Question: Aslam o alaikum mera sawal ye hai k andhere me namaz Parna jaiz hai k nahe ?
Answer: Andhere me namaz Parhna jaiz hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1113-1143 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Teesre aur chothee rakat mai kya prhna chaheyay surah fatiha k sath koi ayr surah ya phr sirf surah fatiha??
Answer: Sura fatiha pharain ya 1 dafa tasbehaat e arbaah or 3 dafa pharna betar hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 992 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)
Question: salamun allaikum...! sir me ek din namaz e shab ada krahi thi..namaz e shifa k doran bht khatarnak zalzla aya js se be-ikhiyari me mjh se namaz toot gai...!! to kia koi kuffara hoga..? or khof se namaz k toot jane k ehkam b bta dijiye...!
Answer: Ikhteyari halat me wajib namaz ka tourna ehteyat wajib ki bina jaiz nahe hai. laikin maal ki hifazat aur maali ya jismani zarar(nuqsaan) se bachne k lye namaz toorne me kohe haraj nahe balke wo tamam deni aur dunyavi kaam jo namazi k lye aham ho ,in k lye namaz toorna jaiz. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33th edition, maslah # 1146) Laikin mustahab (sunnat) namaz halate ikhteyar me bhi tourna jaiz hai. (ref: ulwatul wusqa, aqa sistani , pg: 21o, jild: 2.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Aoa ... agar kisi ko hawa k ikhraj se wuzu toot janay ki shakayat ho or bohat zada ho kabhi aese ho k aik he wuzu se namaz parhi jae r zada tar aik he namaz k liye aik se zada baar wuzu karna pare or usse wehan bhi par gya ho tw isya hukm . hai.?
Answer: Agar kise ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day. 2)Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hoti ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay. 3)jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306-311) 4)agar kise shak ko ye areza lahaq ho k riha(gas) rokene per qadir na ho to zarore hai k un loago k fareze k mutabiq amal kare jo pheshab aur phakhana rokhne per qadir na ho . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #314 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kaza namaz kha aur kab aur kaise pade
Answer:
Question: Wajib namaz mein taqbeer k baad foran neyat krni hoti hai ya azaan or akamat bhi deni hoti hai? Aurton k lye bata dain plzzz. Or rozay mein agr novels parhy jaien jo love stories houn tou kia ye theek hai???
Answer: Namaz ki niyat k sath takerbatul Ihram kehni wajib hay, takbeer k baad niyat nahi ki jati. Panch waqt ki wajib namazo se pehle azan o iqamat daina mustahab hay. roze main koe bhi shehwat paida kerne wala kaam makhooh hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #903,1629). Update on dated 21-06-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: barish ke waqt kounsi namaz padhi jati hai
Answer: Barish k waqt koe bhi namaz perhna wajib nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # before 717). Update on dated 01-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assallamallekum mera sawal ye hai ki mai jab namaz padh leta hun tab mujhe sak sa hota hai ki mai namaz me kahin bhul kardiya hun ya kuch chhood diya hun to aaise me mai kya karun pls ans.mai bahot problem me hun.
Answer: Agar namaze k salam k baad shak kare k us ne namaz sahi perhi hai ya nahi to wo apne shak ki perwa na kare. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1166). Update on dated 12-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Isha ki namaz KB tk parhi ja skti ha agar jumat sa rah jay
Answer: Isha ki namaz ka waqt mukhtar shakhs k lie aadhi raat tk hai. aur raat ka hisab suraj guroob honay ki ibteda sai toloe e fajar tk hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 727) . Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mujhe isha ki namaz ka waqt nahi milta hai Mai kya karu
Answer: Maghrib aur isha ki namaaz ka waqt mukhtaar shakhs k liay aadhi raat tak rehta hai laikin jin logo ko uzr ho maslan bhool jaane ki wajah se ya neend ya haiz ya in jaisi dusre umoor ki wajah se aadhi raat se pehle namaaz nah parh sake hoon to on k liay maghrib aur isha ka waqt fajr tulu hone tak baaqi rehta hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 724 ) (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). [Updated on 29-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]