Question: Quran Majeed mein jo sijda ki ayat aatin hain in per sajda karne ka foran hukm hai ya tilawat khatam karne ke baad bhi kar sakten hai, aur sajda karne ka tariqa bata dein.
Answer: Quran Majeed ki 4 soortoon main wo ayaat maujood hain jinkay sunnay aur parhnay par foran sajda karna wajib hay yani Sura Sajda Ayat 15,Sura Fussilat Ayat 37,Sura WanNajm Ayat 62 aur Sura Alaq Ayat 19.Jab insaan Quran Majeed ka Wajib Sajda karnay kay Iraday say Peshaani Zameen par rakh day to khwah wo koi zikr na bhi parhay tab bhi kaafi hay aur zikr ka parhna behtar hay.aur mustahib zikr kay liye Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.174 Masala No.1086 ki taraf rujoo karain.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.174 Masala No.1080,1086.
Question: Asalam-u-Alikum, Agar koi quran arbi ki bajai urdu mein katam karay tho kia is ka quran katam mana jai qa or is ko itna sawab mille qa jitna arbi mein perne wale ko miltha hay.
Answer: Jee nahi.is ko Quran parhna shumaar nahi kiya jaey ga (lihaza agar is tarah Quran parha gaya to usay Quran Khatam karna nahi kaha jaey ga) Ref: Istiftaat A.Sistani.
Question: kia sirf urdu tajuma parnahe ka sawab hai
Answer: Is tarah karnay say Quran parhnay ka sawab nahi milay ga.Ref:Istiftaat A.Khaminae 26083e.
Question: Quran majid ki theen (3) shia tafaseer aur aun kay mufasreen kay naam kia hain ?
Answer: 1:Tafseer-e-Namoona A.Nasir Makarim Shirazi kay under aik Ulema ki Team nay tehreer ki...2:Tafseer-e-Faslul Khitab Allama Syed Ali Naqi Naqavi...3:Tafseer-e-Anwaar-e-Najaf Allama Hussain Bakhsh Jara.
Question: Quran ki wo konsi surah hai jis ki har aayat may lafz-e- ALLAH aaya hai ?
Answer: Sura-e-Mujadala,Sura No.58,Total No.of Ayats 22,Madani Sura.
Question: Quran ki kis surh may ALLAH nay appnay eelawa kisi dosray kay lieay RAOOF aur RAHIM kay lafz used kiay hain aur kis histi kay lieay ?
Answer: Sura-e-Tauba,Sura No.9,Ayat No.128,Rasool-e-Akram SAWW kay liye istemaal kiya gaya hay.
Question: AOA. Can we turn off the tape recorder while any verse of Quaran is not completed? OR Is it necessary to wait till such time when verse will be completed.
Answer: b.t. aap apne sawal ke liye www.sistani.org par ruju karain.
Question: Salam alikom Question:1- when a person reciting Quran and some person talking that time ,is that talking haram that time? plz reply as soon posible ?
Answer: w.s., munasib he ke ghuftgu na ki jaye aur tilawate quran ki tarf tawjooh di jaye (albatta guftgu karna harama nahin he) (ref: www.sistani.org/arabic/quranul karim/q12)
Question: Assalamualikum, Moulana Ali Raza mehdavi saheb, mera sawal yeh hai ke ham jab surah tauba parhte hai is se pehle bismillah hirrehman ner rahim nahi parhte, lekin kia is sureh ki her rukuh se pehle bhi bismillah parhna chahiyeh ya nahi
Answer: Q k bismillaah quran ki ayat he, is liay quran perhne k qasd(intention) se isko perhnay main koe haraj nahi hay.(Ref: E-mail rcvd from A.sistani(d.b),dated: :Dec 25, 2011). Note: Bismillah ko sorah e tauba ki ibteda or dermiyaan main is niyat se perhna jaiz hay k wo is sorah ka hissa tu nahi hay laikin quran ki aik ayat hay or isko har jaiz kaam ki ibtida main perha jasaka hay,balkeh mustahab hay.ye jo kaha jata he k sorah e tauba ki ibteda main bismillaah nah perhi jaay tu is muraad bhi yehi hoti hay k isko is niyat se nah perha jaay k ya is sorah k hissa hay.
Question: salam alaykum i have been living in australia and i do go to islamic school and my teacher teaches me quran it is really hard for me to learn is they any way you could help me plz.
Answer: Please see these links and learn quran e kareem. Ref: http://quran.com/ http://www.quranexplorer.com/ http://www.quran.net/ (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)