Question: AGAR KOE APNI BIVI K SAT RAMZAN ME HUMBISTARI KARLAY TO US KA KAYA KUFFARA HOGA YA SACCHI TOBA KARNA SA ALLAH PAK UNKO MAFF KARDAINAGAY, PLZ ADIVSE????
Answer: 1)Jima karna se roza batil ho jata hai. 2)Agar koi shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker jima aur janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jab k jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koe mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1565, 1630) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Bawaseer ka khoon anay say roza toot-ta hay kay naheen,khoon ke miqdaar kafi hay
Answer: Bawaseer ka khoon anay say roza nahi toot’ta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 239, 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Sir jab koi rojedaar insaan din main so jaaye sote waqt ahtlaam ho jaaye uska roja tootega ya nahi
Answer: Ehtelam hone se roza batil nhi hota.agar chah rozay dark o ilm ho k agar din mai soe ga to osay ehtilam ho jae ga yani sotay mai mani kharij ho jae gi tab bhi os k lie sona jaiz hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1571) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salam kia rozay main inhelair use kar sakte hai plz reply me fast?
Answer: Dame ki bimari me istemal hone wala spray(inhaler) agar dawa ko sirf phephoro(lungs) tak pounchae( yane dawa ko sirf saas ki nali tak pounchae, na k khane ki nali tak) to is se roza batil nahe hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1557) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: sir iam kashif mera ap se sawal ye hai k apni bivfi se roze ki halat mein sex karna matlab k andar dahil na ho sirf upar hi touch karne se roza toot jaye ga or kya roze ki halat mein aisa karna jaiz hai
Answer: Jima rozay ko batil kar deta hai chahae peshab ki nail supari tak hi dhakil ho aur mani bhi kharij na ho. Lakin srif touch karnay sai roza batil nahi ho ga . aur agar mani kharij ho jay to roza batil ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1565-67) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya mazi nakalne se aadmi napak hojata hai aur gusul wajib hojata hai kya isse raza par koi fark padta hai
Answer: 1)Mazi kharij hone se roza batil nahe hota hai. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat roza ques # 40 pg # 33) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 2) mazi pak hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kiya ramzan mein bwivi se sohbat kar sakten hain ya nehi
Answer: jima(intercourse) karnay se roza batil hojata hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1565) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: assalam alaikum ramzan me biwi ke sath kya mubashrat karne se roza toot jata hai ya bat karne se jo mizi yani jo pani ata hai us se roza toot jata hai ya nahi
Answer: 1)Rozay ki halat main mani nikalnay k qasad k bagair insaan ka apni biwi ka bosa lena ya koi shawat angais kaam karna makrooh he. 2)Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misaal k taur per apni biwi se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga. 3)Aur agar mani nikalnay k iraday se cheerh chaar ya dil lagi karay laikin is ki mani na niklay to agar dubara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dubara rozay ki niyat kar lay to ehtiyaat e lazim ki bina per zaroori he k rozay ko tamaam karay aur is ki qaza bhi baja laye. 4)Jima (intercourse) rozay ko batil kar deta hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629, 1565-1576, 1565) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia khud ba khud vomit any se se roza toot jata ha
Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Agar sehwan ya be-ikhtiar vomit ho jae to is sai roza batil nahi hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1618)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: sir kya roze ki halat mein nakhun(nails)kat sakte hain
Answer: Jaiz hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).