Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 3071
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: maine 18 sal ka hun ek bar mera roza tha to mene galty se sex kar lya or jis ke sath kara uska bhi roza tha sex ke liye mere se usi ne bola tha aap batayen ki allaha mere ko kese mafi de sakte hai

Answer: 1) Agar koe shakhs ramzan k roze ko khana(food), peenay (drink),jima(hambistari), istimna, ya jaan bojh ker janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koe mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day. 2) Ramzan ka roza torhne k kaffare k taur per zarori he k aik ghulaam azaad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay 2 mahine(months) roze rakhe(jis main se 31 rozay lagataar{continue }) ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilay ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal(kaam) anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zarori he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dey.(Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1630 , 1632). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 3) Agar rozay daar mani nikaalne k irade k baghair misaal k taur por apni b.v (ya kisi aur se saath) se cherh chaarh or hansi mazaaq karay(sex) or osay itminaan ho k mani kharij nahi hogi tu agarcha ittefaqan mani kharij hojaay tu os ka sahi hay albatta agar os ko itminaan nah ho tu is sorat main jab mani kharij hogi tu oska rbatil hojaay ga.Albetta Ethiat e wajib ki bina per fahash filmoo aur tasweeron ka dekhna haram he, agar chahae shak aur lazzat k bagair dekha jay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1576)(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254). 4) Sachay dil say tauba karain Parwardigaar ne quran me wadah kia he k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3073
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: maine 19 years old hun or ek bar rozay me sex kar chuka hun or jis ke sath sex kya uska bhi roza tha sex ke liye usne bola tha magar mene thoda sa hi dala tha phir hat gaya kya mera roza tuta

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 3748
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir roza kon konse chezon par tot ta ha

Answer: 8 chezain rozay ko batil kar deti hain: 1)khana aur pina 2)Jima karna 3)istemna karna 4)Allah, pegambar e akram S.A.W.W aur in k janashino sai ehtiyat e wajib ki bina par koi jhoti baat mansoob karna 5)gubar halaq tak pounchana ehtiyat e wajib ki bina par 6)azan e subah tak janabat , haiz, ya nifas ki halat mai baqi rehna 7)kisi liquid cheez sai huqna(anima) karna 8)ulti karna. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1553)

Id: 3749
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam alaikum ramzan me rat ko biwi se sauhbat ki sehri ki. Subah 11pm gusl kiya to roza makror ho y jayga?

Answer: 1)Agar Junub shakhs ramzan me jan booj kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan booj kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay. 2)Agar koe shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koe mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1591,1630)

Id: 3764
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asslamualekum, roze mein thuk nigalne se roza rehta hain ya nahi..

Answer: Moo(mouth) ka pani(thuk) niglnay sai roza batil nahi hato hay chahae kisi wajha say bhi moo mai aa jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1560 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3766
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Rozay ki hallat mien mian bivi k taluqat ki kis had tk ajazat hai.

Answer: 1)Rozay ki halat main mani nikalnay k qasad k bagair insaan ka apni biwi ka bosa lena ya koi shawat angais kaam karna makrooh he. 2)Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misaal k taur per apni biwi se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga. 3)Aur agar mani nikalnay k iraday se cheerh chaar ya dil lagi karay laikin is ki mani na niklay to agar dubara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dubara rozay ki niyat kar lay to ehtiyaat e lazim ki bina per zaroori he k rozay ko tamaam karay aur is ki qaza bhi baja laye. 4)Jima (intercourse) rozay ko batil kar deta hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629, 1565-1576, 1565) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3772
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya ahtlam hone sa roza tot jata ha

Answer: Agar rozay ki halat me ehtalam ho jaye tu roza batil nahe hota hai.. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1571) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3780
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia mian bivi rozay kay duraan aik dosary ko touch kar sakhty hain? sirf bahoon main lay sakhty hain?

Answer: 1)Rozay ki halat main mani nikalnay k qasad k bagair insaan ka apni biwi ka bosa lena ya koi shawat angais kaam karna makrooh he. 2)Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misaal k taur per apni biwi se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga. 3)Aur agar mani nikalnay k iraday se cheerh chaar ya dil lagi karay laikin is ki mani na niklay to agar dubara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dubara rozay ki niyat kar lay to ehtiyaat e lazim ki bina per zaroori he k rozay ko tamaam karay aur is ki qaza bhi baja laye. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629, 1565-1576) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3781
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya rozay kay waqt may shohar bewi kay sat forplay kar sakta ha k ni.is say roza toota hai k ni.

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. 1)For play se muraad agar jima(intercourse) karna ha to jima karne se roza batil hojata hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1565) 2)Rozay ki halat main mani nikalnay k qasad k bagair insaan ka apni biwi ka bosa lena ya koi shawat angais kaam karna makrooh he. 3)Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misaal k taur per apni biwi se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga. 4)Aur agar mani nikalnay k iraday se cheerh chaar ya dil lagi karay laikin is ki mani na niklay to agar dubara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dubara rozay ki niyat kar lay to ehtiyaat e lazim ki bina per zaroori he k rozay ko tamaam karay aur is ki qaza bhi baja laye. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629, 1565-1576)

Id: 3787
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia french kiss karny sy roza toot jata hai

Answer: Jee nahi Mian aur biwi ka French kiss karnay sai roza batil nahi hota hai. albetta rozay ki halat main mani nikalnay k qasad k bagair insaan ka apni biwi ka bosa lena ya koi shawat angais kaam karna makrooh he.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1553, 1629)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!