hay k namaz ki perhi takbeer or namaz ki dermiyaan digar takbain kehtay waqt haatho ko kano k baraber tak lay jain(yani rafa yadain karain).(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 944,1113 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3159
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ager kana samney ho to pehlay dinner or lunch karna chaheay ya namaz perhani chahiay

Answer: Behter ye hay namazi namaz ko awwal e waqt main ada keray, laikin agar koe dosra shaks is shaks{namzi} ka intezaar ker raha ho{k is k saath khana khaay ga} ya isay{namazi} itni bhookh lagi ho k huzoor e qalb k saath namaz nah perh sakta ho tu behter ye hay k pehlay khana khaay laikin jahaan tak mumkin ho fazeelat k waqt main hi ada karay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1720). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!