Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 1407
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alykum kia muttah jaiz hai aur yah kis halat main jaiz kiya gaya hai aur quran_o_hedas say iss ka jawad chahiya?

Answer: Jee haan islami main Muta jaiz hai or sharee haisiyat rakhta hai, or Rasool Akram (s.a.w.w) k zamane men raaij tha or Quraan majeed men Bhi Surah Nisa Ki Ayat#24 men zikr mojood hai.(Ref: Tafseer e Namoona Vol # 03, Pg # 241-242-243). Update on dated 22-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1438
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: can i have mutha with same lady again and again without her completion of iddah, if i have comit this in past was it halal. can i have mutah without permission of my wife

Answer: Yes , you can. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2396+Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 202 , Eidition 1417 hij). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1462
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam.. mera sawal ye hay k kia mutta bgher intercourse k b ho sakta hay ? means hm intercorse nae krna chahtay tau kia mutta jaiz hay ? or bgher intercourse k mutta mai b baap ya dada ki ijazat chahye ?? plz reply zrur kr dain e mail adress pay..

Answer: Jee haan, Baghair intercourse or lazzat hasil kerne k bhi muta ho sakta hay, Ab Chahe muta Intercourse kerne k liay kiya jaey ya ayse hi jis men intercourse ki niyat nah ho, dono suraton men agar wo larki aisi Kunwari ho jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1576
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: main aik shadi shuda aurat hun..mera husband 2 saal se beemar hai..2 saal se koi sexual relation nahi hai hamare darmyan..hamara husband wife wala koi relation nahi hai.usne mujhe talaaq nahi di..kia main esi halat main mutta ker sakti hun ???

Answer: Jee nahi aap nikha main rehte hoay kisi or Mard se nikah e daimi ya nikah e muta nahi ker sakti. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2366). Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2316
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: BEWA SAY MUTTA KARNAY KA TARIKA AUR KYA PARNA HOOTA HAI AGAR MARD AUR AURAT DOO HEE HOO KOHEE GAWA NA HOO

Answer: Nikah e Muta ka wohi tareeka hai jo daaimi (permanent nikah) ka hota, Albatta is men ye zaruri hai k nikah se pehle Muta ki muddat (time period) or Haq e Meher taey kerna hoga,or muta k seghe perhe jain Or Nikah me ghawahon ki zarorat nahi hoti hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2333-34-35). Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2499
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: islam mein nikah -al-moota ki ijaazat hey ?? aur zina uar moota mein kia farq hey ??

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Nikah ki 2 aqsaam hain 1. daimi(permanent marriage), 2. ghair daimi / muta(permanent marriage).or agar kisi aurat k saath mutaa karna agarchah lazzat haasil karnay k lie na ho tab bhi sahi he. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2328 ki heading & 2385). Note: Jo faraq naikah or zina main hay wohi faraq muta or zina main hay.Q k muta bhi nikah hi ki aik qism hay or is main bhi nikah k sighay perhay jatay hain is main bhi iddat hoti hay. Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2550
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal yeh hai k agar koi larki sirf paisay k liye mutah karti ho aur usay rozgar k tareqa banalay agarchay wo muta ki sharait poray karay tou kya yeh us k liye jaiz hai?

Answer: Jaiz hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2385). Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2720
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya muttah kunwari larki se kia jaa sakta hai ? aur muttah ki mukammal sharait kia hain?

Answer: 1) Jee haan kanwari lerki se bhi muta kia jasakta hay.laikin ye wazeeh rahay k kawari(virgin) lerhki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerhki ka Baap ya Dada lerhki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larhki khud mukhtaar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341,2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70). 2) Nikah ki do qismain hain 1:Daimi nikah 2:Gair daimi nikah(Mutaa) aur donoo ki shriat aik jaisi hain. Aqd e nikah ki shara,it me hain k :- 1- Ehtiyaat wajib he k sahih arabi me parha jae. 2- ye k mard ya orat ya uska wakeel sigha parhte waqt qasd e insha rakhte hon. 3- sigha parhne wala aaqil ho aur agar apne lie parhe to baligh hona bhi zaruri he. 4-mard aurat mu’aiyan hoon 5)-mard aur aurat shadi per razi hoon.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2335) Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2741
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam mera sawal yeh hy k chiristian konwari larki se muta karny k liay bhi bap ki ijazat zarori hy halankeh yeh on k nazdik ajeeb bat hogi mainy pehly bhi sawal kia tha likin rply nhn aia

Answer: Wssalam o alykum, Jee haan ghair mustaqil kanwari larki k liye baap ya dada ki ijazat zarori hai, haan agar us k baap ya dada kisi bhi musalmaan larke se shadi o mutah nahi karna chahte to phir ijazat zarori nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 394 , 395, Pg # , Eidition# 5). Update on dated 08-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2794
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam, muta kb jaiz hy. aur is k kya ahkam hy.kya do baligh larka larki Allah ko hazir o nazir jaan kr dil se aik dosre ko mia biwi manty hy to kya wo halat e muta me hy?plz reply.

Answer: Ws-salam o alykum, Muta nikah ki aik qism hai, or in dono ki sharaet bhi aik hi hain magar ye k Muta k sahi hone main muddat (time) or meher ka muayyan karna shart hay or Allah ko hazir o nazir manne se muta nahi hota balke nikah ki tarah is ki sharaet main se aik ye hai k ghair mustaqil kanwari larki k liay baap ya dada ki ijazat ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # after 2327 , 2334 , 2340 , 2341). Update on dated 08-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!