Question: Assalam alaikum mai sunni converted hun aur mere ghar wale sunni hai tou taqayya ikhtiyar karsakta hun aur agar karsakta hun tou kia namaz o roza Sunni tariqe se khol sakta hun?
Answer: 1) Namaz me majbori ya taqayya ki waja se hath per hath rakna aur aameen kehna jaiz hai. ( Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1117) 2) Jo shaks majboori ya taqayya ki halat me roza iftaar karay os k liay in rozo ki qaza karna zarori hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1659) (Note: Taqayya os sorat main kia jata hay jab insaan ki jaan o maal ko khatray ka imkaan ho, aur agar is tarh ka mamla nahin hai to Taqayya nahin kar saktay ya sirif sharmindagi se bachne k liay roza waqt se pehlay khoolna ya namaz ehlay sunnat ki tariqay k mutabiq perhna durust nahi.) [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sharab pene ke bad kitne din tak namaz nahe hoti
Answer: sharaab gunahan e kabeera mai sai aik hai aur riwayaat mai yahan tak moujood hai k 40 din tak sharaabi ki namaz qubool nahi hoti, Albatta nama parhna wajib hai. aur khuda, farishte, ambiyaa, or momineen us par laanat bhejte hain.(Ref:Tauzeeh ul masasil aayatullah seestani edition 41 maslah no 2596) [Updated on 06-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya aurat ka namaz parhte waqt pital ki koi cheez pehnna jaiz ha
Answer: Jaiz hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah seestani (d.b), edition#41, Mafhoom e maslah # 820). [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Namaz me nigah ka kya hukm hai
Answer: Namaz me dehaan k lye halat qiaam me apni nazar sajdegha per , halat ruku me dono qadmo k darmiyaan aur jab baitha ho to apne daman per nigha rakhe . ye chese kise ki namaz me tawaju paida kare ghi aur is k shak ki halat me kami ka sabab bane ghi. .(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 76, sawaal # 4 pg #42) [Updated on 16-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia magrib or isha barish me akhti pri ja skti ha
Answer: Aik waqt main 2 namazain perhna jaiz hay. yani namaz e zuhar say farigh ho ker namaz e asr ko perha jaay or isi terah namaz e maghrib say farigh ho ker namaz e isha ko perha jaay. aur bay shak hamary nabi(s.a.w.w) nay is terah zuhar or asr ki namaz or maghrib or isha ki namaz ko baghair majboori k jama ker k perha tha. (Ref: website ayatullaha sistani http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=112 ). [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr koi insan agy leta jo to Namaz ho jati hy?
Answer: Jee han, parh sakte hain lekin kisi insan k maqabil mai namaz parhna makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 885) [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Fajar ka waqt aj kal 5:25 ha rawalpindi ma lakin baz masjido ma azan 4:45 py di jati ha kia ye sahi ha ? Jab k namaz ka dhakhili waqt 5:25 ha. Waqt se pehly azan daina sahi ha kia? Hum namaz parh sakty han ??
Answer: Jee nahi, waqt sai pehle namaz nahi parhi ja sakti. aur azan o iqamat musthab hai is ke bager bhi namaz ho jati hai.(Ref:tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 730,903). [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya ourat geely balon k sth namaz ada kr skti hai?
Answer: agar tamaam sharait poori hai tou bazaat e khud geelay baalon k saath namaz ada karne mai koi maslah nahi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1113). [Updated on 06-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya gas rook kh namaz parh sakty hai Agar ap ko gas ki problem Ho tu
Answer: Agar riyaah(gas) ko rok kar pori namaz perhli jaey tu namaz durust hay. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #41st, Mafhoom e Maslah #312-314). [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nikah k bad miya biwi sath sote hain kya namz k liye dusrey kapde pehne chahiye ya wahi same kapde me namz ho jayigi
Answer: Agar kapre pak hon to unhi kapron men parh sakte hain. Q k Namaz parhnay walay ka libas paak hona zaroori hai. Aur agar koi shakhs halat e iktiyari mai najis libas k sath namaz parhay to is ki namaz batil hai. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Masla #787) [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]