Question: Agr hum kisi larki sy muhabat karty hn to us k sath pyar wali (sexy)baatn kar sakty hn koi gunnah to nhii ho ga agr hmari muhabat ki niyat nikah kii ho ? Thank you
Answer: Na-mehram se is aitebaar se dosti karna ke ye piyar o muhabat ban jaye aur phir is se shadi kar lenge to ye jaiz nahin, Q ke jins e mukhalif se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai), Q ke ghunah men mubtela hone ka khauf maujood hai, balke kisi na mehram se (muhabbat aur sexy baten to door ki baat) us se dosti karna hi Jaiz nahin hai. Albatta Islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai lehaaza is aitebaar se aap ziyada se ziyada apne ya un ke ghar walon ke zariye aik doosre ke ghar rishte ka paigham bhej sakte hain aur dua kar sakte hain. Jo shaks shadi na karne ki waja se haram fail me mubtela hota ho us ke lie shadi karna wajib hay. (Ref: http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Nigah aur libas sawal #106, pg #69, tauzihul masail,aqa sistani ,pg no:371,masla no:2406). [Updated on 19-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.o.a. meiri shadi hone wali hai aur mojhe pata chala ha fiance ki bemari ka(semen ka khd ba khd discharge huna) aur unku khadsha hai k hamare bachy honge k ni. Is situation mei mojhe kia shadi kar leini chaiye masla jante hoye bhi.
Answer: Yh faisla ap k ikhtiyar me hai chahe to is bemari k janne k bad Shadi k lie razi rhe ya mana krdein.. Iss bemari ka ilaj mmkin hai lekin agr ap ne apni rizamandi se shadi kli aur phr baad me iss se fedup hogai to Nikah faskh nh hoga. (Reff: Tauzeeh ul masail, Agha Sistani d.m, edition #39, maslah #2345 [Updated on 05-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa.its been 5years of marriage and I have 2kids but RightNow my haqh mehr moajal not given.is nikkah abrograte ( naskh)or not .thanks
Answer: Aap ka shohar aap ke meher ki aidaigi ke aitebaar se aap ka maqrooz hai (yani aap ke shohar ko aapka mehar dena hoga ya aap une maaf bhe karsakte hay )lekin meher adaigi na hone se ki soorat me nikah faskh nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2383,2384). [Updated on 12-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam-o-Alaikum Nikah ky Bad kitny time main rukhsati Frz hai?? Nikah Hogya ho or Rukhsati zada saal na howi ho to Nikah khtm ho jata?
Answer: Koi muddat muyyin nahin hai, jab chahe karen jab chahe na karen. lekin rukhsati nah hue ho to nikah khud ba-khud khatam nahin hota jab tak ke sahe talaq na hojaae Aur nikah ke baad jab bhi kabhi bhi rukhsati (chahe 10, 15 saal baad) ho, dobara nikah ki zarorat nahin hoti. yaani is late rukhsati ki wajah se nikah khatam ya baatil nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472. + Link; https://www.sistani.org/urdu/qa/26728/ ). [Updated on 13-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam mai agar ek married Larky sy shdi krun uski dusri bv bạn jaoun Islam mai aurat k liya sawab h? Ek married larky sy shdi karnay mai Mai unmarried hu
Answer: Bazaat e khud Nikah karna (chahe married larke se ho ya unmarried se ho) aik aisa mustahab amal(yani ajro sawaab ) hai ke jis ki buhut takeed ki gayei hai aur ahadees me nikah ki taraf targheeb dilayei gayei hai aur kaseer ahadees me is ke tark karne ki muzammat ki gayei hai. Lekin jo shakhs (mard, aurat) shadi na karne ki wajah se haram kaam main mubtela hota ho to us par wajib hai ke shadi karay. (Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, pg #15. + Tauzeeh ul masal, edition #42, maslah #2407). [Updated on 17-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia lrke khud apny chest ko lazut k Lia press kr skte h ?
Answer: Nahin kar sakti Q ke shohar aur biwi ke alawa kisi bhi tareeqe se lazzat karna Haram aur ghunah e kabira hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30). Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)
Question: Salam, kya bv ki khala se zina krne se nikah toot jata hai ?
