Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 3081
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: bismihi ta aa la....mera sawal ye he k qaza namz kis waqt me parh sakte he?kiya zahar ki qaza asar k waqta me parh sakte he? or fajar ki qaza zawal k baad parh saktehe? ya zahar k waqt me? aap ki duaa ka mustahik hu?

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Qaza namaz ko din o raat main kisi bhi waqt perha ja sakta hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Minhaajus saliheen,part#1, maslah# 721). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3245
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalam 0 alaikum qaza umri ki namaz kis tarha ada ki jae

Answer: Yomiyah namazo ki qaza main terteeb laazim nahi hay siwaay on namazo k jin ki ada main terteeb hoti hay.maslan aik din ki namaz e zuhar or asr ya maghrib or ishaa(yani jab bhi qaza namazain perhain tu pehlay zuhar se pehlay asr nah perhain or isi tarah isha ko maghrib ki namaz se pehlay nah perhain ). (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1358) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 3275
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslam alykm Jnab kya koi aisa formula hai jisse fajr ki nmaz kza n ho

Answer: Jis shaks ko yaqeen ho k agar main so gaya tu namaz e subah k liay baydaar nahi ho sakon ga tu wo kisi k zimmay laga sakta skata hay k wo namaz k liay osay jagaay ya wo timepiece (Alarm) istemaal karay or agar ye dono mumkin nah hoon tu sonay se gunahgaar nah hoga magar ye k urf(awaam) k nazdeek osay namaz k silsilay main susti or gaflat kerne wala samjha jay.(Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 83). Wazifa: Jo shaks namaz se ghafil rehta ho wo 7 baar sorah e mominoon(sorah#23) ki tilawat karay tub a-qaaidgi se namazain perhne lagay ga.(Ref: dun o akhirat ki 100 preshaniyo ka hal, pg#5). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3520
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aslamualikum mera swal ye hai ke humari umer 40 saal hai life me kabhi namaz padi aur kabhi nahi padi ager khaza padni hai tu kaise hisab lagoon?

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. 1)Jis shakhs ne apni namaz un k apnay waqt me na parhi hoon to zarori he k un ki qaza baja laay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1356 ). 2) kisi shaks ko qaza namazo ki tadaat yaad nah ho k os nay kitni namazain nahi parhi hain maslan wo ye na janta ho k 3 thi 4 thi ya 5 thi to agar wo chotay adad k hisab say parh lay to kafi hai lakin behtr ye hai k itni namazain parhain k osay yaqeen ho jae k sari qaza namazain parh li hain maslan agar wo bhool gya ho k os ki kitni namazain qaza hui thi aur osay yaqeen ho k 10 sai ziada na thi to ehtiyatan 10 namazin parhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1364)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3571
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mere betay ki umar 29 hai, us ne namaz 1 mah se regular pardhna shuru ki hae, baki umar nhi pardhi ab us ki qaza namazo ka kia hoga, kia us ko pura karne ka koe hal majood hae please reference k sath bateye ga.

Answer: Jab say aap ka beta baligh hua ho os waqt say ab tak ki namazain qaza parhni parain gi maslan aap ka larka 1 januray 1998 ko chand k hisab se 15 saal ki umer may baligh hua ho to os ko 14 saal ki qaza namazain parhni parain gi. Aur yaad rakhain k jis ki namaz qaza ho jain to zarori hay k is ki qaza parhnay may kotahi na karay albatta in ka foran parhna bhi wajib nahi hay. Aur yomiya namazoon ki qaza karnay may tarteeb lazim nahi hay magar in namazoon may jin ki ada may tarteeb hay maslan aik din ki namaz e zohar aur asar ya maghrib aur isha. Aur jab tak insan zindah ho chahay wo apni qaza namazain parhnay say qasir hi Q nah ho koe doosra shakh oski qaza namazain nahi parh sakhta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1356-70 ) . (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)

Id: 3640
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asalamoalaikum. ager kisi ka fazar,zohar,aur asar ka namaz kaza ho zata hai,wo magreeb ki namaz, pahle kaza namaz ko pura kr ke parega ya fir magreeb ki namaz ko ada kr ke baki kaza namaz parhega.tafsil se batayenge.

