Question: Aaslamu alikaum Moulana saheb mere sawal hai key. 4rakath fard jo padh thai hai. 1st or 2nd rakath mein sureh fatiha baad mein koye ek sura. mujhe yeh poochna hai key 3rd or 4th rakath mein kiya padhna chahen?
Answer: Namaz ki 3rd aur 4th rakat me faqat aik dafa surah e al hamd ya aik dafa tasbeehat e arbah perhi ja sakhti he. Yani namaz parhne wala aik dafa kahay “subhaanal laahi wal hamdo lillahi walaa ilaaha ill’lal laa ho wal laaho akbar” aur behter he ke is ko 3 dafa kahain. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 992)
Question: Namaj me rafaden karna kaisa hai iski sahi hadis bataye
Answer: Mustahab hay k namaz ki pehli takbeer or namaz ki dermiyaan digar takbain kehtay waqt haatho ko kano k baraber tak lay jain(yani rafa yadain karain).(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 942 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: namaz main qirat kar na ka islami bayan kya hai? yani buland ya ahista awaz se padna chahiay? please is question ka answer islami taleemat ki roshni main bayan kar dain. thanks a lot.
Answer: Mard per ehtiyaat ki bina per wajib he k subah , maghrib aur ishaa ki namazoon me al-hamd aur surah buland aawaz se parhay aur mard aur aurat danoo per ehtiyaat ki bina per wajib he k namaz e zohar aur asar me al-hamd aur surah aahista parhain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 979). Was-salam
Question: asalamualikum, mera sawaal hay ki agar hum nimaz pad rahay hay aur walidien may say koi aawaz day to jawaab deynay ka tareeqa hay ,meharbani karkay donu yanay faraz aur sunnah nimazu ka hawalla dy,, shukriya
Answer: Ikhteyari halat me wajib namaz ka tourna ehteyat wajib ki bina jaiz nahe hai. laikin maal ki hifazat aur maali ya jismani zarar(nuqsaan) se bachne k lye namaz toorne me kohe haraj nahe balke wo tamam deni aur dunyavi kaam jo namazi k lye aham ho ,in k lye namaz toorna jaiz. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33th edition, maslah # 1146) Lekin mustahab (sunnat) namaz halate ikhtiyar me bhi torna jaiz hai. (ref: ulwatul wusqa, aqa sistani , pg: 21o, jild: 2.)
Question: how many wajibat e namaz???
Answer: Wajibat e namaz 11 hein. 1) Niyat 2) Qiyam 3) Takbeeratul ehraam yani Allaho akhber kehna 4) Rukoo 5) Sujood 6) Qiraa,at 7) Zikr 8) Tasha,hud 9) Salam 10) Tarteeb 11) Mawalaat yani ajza,ay namaz ka pe dar pe bajalana. (Ref tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b pg no 155) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya namaz mein quran dekhkar padsakte hai
Answer: Namaz ki halat me quran majeed ki tehreer ko dekhna jaiz hay or namaz batil nahi hogi, magar makrooh he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1144). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ASSALAM O ALAIKUM muj say har subah ki niamaz kaza hote hai or mai phie is ko kaza par be laita ho magar yai mai buhat aarsai say kar raha hoo yai tareka tek hai
Answer: Namaz deni aamal me se aik behtreen amal he. Agar ye bargah e allahi me qabool ho gye to dosri abadat bhi qabool ho jayen gi aur agar ye qabool na hui to dosray ammal bhi kabool na hoon ge. Rasool akram(p.b u h ) ne farmaya he ke “ jo shaks namaz ko ah’miat na de aur use mamuli cheez samja vo aakhirat me azaab ka mustahiq he” (ref tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b pg no 121) 2)Aankh na khulnay ki wajah se agar namaz e fajar qaza ho jay to ulma farmatay hein k agar sonay se pehlay surah e baqra ki ayat no 125 ko 3 bar sotay waqt parh lay aur khuda se moien waqt per jagnay ki dua karay to wo os waqt jag jay ga. (ref : Kitab payam e shifa pg # 186) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kya namaz padhte waqt quran dekh kar padhna sahi hai? Agar sahi hai to plz hawale k sath bayan karen.
Answer: Namaz parhtay huay quran majeed ki tahreer ko dekhna makrooh he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1144) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Khawateen ke Namaz ka complete Tariqa with Faraiz,Wajibaat and sunnat
Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Question: hw much distance is necessary for a women to keep when offering prayers with a man by her side?
Answer: 1) As an obligatory precaution, women should stand behind men while praying. At least, her place of Sajdah should be in line with his thighs, when in Sajdah. 2) If a man and a woman are standing side by side in namaz, or woman is in front, but there is a wall, curtain, or something else separating them, so that they cannot see each other, the prayers of both of them are in order. Similarly, the prayers of both will be valid if the distance between them is ten arms (460 CM). (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 873 , 875) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)