Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 354
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: if the weather is cloudy,what do we do for maghrib prayer,if there is very dark before time

Answer: B.T. badal ya in jaisi rukawato ke mawqe par..... ahteyat lazim ye he ke namaz me us waqt tak takhir ki jaye jab tak ke waqat shuru ho jane ka itmenan hasil ho jae. (Aqai Sistan d.b. minhajus salehin masala no. 507)

Id: 360
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ask mein jahan job karta hoon uske wajeh se meri asar & magrib ki namz kaza ho jati hai. aesi job karna mere liye KYA thik hai. agar

Answer: agar is mulazimat ko jari rakhna is musalman ki majboori hai to jaisay bhi mumkin ho waqt par aur ada (ki niyat se) namaz bajalae, agarchay ruku aur sujood kay liyay ishara karna paray. lekin yeh sirf aik farzi surat hai jo aaam halaat mein paish nahi aati. musalman ko chahiyeh key ho Khuda se daray aur aisi mulazimat ikhtiyaar na karay jis ki khatir shariyat ka woh aham farz tark karna paray jo ke deen ka sutoon (pillar) shumaar hota hai. REF: A.Sistani, jadeed fiqhi masail, pg no. 84, masla no. 87.

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 401
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: why we pray Zuhar and usar namaz at same time as well as mughrab and isha namaz?

Answer: chunke namaze zohar aur asar ka waqat zawale aftab ke bad shuru ho jata he aur isi tarh namaze maghrib aur esha ka waqat maghreebe sharee ke bad ho jata he, yaani namaze zohar padh sake itna waqat guzar jae to phir namaze asar ka waqt shuru ho jata he aur isi tarh namaze maghrib padh le itna waqat guzar jae to namaze esha ka waqt shuru ho jata he (ref: tawzihul masail Aytullah Khoie (r.a.) masaala no.738 & 743)

Id: 489
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: The summer days are very long in germany and i go to work early in the morning so i sleep at 9 pm and isha is sometimes at 11:00 pm . can i pay isha with maghrib? please answer because my father in law told that it is allowed in islam. thank you

Answer: b.t. namaze esha ka fazilat ka waqt asman ki surkhi zael hone (jo namaze maghrib ke baad maghrib ki simt me hoti he) ya rat ka ek tehai waqat khatam hone tak he. (www.sistani.org topic: awqate namaz qu.no.8)

Id: 709
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 5 wakth namaz me kitne rakat namaz padna hai

Answer: Rozana ki wajib namazain 5 hain: Fajar(2 rakat), Zuhar(4 rakat), asar(4 rakat), magrib(3 rakat), esha(4 rakat).(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, pg122#)

Id: 876
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: if the time for namaz and matam in majlis occurs at the same time so to what will we give preference

Answer: Munasib nahi he k namaz me takheer ki jaay. Aur is qadar takheer karna jaiz nahi he k namaz qaza ho jaay. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4, ques # 191 , pg # 88). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1067
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asslamoalikum kya ak waqat main 2 namaz parh sakty han to ager parh sakty haan to kasy kya tareeqa hai

Answer: Aik waqt main 2 namazain perhna jaiz hay.yani namaz e zuhar say farigh ho ker namaz e asr ko perha jay or isi terah namaz e maghrib say farigh ho ker namaz e isha ko perha jaay.or bay shak hamary nabee(s.a.w.w) nay is terah zuhar or asr ki namaz or maghrib or isha ki namaz ko baghair majboori k jama ker k perha tha.laikin afzal ye hay k tamam namazo ko alag alag on k fazeelat k waqt main perha jay balkeh awwal e waqt main perha jay. ( Ref : website ayatullaha sistani http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=112

Id: 1133
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salamoelekum,What are the prayer times & direction of Qibla in Fortmcmurray Alberta provice Canada.Please reply on my e.mail address.

Answer: 1)Zohar aur asr ki namaz ka waqt zawal e aftab k bad se suraj garoob honay tak he. Magrib aur isha ki namaz ka waqt mukhtar shakhs k liay magrib e share se le kar aadhi raat tak he. Fajar ki namaz subah k qareeb mashriq ki taraf se aik safaidi upper uthti he jise fajar e aw’wal kaha jata he aur jab ye safaidi phayl jaay to wo fajar aur subah ki namaz ka aw’wal waqt he aur subah ki namaz ka aakhri waqt suraj niklne taq he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 718 , 724 , 729). 2) Jo shakhs namaz parhna chahay to zurari he k qible ki janib ka ta’ey’yun karnay ki koshish karay ta’keh qible ki samth k baray me yaqeen ho jaay maslan 2 aa’dil admi ki shahdat jo hiss (sense) ya is jaisi kisi cheez ki bunyaad per qible ki samth ki sahadat de. Ya masjid k mehrab ko daikh kar ya momineen ki qabroo ko daikh kar ghuman paida ho us per amal kar lain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 770) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1155
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: fajar ka waqt kab se kab tak hota hai ?yani fajar ki namaz ka akhari waqt kab tak hota hai

Answer: Farj ki azaan k qareeb mashriq ki taraf say aik safaidi ooper uthti hay jisay fajr e awwal(first) kaha jaata hay.jab ye safaidi phail jaay tu wo farj e dowum (second) or subah ki namaz ka awwal waqt hay or subah ki namaz ka aaKhri wqat suraj(Sun) nikalnay tak hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#729) .

Id: 1494
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: fajar ki namaz ka afzal waqt kya he?

Answer: Subah ki azaan k qareeb mashriq ki taraf se aik safaidi ooper uthti he jise fajar e awal kahte hein jab ye safaidi phail jaay to wo fajar e doum aur subah ki namaz ka awal waqt he aur subah ki namaz ka akhri waqt suraj niklne tak he.subah ki namaz ka waqt e fazilat fajar k waqt say os waqt tak hay k jab subah aasmaan per zahir hojaay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 729) Subah ki namaz ka waqt e fazilat fajr say lay ker subah ka asmaan per zahir honay tak hay,or awal e fajr ki tareekhi main subah ki namaz perhna afzal hay.(Ref: sistani(d.b),minhaajus saliheen, part#1,maslah#504).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!