Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 1023
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA main by fone nikkha karna chati hon ladka jeddha main hai kaya humara nikha phone per ho sakta hai

Answer: Phone k zarie agar baqia tamam shariat majood hoon to nikah karna sahi he. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 108, pg # 54) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1034
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia sunni larkay say shadi kii ja sakti hay ?

Answer: Agar is baat ka dar aur khof ho k kal ko aap ghumrah bhi ho sakhte hein jis ka ethimal beherhal majood he. to phir aap k lie is k sath shadi bhi jaiz nahi he. hum aap ko bator e khass nasihat kartein hein k aap is terha ki shadi na karein. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 2, ques # 136, pg #62 )

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1050
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya Kisi Syed Or Shia Larki Ki Shadi Kisi Non syed Or Sunni Larkay Sy Ho Sakti Hai Kiya??

Answer: 1)Syed Shia ya Ghair Syed Shia ka kisi Syed Shia ya Ghair Syed Shia say nikah main koi haraj nahi hay.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). 2) Agar is baat ka dar aur khof ho k kal ko shia larki ghumrah bhi ho sakhte hein jis ka ethimal beherhal majood he. to phir shia larki sunni karkay k sath shadi bhi jaiz nahi he. hum shia larki ko bator e khass nasihat kartein hein k wo is terha ki shadi na karein. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 2, ques # 136, pg #62 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1058
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamu alaikum, main ye janna chahta hu k kya islam me haqiqi khala(maa ki behan) ki beti se nikah karna jayaz hai ya nahi? barahe karam quran o hadees ki roshni me rehnumai karen. agar mumkin ho to hawale aur misalen bhi den.

Answer: Jee haan sagi khanla ki baiti say nikah kerna jaiz he. (Ref : A.sistani(d.b),Tauzeehul masa’il, masalah #2360). Quran e kareem main sorah e nisa(sorah#4) ki ayat 22 or 23 main bhi in aurtoo ka zikr hay jin say nikah kerna haram hay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1064
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam Alykum..Im 32 years old syed shia women,i got divorced 3 years before.now i want to marry again but there is no good purposals of sadaat,so shud i go for gair e sadat,,is it halal to nikah with omati(gair e syed)?

Answer: Syed Shia ya Ghair Syed Shia ka kisi Syed Shia ya Ghair Syed Shia say nikah main koi haraj nahi hay.(Ref:Istiftaat A.Sistani I-32).

Id: 1072
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal ye hai k eik lerki jo kunwawri thi, phir us nay apnay parents ki ejazat se mutah ker lia. phir wo contract expire hogia. Kia ab wo larki dobara kisi or mard say mutah karay gi tu kia usay dobara parents ki ejazat ki zarorat hogi??

Answer: jo aurat kanwari nah ho (yani os k shohar nay os k saath jima/hambistari ki ho agarcha aurat ka perda e bakarat nah ki phata ho) os ko nikah kernay k liay wali(baap ya dada) ki ijzat laina wajib nahi.. agar aap k shohar nay muta k baad aap say humbistari ki thi tu ab aap ko dosray nikah k liay wali ki ijazat laina laazim nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2341,2342). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1082
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Apni cousions yani Khala zaad,phoophi zaad,chaha zaad behnon k saath musahfa (shakehand)kerne ka kya hukm hai?

Answer: Phophi zaad,khala zaad,chacha zaad behnain na-mehram hain.or na-mehram aurton k badan or baaloo ko baghair lazzat or haram main mutila honay k khoof k baghair chona bhi haram hay.(Ref: A.sistani(d.b), Minhaajus saliheen, part#3, maslah#16, 90 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1150
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: I am engaged to a girl, with all the consent of her and my parents. After Engagement, we would meet each other, I want to ask can we both do Muta now, and is it required to ask he father again, when we are engaged with their consent?

Answer: In case a girl, who has reached the age of puberty, is virgin and mature (i.e. she can distinguish between what is good or bad for her) wishes to marry, she should obtain permission in this behalf from her father or paternal grandfather, likewise on the basis of precaution (Ehtiyaat e wajib), though she may be passing her life independently. It is not, however, necessary for her to obtain such permission from her mother or brother. (ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2341).

Id: 1183
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya larkay k nikkah k waqt larkay k asal baap ka naam laina zarori hai ya jis nay pala hai us ka naam kafi hai. KIya jis ny pala hai us ka naam baap ki jaga lainay sai nikkah ho jata hai.

Answer: Nikah main baap ka naam laina laazim nahi hay, is k baghair bhi nikah sahi hay.on tamaam maqamaat per jahan baap ka naam lina ho wahaan sagay baap ka naam lia jaay or on tamaam maqamaat per jahan baap ki ijzat laazmi ho, wahan sagay baap ki ijazat li jaay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2333 & e-mail Rcvd from Ayat Ullah Seestani(d.b).

Id: 1197
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Alakum, Is there any possibility to proceed Nikah without ‘Gawah’(witnesses) shukariya

Answer: Nikah main gawah(witness) ki zarorat nahi hoti,is liay baghair gawah k bhi nikah sahi hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, chapter jaded masail, maslah #) masa’il maslah#46).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!