Answer: 1: Zina karna Haram or ghunah e kabira hai aur is ke liye tauba karna laazim hai, Lekin biwi ki khala se zina karne se nikah nahin tootata. 2: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath aur sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala Gafoor o Raheem aur bakhshne wala hai aur use bhi yaqeenan bakhsh dega. 3: Ghunaahon se tauba aham tareen umoor aur wajibaat me se hai. Tauba ki haqeeqat gunaahon se pashemaan hona hai aur pashemaani aik qalbe amar hai (yani is ka talluq dil se hai) sirf (astaqferullah) kehna tauba ke liye kaafi nahin hai balke tauba ke liye haqeeqi taur par pashemaan hona zaroori hai aur agar waqean pashemaan ho jaaye to (astaqferullah) kehna lazim nahin hai agarche is ka kehna ehteyaat e mustahab hai (yani ehteyatan behtar hai) aur tauba ke sharaei aasaar paaye jane ke liye do baatain lazim hain: 1) Insaan hatmi irada rakhta ho ke gunah ki taraf dubaara nahin palte ga. 2) Jo khuch bhi nafarmaani ki hai imkaan ki surat me shareat ke qanoon ke mutabiq us ki islah kare; maslan jo wajibaat insaan par wajib the aur us ne use anjaam nahin diye hain maslan namaz, roza, hajj, zakaat wagaira, agar us amal ki qaza hai ya kaffara hai to un ki qaza kare ya kaffara ada kare yani use anjaaam de aur jin logon ka maali haq khaya hai ya koi maali nuqsaan punhchaya hai, wo un ko waapsi de ya is silsile me un loqon se un razamandi hasil kare. yeh baat qabil e zikar hai ke agar koi shakhs tauba ke baad dobara gunah ki taraf lout jaye to use khuda ki rehmat se mayoos nahin hona chahiye balkay dobara tauba karni chahiye. Jis insaan se ghunah hua hai wo Tauba kare, Parwar digar ne quran me wadah kia hai ke wo tauba karne walon ki tauba ko qubool karta hai aur aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waade par amal na kare. aur gunah se bachne ke liye mazboot irada chahiye. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + link, https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ . + E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). [Updated on 16-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Rape k bd nikah kis se r kb krna chahye
Answer: Zaani (zina karne wale) karne wale ke alawa jis se chahe aur jab chahe (nikah sharait ke sath) nikah kar sakti hai. lekin agar zaani ke sath nikah karna chahe to Ehtiyat e wajib ki bina par zaani is aurat ke tauba karne se pehle is se shadi nahin kar sakta. Q ke agar koi shakhs aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to Ehtiyat e wajib ki bina par zaani is aurat ke tauba karne se pehle is se shadi nahin kar sakta. (yani jab tak wo aurat is zina se tauba nahin kar leti, ehtayat-e-wajib ki bina par wo larka us se shaadi nahin kar sakta). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2364). [Updated on 13-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o Alikum sir mera swal yeh han k do piyr krne wly jb Allah ko hazir nazir man k nikkah k sary kalmat ada krty han Allah ko gawa bna kr tu kia asy nikkah ho jta hn???
Answer: Nikah ki bht si sharait hai k maslan Ehtiyat e wajib ki bina pr Nikah k seeghe Arabi me parha jae lkn agr dulha dulhan arabi me na prh skte ho to kisi dosri zaban me parha jaskta hai lekin ijab o qubool ka mana ada hona zarori hai.. Mehar tai kia jae.. Larki khuwari ho to uss k walidain ki ijazat zarori hai.. Iss k ilawa bhi or bht sari sharait hai jin ka khayal rkhna zarori hai Behtr berhaal yh hai k kisi Shia Alim se nikah parhwaya jae... (Reff: Touzih ul Masil Agha Sistani d.m, 39th Edition, Masla No. 2333,2335,233...) [Updated on 06-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Shadi se phele kiss or hug kar sakte he
Answer: Jee nahin, Shadi se pehlay is tarah ke kaam nahin kar sakte Q ke shadi se pehlay larka aur larki apas men na-mehram hain aur nikah ke bager na-mehram mard or aurat ka aik dusre ke jism ke kisi hissay ko dekhna, choona ya us ka bosa(kiss) laina ya gale lagana ye tamam kaam bhi Haram aur ghunah e kabira me se hain, chahe lazzat ke iraday ke sath hon ya is ke baghair aur chahe baad me shadi hi Q nah karni ho. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30. + part #3, maslah #14,15,16. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2397). [Updated on 13-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]