Answer: Note : Is web site per faqat fiqh e jaffaria k mutabiq jawabat diey jatay hein. Jis shaks ki guzishta dino ki namaz faqat aik namaz qaza hoe ho,os k liay behter hay k agar os din ki namaz ki fazilat ka waqt khatam nah ho raha ho tu pehlay qaza perhain or os k baad os din ki namaz main mashghol ho. Or agar os ki guzishta dino ki koe namaz qaza nah hoe ho laikin osi din kie aik ya aik se ziyada namazin qaza hoe hoon tu agar os din ki namaz ka fazilat ka waqt khatam nah ho raha ho tu behter ye hay k os din ki qaza namazain ada namaz se pehlay perhain.( Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1365). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4043
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya mai ek din me zohar aur asar or koi 3 namaz kaza karloo kya me wo 3 kaza namaz usi din ishaki namaz ke bad ada kar sakta hoo aur kaza namaz ke nuksan aur faeede bataeye pls pls pls

Answer: Wajib hai k namaz ko waqt k ander perha jay kisi bhi terah namaz ko perhne main itni takheer karna k qaza ho jaay haram hai. (Ref : Jadeed fiqhi Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #64 , pg #69 ). v(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Note: wajib har os kaam ko kaha jata hay jis ka ada kerna zarori ho or khuda wajib kaam k ada kerne per sawaab bhi ata kerta hay jab haram kaam kaam se bachna zarori hay agar haram kaam ko anjaam diya jay tu khuda is per saza daita.or khuda k naraazgi hi sab se berhi saza hay. Laihaza khuda ki saza or naraazgi se bachnay k liay tamaam haram kamo ko terk kia jay or tamaam wajibaat ko on k waqt k ander(in time) ada kia jay.

Id: 4044
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya me sports wagera kar sakta hu agar sports kar sakta hu to sham me mere 2 wapt ki namaz kaza ho jayegi kya use mai ishake bad kaza ada karunga to kya ye theek rahega

Answer: Wajib hay k namaz waqt k andar parhi jaay kisi bhi wajah se namaz ko qaza kerna jaiz nahi hai (Ref : Jadeed fiqhi Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #64 , pg #69 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4204
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: FOR QUESTION ID 16159 HOW TO CALCULATE OUR NAMAAZ

Answer: kisi shaks ko qaza namazo ki tadaat yaad nah ho k os nay kitni namazain nahi parhi hain maslan wo ye na janta ho k 3 thi 4 thi ya 5 thi to agar wo chotay adad k hisab say parh lay to kafi hai lakin behtr ye hai k itni namazain parhain k osay yaqeen ho jae k sari qaza namazain parh li hain maslan agar wo bhool gya ho k os ki kitni namazain qaza hui thi aur osay yaqeen ho k 10 sai ziada na thi to ehtiyatan 10 namazin parhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1364)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4818
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aoa...mene suna hy k agr kch namazen qaza hui hon to shab e barat pr ek sath 40 namazen parhne sy tamam qaza namazen muaf hojati hen??

Answer: Jis shakhs nai apni yomia namazain in k waqt main a parhi hon to zarori hai k in ki qaza baja laye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1356)Note: is hadees par bohat saray ishkal hain jin mai sai aik ye hai k hadees mai ye hai k os namaz k parhnay sai qaza namazoo ka kaffara ada ho jata hai, is sai ye sabit hua k kaffara to ada ho gya magar phir bhi qaza to apni jigha rahi jis terah rozay mai hota hai k qaza k sath kaffara bhi hota hai agar koi kaffara ada kar dai to phir bhi osay qaza roza rahkna parta hai. is k alawa ye hadees aik zaeef shakhs k hawalay sai hai k wo mola Ali a.s. k pas aya aur kaha k meri bohat sari qaza namazain hai aur un ko ada karnay ki taqat nahi hai to mola Ali a.s. nai kaha k tum ye parh lo, is sai ye sabit hua k wo zaeef honay ki wajah sai namaz ada nahi kar sakta tha. Aur bhi bohat sari batain hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!