Question: kya janabat ki halat men roza rakha ja sakta hai ya nahi
Answer: 1)Agar Junub shakhs ramzan me jan booj kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan booj kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay. 2)Agar koi shakhs ramzan ki raat me junub ho jay to agar wo jaan bojh ker ghusl na karay yahan tak k waqt tang ho jay to zarori he k tayammum karey aur roza rakhe , is ka roza sahi he. 3)Agar koe shakhs ramzan k roze ko khana(food), peenay (drink),jima(hambistari), istimna, ya jaan bojh ker janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koe mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day. 4) Ramzan ka roza torhne k kaffare k taur per zarori he k aik ghulaam azaad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay 2 mahine(months) roze rakhe(jis main se 31 rozay lagataar{continue }) ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilay ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal(kaam) anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zarori he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dey.(Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1591 , 1594, 1630 , 1632). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Aslam o alikum. Kia roze ki halat me clean shave ya phir jism se hair cut kr sakty hae k nhi.
Answer: 1)Clean shave karna ehtiyate wajib ki bina per jaiz nahe hai . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2042) 2) Clean shave karna aur jism k baal katne se roza batil nahe hota hai(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kya roze ki halat main sexy kandi film dekne se roza khatum ho jata hai plz reply
Answer: Agar rozay daar ko itminaan ho k is sexy scene ko daikh ker oski mani kharij nahi hogi tu agarcha ittefaqan mani kharij hojaay tu os ka sahi hay albatta agar os ko itminaan nah ho tu is sorat main jab mani kharij hogi tu oska rbatil hojaay ga.Albetta Ethiat e wajib ki bina per fahash filmoo aur tasweeron ka dekhna haram he, agar chahae shak aur lazzat k bagair dekha jay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1576)(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asslam u alikum. Mera swal ha kih kia ulti ane se roza toth jata ha jab kih ulti 2 ya 3 bar mouh bhar k aie. Plz reply me.
Answer: Agar shawan(iraday k bagair) ya be-ikhtiyar ulti ho jaay to roza batil nahe hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1618)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mery sawal ye hai k agar rozy hi halat main kisi larki sy sirf baat krny sy katry ya mani aa jy tou roza batil ho ga ya ni? agr waisy hi zehn main koi khiyal aany ki waja sy katry ya mani nikal aaye tou roza batil ho ga ya ni?
Answer: 1)Agar ye qatray wo hain wo khabi khabi shewat ubharnay par mard ki peshab ki nail mai aa jatay hain to ye pak hai aur is sai roza bail nahi hota hai. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat roza ques # 40 pg # 33) 2)Agar yaqeen ho k ye qatray mani hain to roza batil ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: rozay ki halat main apni bivi se mubashrat jaiz ha ya nai
Answer: Mubasharat roze ko batil kar de te hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1553) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: rozay ki halat main agar bivi k sath bagair dakool kay mony kharij ho jai to kia roza toot jai ga. please anwer
Answer: Agar koi rozay dar istemna karay yani mard apnay hath sai ya kisi doosray zariay sai jima k alawa koi aisa fail karay jis k natijay mai mani kharij ho to roza batil ho jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Mera Sawal ye hy ky mera aj roza tha main fajar ki namaz parh ky akay sogaya or utha to mani kharij ho gai khud ba khud to kiya mera roza hoga ya nahi
Answer: Ehtelam hone se roza batil nhi hota. agar chah rozay dark o ilm ho k agar din mai soe ga to osay ehtilam ho jae ga yani sotay mai mani kharij ho jae gi tab bhi os k lie sona jaiz hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1571) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kaya rozay main Tooth Brush krny sy roza toot jata hy?
Answer: Rozay main tooth brush krny sai roza nahi toota hai laikin ghele lakre se miswaak karna makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1629)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Agr rozay m sexs kia h r mani nkal jy to roza hoga ya ni
Answer: 1)Jima aur istmna (kise zaria se mani kharij karna )karne se roza batil hojata hai. 2)Agar koi shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker jima aur janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jab k jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koe mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1565,1569,1630) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).