Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 12213
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya hm sote hue inssan k samne namaz parh sakte hain kya namaz qabool hoge?

Answer: G han parh sakte hain,lekin kisi inan ke muqabil namaz parhna makrooh hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #885). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12269
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya Aurat mard k pichy namaz parh sakti hai

Answer: Jee han, aurat mard k peeche jamaat ke sath namaz ada kar sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41, maslah#1414) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12345
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalam u alikum mera sawal ye hai ke agar namaz mein koi lafz do bar ada kr dia jai tu is se namaz dobara parhni hu gi

Answer: Jee nahin namaz dobara nahin parhni hogi, balke wohi Namaz sahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 54,pg # 39) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12705
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar namaz parhaty hua samnay khali charpai ho to kya namaz ada ho jati hy

Answer: jee namaz hojaati hai ye namaz k baatil hone ka saba nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1113). [Updated on 23-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12953
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya asar ki namaz kay sath zohar ki namaz pardh sakty han or kya hm zohar ki puri namaz pardh sakty han

Answer: Jee han parh saktay hain, Q Zuhur or Asr ki namaz ka waqt zawal e aaftab (Zuhur e sharee) k baad se guroob e aftab tak hay. lakin phele zohor ki namaz perhe ghe us ke baad asar ki (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #718). [Updated on 09-May-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13061
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa. Agar jan ka khatra na ho magar apna shia hona reveal karein gay to ahle sunnat hamara mazak banain gay to is situation me unkay pichay haath bandh kr namaz parh saktay?

Answer: 1) Namaz me majbori ya taqayyah ki waja se hath per hath rakna aur taqayya ki waja se aameen kehna jaiz hai. ( Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1117) 2) Jo shaks majboori ya taqayya ki halat me roza iftaar karay os k liay in rozo ki qaza karna zarori hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1659) Note: Taqayyah deene istelah me jaan bachane ki khatir apne aqede ko chupaane ke mana me istemaal hota hay, ( sirf sharmindagi se bachne k liay namaz ehlay sunnat ki tariqay k mutabiq perhna ( maslan namaz me hath baandhna durust nahin)). orahlesunnat imam jamat ke peche ,agar koi shia khud alhamd or surah ki qiraat kare agarche aaista tu namaz sahe ho sakte hay laikin ahlesunnat ke sath namaz juma kafi nahe .ise tarh namaz maqrib chuke waqt se phele hote hay in ke sath sahe nahe hay. (ref: sistani.org,urdu,taqayya,jadeed masail,aqa sistani, jild :4 pg no: 183 ) [Updated on 29-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13078
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: BAHI CHAR RAKAT NAMAZ MA SURTH FAITH KA BAD KOI SURTH 4 BAR MILLTAY HA OR DO BAR MILLTA HA

Answer: Namaz ki 3rd aur 4th rakat me faqat aik dafa surah e al hamd ya aik dafa tasbeehat e arbah perhi ja sakhti he. Yani namaz parhne wala aik dafa kahay “subhaanal laahi wal hamdo lillahi walaa ilaaha ill’lal laa ho wal laaho akbar” aur behter he ke is ko 3 dafa kahain. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 992) [Updated on 14-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13197
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa. Agar jan ka khatra na ho magar ye ho kay agar apna shia hona reveal kia to ahle sunnat hamara mazak urain gay to kia is surat me ahle sunnat kay jammat me ya furada unke saath hath bandh kar namaz ho jai gi?

Answer: 1) Namaz me majbori ya taqayya ki waja se hath per hath rakna aur aameen kehna jaiz hai. ( Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1117) 2) Jo shaks majboori ya taqayya ki halat me roza iftaar karay os k liay in rozo ki qaza karna zarori hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1659) Note: Taqayya os sorat main kia jata hay jab insaan ki jaan o maal ko khatray ka imkaan ho, sirf sharmindagi se bachne k liay roza waqt se pehlay khoolna ya namaz ehlay sunnat ki tariqay k mutabiq perhna durust nahi. [Updated on 06-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13282
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agr hum kisi ko barehna halat ma dekh lyn, or foran nazryn hata lyn, to humyn is sorat ma kia krna hoga next namaz parhany se pehly?

Answer: Agar lazzat ka qasd na ho aur haraam mein mubtala honay ka khauf na ho to koi (haraj) nahi hay. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani (d.b), Edition 39th, Mafhoom e Masla No. 2397) [Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13336
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA, Mera Sawal yeh hy k Kia Namaz Hath Band kr Parhana durust amal hy ? Ahadees Ma Hath khol kr or Bandh kr dono milte hy tu kai Hum bandh kr adda kr skakte hy ?

Answer: W/alaikum o ssalam, (Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein). 1: Ahle sunnat ki mustanad tareen kitab me moujood hai k rasool akram namaaz hath khool kar perhte the. (Ref: saheeh bukhari jild 1, pg: 385). 2: Apnay hathoon ko aajizi aur adab ki niyat se baandhnay se namaz ehtiyaat e wajib ki bina per batil ho jati hay. aur agar namaz main haath baandhnay ka kaam shariyat ka hokum samajh ker karay tu aisa kerna haram bhi he.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Before Masla # 1117). 3: Aurat or mard dono ko chahiye k hathon ko raan per rakh kar namaz parhen.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition # 31st, maslah # 964) [Updated on 31-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!