Question: Roze ki halat me na maharm ko kiss krne se mani nikalne pr kya hukm h
Answer: 1: Mard ka kisi na mehram aurat ke jism ke kisi hissay ko dekhna, choona ya bosa dena(kiss karna) chahe lazzat or shehwat ke iraday ke sath ho ya is ke baghair ye tamam kaam bhi Haram or gunah e kabira me se hain. Aur is gunah se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho aurat agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam me mubtila hote hon to is par wajib hai ke wo shadi kar lay. 2: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala ki zaat Gafoor o Raheem aur bakhshne wali hai aur use bhi yaqeenan bakhsh degi. 3: Agar mani nikalne ke irade se is tarah ka kam kiya tha aur mani bhi nikal gayei to roza batil hoga. lekin agar mani nikalne ke irade se is tarah ka kam kiya tha lekin mani na nikle to agar dobara roze ki niyat na ki ho to bhi roza batil hai aur agar dobara roze ki niyat kar li ho tab bhi Ehtiyat e wajib ki bina par zaroori hai ke us roze ko poora kare aur is ke bad is ki qaza bhi kare. 4: Agar rozedar mani nikalnay ke irade ke bager ye kaam kare aur use itminaan ho ke mani kharij nahin ho gi to agarchah mani kharij ho jaye, is ka roza sahi hai. Albatta agar use etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jaye ga. (Ref: Kitab nigah aur libas, sawal #109, pg #70. + Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1575,1576,2397,2399,2407. + Minhaj us Saliheen, Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). [Updated on 31-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Can we keep fast on Tuesday
Answer: Wajib rozay (jo ke rakhna wajib hain) isi tarah haram aur makrooh rozon ke alawa saal ke tamam dino ke rozay mustahab hain chahe mangal (Tuesday) ka din ho ya koi din ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), editon #42, Maslah #1717,1718). [Updated on 19-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alykum ! kia nafil rozon main farz qaza rozon ki niyat kr skty hen?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Chahe mard ho ya aurat Jab tak us ke zimmay ramzan ke qaza rozay hon wo nafil (mustahab) roza nahin rakh sakte, lehaza agar nafil (mustahab) roza rakhna chahay to ramzan ke qaza rozay ki niyat karni hogi hah agar saath me ye bhi iraada karein ke agar qaza rozay na hote to me ye nafil (mustahab) rozay bhi anjaam deti to inshallah parwardigaar aap ko nafil (mustahab) rozay ka sawab bhi ata karay ga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #1544). [Updated on 22-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 4 mustahib rozay 17,25,27,18 most fazilat walay hn inki riwayat kis imam a.s se milti hy
Answer: Aap ka sawal waazeh nahin hain apna sawal waazeh karen ke 17,25,27,18 kis mahine ke rozon ki baat kar rahi hain kya har mahine ke 17,25,27,18 rozay ya 17 rabiul awal, 18 zilhajj, 25 ziqada, 27 rajab ke rozay ki baat kar rahi hain. Albattta ye baat waazeh rahe ke wajib, haram aur makrooh rozon ke alawa saal ke tamama dino ke rozay rakhna mustahab hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #1718). [Updated on 12-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar koi ghalti se aik ghont sharab pe le tu is ka Kay hukum hay aur Kay is ki namaz wa roza hoga ya nahi
Answer: Agar pehle ilm o yaqeen ho ke ye sharab hai aur jante bhoojhte pee li ho to is ka peena Haram hai or ghunhagar bhi hon gay lekin agar pehle ilm o yaqeen nah ho aur baad men pata chale ke ye sharab thi ya galati se pee li ho to is surat me aap ghunahgar nahin hon gay, aur namaz or rozay bhi sahi hon gay. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #2596. + Minhaaj us Saliheen, part #3, maslah #30). [Updated on 19-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: salam ager bnda safar ki waja se roza na rakny ki neyat kry aur sehri kha le aur per kisi waja se safar par na ja saky,,tu kia din k waqat wu dobara rozy ka erada kar sakta hai
Answer: Agar aap ka sawal Ramazan ke rozay ke hawalay se hai, to agar koi aisa kaam anjaam nah diya ho ke jo roza ko baatil karta ho to zaroori hai ke dubara rozay ki niyat ki jaye. Lekin agar koi aisa kaam anjaam diya ho ke jo roza ko baatil karta ho to ehtiyat e wajib ye hai baqiya din rozay ko baatil karne wali cheezon se parhen kiya jaye aur ramazan ke baad is rozay ki qaza baja lana bhi wajib hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame(farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #223). [Updated on 09-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa, kya rozay mai mian biwi aik sath lait sktay hain? Jbkay unka irada na h jama karnay ka hai na h qurbat ka hai or na h cher khuwani ka hai. Tu kya elthay sona or laitna jaiz hai?
Answer: Jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #1564,1575,1628). [Updated on 12-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bache ka pehle roza rkhwane pe kya krna chye
Answer: Kuch wajib nahe hay .(or koshish ki jaaye ke bacche ke sehri or iftari per taeajju de jaaye,or us ke aaram ka khayaal rakha jaaye take aasani se roze pura karsake ) (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, pg #236 to 261). [Updated on 14-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran k mutbiq sehri aftari time
Answer: Sehri (roze ki niyat se khane, peene wagera ko tark karne) ka waqt aur iftaari (roza kholne) ka waqt batane se pehlay aap ke liye ye waazeh kiya jaye ke subah aur maghrib ki namaz ka waqt kya hai ? Q ke sehri aur iftaari ka waqt subah aur maghrib ki namaz ke waqt ke sath tulaq rakhta hai. Subah ki namaz ka waqt: Subah ki azaan ke qareeb mashriq ki taraf se aik safedi upar uthti hai jise fajr-e-awwal kaha jaata hai. Jab ye safedi phail jaaye to wo fajr-e-duwwum aur subah ki namaz ka awwal waqt hai, us waqt subah ki namaz parhni hoti hai aur wohi sehri ke ikhtitaam ka waqt bhi hai, Lekin ehtiyatan subah ki namaz se 10 minutes pehly roze ko baatil karne wali cheezon se parhez kiya jaye. Maghrib ki namaz ka waqt: Suraj ghuroob hone ke baad mashriq ki taraf se jo surkhi numoodaar hoti hai jab wo surkhi insaan ke sar ke upar se guzar jaaye tab maghrib ki namaz waqt shuru hota hai, us waqt namaz parhni hoti hai aur wohi iftaari ka waqt bhi hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #732,729,1531,1533). [Updated on 18-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia napaki ki halat sehre kr skte hen
Answer: Napaki se aap ki muraad "halat e janabat" me hona hai to is halat me sehri to kar sakte hain lekin maah e ramazan main azaan subh se pehle ghusl e janabat karna zaroori hai Q ke maah e ramazan main azaan subh tak janabat ki halat main raha jaye aur ghusl nah kiya jaye to ye roze ko batil kar deta hai, lihaza zaroori hai ke azan subh se pehlay ghusl kiya jaye. or agar jaan bojh kar azan subh tak ghusl nah kiya jaye to zaroori hai ke is din ka roza pora kiya jaye aur phir ramzan ke baab aik din aur roza rakha jaye aur pehla roza maa-fiz-zimma ki niyat se rakhna hai aur ramzan ke baad bhi jis din roza rakha jaye aur us main qaza ki niyat nah ki jaye. Is k alawa is par roze ka kaffara bhi wajib hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1591,1625,1630). [Updated on 20-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]