Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 1191
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asalamoalikum imam sb mera app say sawal hai k jab may paint pehanta ho to namaz k doran usay nechay say fold karo ya nahi pls jald jawab day sukriya

Answer: Aisa kerna wajib nahi hay.(Ayat Ullah Khoie(d.b),Tauzee hul masail, maslah#806-847).

Id: 1245
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar namaz padte waqt koi aur kaam dimaag me aa jaay to namaz makru ho jati hai.

Answer: Har wo kaam jo namaz k hosho o khozoo ko khatam kar de makrooh he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1144) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1248
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is it Haraam or Makhru to pray Namaaz(Salaat) in front of a mirror?

Answer: Aainay(Mirror) k saamnay namaz perhna makhroh hay. (Ref : email rcvd from A.sistani(d.b),dated Mar 19, 2010) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1278
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: isha ki namaaz mein kitne rakaat hote hain?

Answer: Isha ki Namaz 4 rakaat perhna ferz hay. or 2 rakat namz naïfl(mustahab/sunnat) hay jo k ehtiyaat e wajib ki bina per baith ker perhni chahiay.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 717 se pahle,or maslah# 752,754). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1298
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalaam-o-alaikum.maine isha me 17 rikaat ki jaga 19 rikaat padhli hai to kya mujhe iski tauba karni chahiye

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Isha ki namaz 17 rakaat nahi hay bakeh rozana k paancho ferz namazo ki rakaat ki kul tadaad 17 hay. Isha ki 4 rakat namaz ferz hay or 2 rakat namaz nafil(mutahab/sunnat) hay jo k ehtiyaat e wajib ki bunyaad per baith ker perhni chahiay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 717 ka muqadma or maslah#752) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1355
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya namaz me niyat karna jaroori hai.from bukhari shariff

Answer: Is site per fiqh e jafariya k mutabiq jawabaat diay jaatay hain

Id: 1363
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: MERA SAWAL YHE HE KE KYA MARDE BINA SARE (HEADE)DHAKE NAMAZ PAR SAKTE HE

Answer: Jee haan.bina sar dhakay namaz pehna jaiz hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#852).

Id: 1386
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ek shia muslim jo dil se imaan pe yakeen rakhta hai sab nek kaam karta hai koi gunah k kaam nahi karta magar namaz pabandi se nahi padta uske liye kya hukum hai..?

Answer: Namaz deni aamal me se aik behtreen amal he. Agar ye bargah e allahi me qabool ho gye to dosri abadat bhi qabool ho jayen gi aur agar ye qabool na hui to dosray ammal bhi kabool na hoon ge. Rasool akram(p.b u h ) ne farmaya he ke “ jo shaks namaz ko ah’miat na de aur use mamuli cheez samja vo aakhirat me azaab ka mustahiq he” (ref tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b pg no 121)

Id: 1470
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: pls tell me about namaz ke wagibat

Answer: Wajibat e namaz 11 hein. 1) niyat 2) qayam 3) takbeeratul ahram yani Allaho akhber kehna 4) rukooa 5) sujood 6)qaraat 7) zikr 8)tashshahud 9) salam 10) tarteeb 11) mawalat yani ajzay namaz ka pe dar pe bajalana. (ref tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b pg no 155)

Id: 1569
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam, mera ek problem hai k, mein jab namaaz parhti hn tou pta nai q parhnay sey phlay bht khushi hoti hai k Allah k samanay jaa rahi hn mgr parhtay waqt bs dil karta hai k jaldi sey khatam ho jaye, koi wazeefa bhhi mustaqil nai kar pati, plz help

Answer: Surah aur namaz parthe waqt un k mani ki taraf tawajah dein. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1004)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!