Question: nikah kay waqt larka mojod nahi tha, jes larke say nikah hona raha tha wo ose say rza mend tha kya ose ka nikah hwa hay or nahe
Answer: Aurat aur mard ka raza mand hona zurari he hazir hona zurari nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2328-2344 & 2394) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mene buhat sarey sawal poochey hain regarding muta and nikah, kindly mere email id per unk jawab arsal kijiye ga, ussey publish na kijiye ga site per, ager mumkin ho to. thanks
Answer: Aap in links main maujood sawaal o jawab perh saktay hain: Mutaa link = http://qoitrat.org/qa/searchtopic.asp?Main=76&MainTopc=84 , Nikah link = http://qoitrat.org/qa/searchtopic.asp?Main=76&MainTopc=79 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kia nikah nama lazmi ha nikah k liye ya bina nikahnamay k b nikah ho jata ha
Answer: Nikah chahay daimi ho ya ghair daaim(muta) is main sheegha(nikah k bool) perhna zarori hay.or ehtiyaat e wajib ki bina per sirif nikah naamay ka likhna kafi nahi hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2328). Note: wazeh rahay k nikah main asal cheez nikah k seeghay ka zabaan se ada kerna hay or agar zaban se ada bhi kia jay or nikah se pehlay ya baad main agar nikah naama likha bhi jay tu koe haraj nahi hay.laikin nikah naama likhna wajib bhi nahi hay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kia gawahon ka hona lazim ha nikah main,,, kia KHUDA AUR RASOOL S.A.W.W Ko Ya QURAN PAK ko gawah tasawur kiya ja sakta h,,,,, kia bina KHUTBA k nikah ho jata ha,,,,,
Answer: 1)Jee nahi, Nikah k seghay perhtay waqt gawahoon ki zarorat nahi hay.laikin Nikah ki chand shara,et hain k:- 1. ehtiyaat wajib he ke sahih arabi me parha jae. 2 ye ke mard w orat ya uska wakeel sigha parhte waqt qasde insha rakhte hon. 3 sigha parhne wala ethiyaat ki bina per baligh aur aaqil hoon . 4)mard aurat mu,aiyan hoon 5)mard aur aurat shadi per razi hoon.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2379) 2) kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. 3)Sigah e nikah se pahle kuthba perhna mustahab he. Aur mukammal tareen khutba wo hay k jo khuda ki hamd or nabee(s.a.w.w)or masoom imamo(a.s) per salawaat or taqway ki wasiyat or doolha or dolhan k huq main dua per mustamil ho. Or khutbay main (Al hamdo lil,lahi was salaatu ala muhammadin wa aalih.) tu kafi hay. (Ref : (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah# 3) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: husband wife didnt intercourse sexually for the last 15 years,is nikah still valid
Answer: It is not permissible for the husband to abandon sexual intercourse with his youthful, permanent wife for more than 4 months, except when sexual intercourse is harmful to him, or involves unusually more effort, or when the wife herself agrees to avoid it, or if a prior stipulation to that effect was made at the time of Nikah by the husband. And in this rule, there is no difference between the situations when the husband is present, or on a journey, or whether she is a wife by permanent or temporary marriage. But nikah is valid. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2382) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: aslamo alaikum, maulan sahib mera sawal yeh hai k kya nikah partay hue puray 6 kalmay parnay chahiye, braye karam ap mjy ye bta dain k islam k mutabik ek molvi ko nikah kaisay parhana chahiye.
Answer: Jee nahi, nikah perhatay hoay puray 6 kalmay perhna wajib nahi hai.Nikah perhanay ki chand shara’it hain.jin ka nikah perhanay walay ko khiyaal rakhna wahib hay: 1) ehtiyaat e wajib ki bina per nikah ka sighah(jumla) arbi zaban main perha jaay. 2) Nikah perhanay wala qasd e insha rakhta ho.(yani nikah perhanay ki niyat say sighah kahay). 3) Nikah perhanay wala zarori hay k aaqil ho(yani pagal nah ho.) or ehtiyaat e wajib ki bina per na-baligh bhi nah ho.. 4) Nikah perhanay wala nikah k waqt merd or aurat ko moayyan(nominate) ker lain.maslan onka naam lain ya onki taraf ishara karain. 5) Merd or aurat k nikah per razi honay ka ilm ho. 6) Kanwari or rasheeda lerki k baap ya dada k is nikah per razi honay ka ilm ho.balkeh agar lerki apni zindagi k kamo ko khud mukhtari k saath anjaam daiti ho tab bhi ehtiyaat e wajib ye hay k baap ya dada ki ijazat li jaay. (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2333-2342)
Question: salam mufti sahib.mera aap se yeh sawal hai k islam mein aisa rivaaj hai k nikah k baad bi larka larki aik dusrey se nahi mil saktey ?
Answer: Nikah k baad sohar aur biwi danoo aik dosray k liay halaal hain or aik dosray say tamaam lazzaat hasil kersaktay hain or dono aik dosray k badan k kisi bhi hissay ko badan k kisi bhi hissa se mas kar sakhte hain chahae lazat se ho ya baghair lazzat k. laikin agar shohar rukhsati say pehlay jima kerna chahay tu biwi k raazi honay ki sorat main jaiz hoga. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl masla # 406 pg # 236 & Email Rcvd from sistani(d.b),dated:30-0910).
Question: nikah ka tariqa bata den pls aap ki meharbani ho gi?
Answer: 1)Agar aurat aur mard khud daimi nekah ka seega parhain to maher moyyan karne ke baad pahelay orat khay : "zawwjtoka nafasi als sedaqil maaloom" yaani me ne is maher par jo moyyan ho chuka he apne aap ko tumhari biwi banaya aur is ke lamhe bhar bad mard khe : "qbiltuz tazwija" yaani me ne ezdwaj ko qabool kiya, to nikah sahih he aur isi tarh agar faqat "qbilto" khe tab bhi nikah sahih he. (tawzihul masail Aqai Sistani d.b. masaala no. 2377) (sahih arabi ibarat ke liye kitab me dekh liya jae. thanks) 2) Aqade nikah ki sharayet me hain ke:- 1. ahteyat wajib he ke sahih arabi me padha jae. 2 ye ke mard w orat ya uska wakeel sigha padhte waqt qasde insha rakhte hon. 3 sigha padhne wala ethiat ki bina per balig aur aaqil ho . 4)mard aurat mu’aiyan hoon 5)mard aur aurat shadi per razi hoon.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2379)
Question: kya syed larki nan syed se shadi kar sakti hai plz jaldi jawab do sukria
Answer: Shia Syed merd ka nikah ghiar syeda shia aurat k saath hosakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah ghair syed shia merd k saath hosakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asslam-U-Alaikum mera sawal yeh hei k kya internet pr nikah krna jaiz hei Islam mein plz mjy is ka jawab bta dy jaldi sy.
Answer: Agar internet per likh kar nikah kia jey to wo sahi nahi he. Mujtshid se pouchey gye sawalat part # 3, ques # 108 , pg # 54)