Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 14391
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Roze ki halat mein galti se Pani Peene se Roza Toot Jata Hai Ki Nahin

Answer: Ghalati sai pani peene sai roza baatil nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1556). [Updated on 25-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14412
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ramzan ma hambistari ka bad aurat ko khoon din ma bhee ata ho to wo roza rakh sakty hai.

Answer: Roze ki halat main jima or istimna karne se roza batil ho jata hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1554).1) Faqat Haiz or Nifas ke khoon jo ke auraton ke sath makhsoos hen un se roza tut jata he agarche iftar se kuch der pehle hi kion na aye. 2) iske ilawa koi bhi khoon aana roze ko batil nahin karta. [Updated on 25-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14415
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA sir .. agar hum mughrabain ki namaz parh k means 20 ya 25 mint bad roza aftar karty hain to ya sahee ya makroo hy ????

Answer: Jee nahin, Makrooh nahin hai. Balke Rozedaar ke liay mustahab hay ke roza iftaar karne se pehlay maghrib or isha ki namaz parhay. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition 42, maslah #1720). (Note: Rozay ko dair se iftaar karna makhrooh nahin hay, balke jab maghrib ki azan ka waqt aa jata hay tab hi roza mukammal ho jata hay. Aisa nahi hay k kisi shaks ka roza 15 ghante ka shumaar hoga or jo shaks aik ghante dair se roza iftaar kare tu os ka roza 16 ghante ka shumaar hoga ). [Updated on 19-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14423
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 40din k bd phr se periods hona mtlb 40 k bd 5 din ka farq ho aur phr se periods hojayen kyaa hm roza rakh skhty hain k nhi

Answer: Haiz ki halat main roza nahi rakha jasakta. (Ref: Tauzih-ul-Masael-Jami Agha Sistani D.B: Masla # 1913)1) jo namazain aurat nay haiz ki halat main nah perhi hoon on ki qaza nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #459). 2) Haiz men roza nhin rakh sakte or ramzan k baad in rozon ki qaza kerna zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #). 3) Roze men haiz (menses) ka khoon ajaay to agarche maghrib se ek lamhe (second) pehle hi aye, roza batil ho jata hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1612) [Updated on 25-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14464
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o Alaikum! Agar insan raat ko roza rkhny ki niyat kr k soey lkn suba us ki ankh Azan e Fajar k bad khuly to kia wo roza rkh skta ha? Agr rkh skta ha to kis time tk suba rkh skta ha uth k?

Answer: Agar is niyat k sath soay thay k kal roza rakhoon ga tu yehi aap ki niyat hogi or aap ka roza sahi hoga. Sehri kerna lazim nahi hay. (Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1531). [Updated on 09-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14509
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sehri kiye bgher roza hotta he

Answer: Jee han, Sehri kiye baghair roza rakha ja sakta hai. sehri karna wajib nahin hai balke mustahab hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1531) [Updated on 30-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14516
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam sair mera sawal hai k main apne ghar se 175 km door job karta hu or week main ek baar thursday ko zohar ke baad ghar jaata hu to kya mera roza jaaiz hai ya nahi?

Answer: Agar aap zohar k baad safar karte hen to zaroori he k ahteyat ki bina par apna roza pura karen 2) agar aap zohar se pahle apne watan puhunch jayen aur koi aysa kam na kiya ho jo roze ko batil karta ho to zaroori he ke us din ka roza rakhen. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1730,1731). [Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14955
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Roza ke sahi hone ki kitni sharte hi

Answer: Roze ke sahi hone ki chand sharte hain: 1. Musalman ho, lehaza kafir agar roza rakhe to us ka roza sahi nahin hoga. 2. Aaqil ho or Behosh na ho, lehaza agar koi Majnoon(paagal) ho jaye ya koi behosh ho jaye is se tarah ke jo niyat roze men zaroori hai wo hasil na ho, or din men majnoon, aaqil ho jaye or behosh ko hosh aajaye us din ka roza sahi nahin hoga laikin Agar koi shaks azaan subha (namaz fajar ke waqt ) se pehle roze ki niyat karne ke baad behoosh ho jaey or phir ise din main kisi waqt hoosh aa jaey tu ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay ke is din ka roza tamaam kare or agar tamaam nah kare tu is ki qaza baja laey. 3. Aurat Haiz o Nifaas se pak ho, Pas Haiz o Nifaas wali aurat agar roza rakhe to roza sahi nahin hoga, chahe Haiz o Nifaas din ke kisi juz men hi Q na ho. 4. Ramzan ya Ramzan ke qaza roze men Azan e subah tak Janabat, Haiz or Nifaas ki halat par baqi na ho. 5. Aisa musafir na ho ke jis ki namaz safar ki halat men qasar hoti ho, Q aise musafir ke liye roza rakhna jaiz nahin hai. (Ref: Minhaj us Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #1026,Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1539). [Updated on 18-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15070
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Faqa on ashor during periods??

Answer: Jee han, faqa kiya jasakta hai, faqay men rozay ki tamam sharait zaroori nahin hain siwaye khane peene ke. (Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0569/ ). [Updated on 08-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15187
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AoA What is ruling regarding old people who can't fast due to old age? Regards

Answer: 1: Boorha mard aur Boorhi aurat jin ke liye buzrgi ki wajah se roza rakhna haraj aur aadat se balatar sakhti ka baais ho to laazim nahin hai ke roza rakhain aur un ki qaza bhi waijb nahin hai, lekin zaroori hai ke har din ke liye aik mud taam (gandum ya jao ya roti ya in se milt julti cheez) faqeer ko day aur agar roza un ke liye sire se mumkin hi na ho to fidya dena bhi laazim nahin hai.( or agar buzrgi ki wajah se un ke lie roza rakhna mumkin he na ho tu phir un per na roza rakhna wajib or na fidiya dena, or na qaza karna yani khuch bhi wajib nahe hay) 2: Jo shakhs burhape ki wajah se maah e ramzan ke rozay na rakhe agar wo maah e ramzan ke baad rozay rakhne ke qaabil ho jaye to Ehtiyat e mustahab (behtar) ye hai ke jo rozay na rakhe hon un ki qaza baja laye laikin ye wajib nahe hay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1695,1696). [Updated on 08-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!