Question: Asalamalikum Plz Mujhe bataey k kaza namazein kasey ada ki jaye jo 3,4 sal ki humari namazein kaza ho gai hon woh kasey phari jaye plz reply
Answer: Qaza namaz parhnay ka wohi tareeqa hay jo Ada namaz parhnay ka hay albatta Qaza namazoo main tarteeb lazim nahi hay,siwaey un youmiya namazoo kay jin ki ada main tarteeb hay ,masalan zohar kay baad asar ya masalan maghrib kay baad Isha.Aur agar kisi ki namazain qaza hogaee hoon aur wo un ki tadaad na janta ho ya bhool gaya ho masalan 4 baqi hain ya 5 ya is say ziada to agar wo chotay adadkay hisab say parh lay to kafi hay,(yani jis kay baray main 100% yaqeen hay kay kam az kam itni namazain to qaza hoi hi hongee)balkay behtar ye hay kay itni namzain parhay kay usay yaqeen ho jaey kay sari namazain parh lee hain.(yani jis kay baray main yaqeen hay kay ziada say ziada itni namazain qaza hoi hongee,is say ziada nahi). ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1361,1364). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia asar aur magrid ki namaz ke darmian hum nawafil aur kaza namaz nhi parh saktay quran aur sunat ki roshni main please jawab dain thanks
Answer: Jis shakhs ki namaz qaza hojaye to zaruri hai k uski qaza parhne men kotahi na kre albatta uska foran parhna wajib nahi hai.(Qaza namaaz kisi bhi waqt par parh saktay hai).(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah #1358).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: waledain ki qaza namaz ada karwanay k lye kisi sy namaz parhwa sakty hain?agar qzaz namaz na ada hogi tou kia waledain per sy qaza namaz ka azab nahi hat sakta?please jaldi reply kardain...please
Answer: G han bilkul jaiz hai aop apne apne ki qaza namazen kisi se parhwa sakte hen.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1, Maslah # 752 , eidition # 1st). Note Azab se der guzar karna ya na karna ye Allah Taala ka muaamla hai.(Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: salam,mera sawal yeh ki ki mere walid ka inteqal ho gaya hai mai unka bada beta hu mai unki qaza namaz pahdna chata hu ,to namaz ki niyat kya hogi aur kya ye namaz baidh kar bhi phad sakte hai
Answer: 1-Niyat ka zaban se kehna ya dil se guzaarna k maslan “walid ki zuhar ki 4 rakat qaza namaz perhta hoon, qurbatan ilallaah” zarori nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #930) 2-Jab tak insaan qaza namaz ko kisi uzr(reason) ki wajah se mukammal tariqay se nah per sakta ho (maslan kharhay ho ker nah per sakta ho) tu agar baad main is uzr k door ho janay ka ilm ho tu ehtiyaat e lazim ye hay k qaza namaz ko perhnay main takheer karay takeh mukammal tariqay se namaz perh sakay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#1, maslah #733) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: AoA... Mujhe ye maloom krna hay k jis insan ne pori life nimaz nahi parhi to uski wo kaza nimazen kaise ada kren kindly email me the full detail. Allah Hafiz
Answer: Jis shakhs ne apni namaz un k apnay waqt me na parhi hoon to zarori he k un tamam namazoo ki qaza baja laye. Albetta in qaza namazoo mai tarteeb lazim nahi hai siway in namazoo k jin ki ada mai tarteeb hai maslan aik din ki zohar aur asr ya magrib aur isha. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 1356 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mera ek doubt hai..k agar koi namaz e shab ki jagah apne marhoom baap ki qaza namazein parhay tou kia utnahi sawab hy jitna namaz e shab ka hy??aur kia is ka sawab baap ko bhi pohonch sakta hai ? plz reply
Answer: Agar baap ne apni khuch namazain nah perhi hoon or on namazo qaza perhne par qadir ho to agar os ne khuda k hokum ki na-fermani kertay hoay on ko na chorha ho to ehtiyaat e wajib ki bina par os k baray baitay par wajib hay k baap k marnay k baad os ki qaza namazain perhay ya kisi ko ujrat day ker perhwaay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1371)Note : Marhoom baap ki qaza namazain alag wajib hai aur namaz e shab parhna alag mustahab hai.(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Gunnaho se bachne ka tarika? Agr din me ek wakt ki namaz qaza hojae tou usey hum bad me kese parhein.
Answer: 1)Gunahon sai bachnay k bohat sai tariqay hain jin mai sai chand yai hain k 1)mout ki yaad ko dil main bassa’en 4) ye tassawur karain k khuda aap ko har waqt dekh reha hay. 5)khaas tor par namaz e shab ki pabandi karain. 6)Pakiza aur halal ghiza kahain…. etc (ref : kitab tark e ghunahan k 40 tareeqe). 2)Jis shakhs nai apni yomia namazain in k waqt main a parhi hon to zarori hai k in ki qaza baja laye. Is ka tareeq wohi ho ga jo aam namaz parhnay ka hota hai faraqt niyat kartay waqt qaza ki niyat ki jae gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1356)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: agr nmaz qza ho jaye to kb ada krain usi din ya aglay dn?
Answer: is shaks ki qaza namaz ho jaay zaroori hai k is ki qaza perhne me kotahi na karain albetta is ka foran perhna wajib nahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1358 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Jis Shaks Ki Namazain Qaza Hoi Hon Aur Tadaad Maloom Na Ho, Tou Wo kya kare ???
Answer: Agar koi shaks apni qaza namazo ki tadaad nah janta ho ya bhool gaya ho maslan ye na janta ho k qaza namazain 3 thi ya 4 ya 5 tou chotay adad k hisab sy(yani 3 namazain) parh le tou kafi hai laikin behtr hai k itni namazain parhay k usay yaqeen hojaey k us nay sari qaza namzain parh li hain. (Ref:Ayat#ullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1364). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Khaun se halat me namaze kaja padha jata hai
Answer: jis shaks ki namaz qaza hojae tou zarori hai k uski qaza parhnay mai kotahi na karay al-batta uska foran parhna wajib nahi hai. (Tauzeh-ul-masail,ayatullah Sistani d.b.,33th edition,mslah#1358)