Question: salam kia hum kisi ghar shia larki k sath muta-a kar k mubashrat kar saktay hain agr wo razi ho tu.plz ans early
Answer: Jab tak Sunni larka ya larki Nikah e Mutta k Sharee hone ka aqeeda na rakhen tab tak kisi sunni larke ya larki k liay Nikah e mutta waqe nahi hoga.(yani sahi nahi hoga).(Email.Rcvd from A.Sistani.org, dated:27.03.11) Update on dated 25-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: tell me about muttah either we can read it in urdu?if we want to do muttah
Answer: Ehtiyaat wajib ye he k Nikah sahi Arabi men parha jaye,or agr khud mard or aurat sighah arbi main na perh saktay hon tu arbi k ilawa kisi dosri zaban main perh sakte hain or kisi ko wakeel banana lazimi nahi ha. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2334-5). Update on dated 25-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: a.o.a molana kia muta ke be edat hothi hai?ager hai tho kitni?
Answer: Muta ki iddat do haiz hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 574, Eidition 1417 hij). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: what is the process of nikkh e muttah and what are the rules of nikkah e muttah
Answer: Nikah e Muttah ki sharayet me hain ke. 1. Ehtiyaat wajib ye he k Nikah sahi Arabi men parha jaye,or agr khud mard or aurat sighah arbi main na perh saktay hon tu arbi k ilawa kisi dosri zaban main perh sakte hain or kisi ko wakeel banana lazimi nahi ha. 2. Sigha parhne wala aqal-mand ho or agar khud apne liye parh raha ho to baligh bhi hona zurari hai, 3. Mard or aurat or uska wakeel sigha parhte waqt qasd-e-insha rakhte hon (matlb ye niyat ho k abhi nikah ko eejad ker rahe hen) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2335) 4. Nikah Mutta parhne se pehle Muta ki muddat or Meher taey kerliya jaey. 5. Pehle Orat kahe (زوجتک نفسی فی المدۃ المعلومۃ علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma’loom) Or os k baad mard foran kahe (قبلت) (qabilt) tu nikah hojayga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2334-5). Update on dated 25-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Iam a married woman, can i do a Muta with my husband permission?? He cannot perform sex fully therefore he allow me to do muta with a sunne man. Can i do ?
Answer: Jee Nahi, Ye jaiz nahi hai, chahe shohar aap ko iski ijazat hi Q nah dede.(Ref: Ayat-ul-Allah Khoie (db),Tauzeeh-ul-masaail, pg#355,360). Update on dated 25-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam nikah e mutah ki full detail mujhey send karain kia is ka saboot quran main hay
Answer: Quran Men Suran e Nisa ki Ayat# 24 men iska shara`ee or jaiz hona sabit hay. Or iska tareeka ye hai k. 1. Ehtiyaat wajib ye he k Nikah sahi Arabi men parha jaye,or agr khud mard or aurat sighah arbi main na perh saktay hon tu arbi k ilawa kisi dosri zaban main perh sakte hain or kisi ko wakeel banana lazimi nahi ha. 2. Sigha parhne wala aqal-mand ho or agar apne liye perh raha ho to baligh bhi hona zurari hai, 3. Mard or aurat or uska wakeel sigha parhte waqt qasd-e-insha rakhte hon (matlb ye niyat ho k abhi nikah ko eejad kr rahe hen) 4. Nikah Mutta parhne se pehle Muttah ki muddat or Mehar taye ker liya jaey. 5. Pehle Orat kahe (زوجتک نفسی فی المدۃ المعلومۃ علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma’loom) Or os k baad mard foran kahe (قبلت) (qabilt) tu nikah hojayga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2334-5). Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam. My questions is that Can I do Mutah with Suni Virgin Girl without getting permission from her Father or Grand Father, if we both decided to do only oral (by hands) and not doing humbistari. Thanks.
Answer: If a girl has reached the age of bulugh and is virgin and mature (i.e. she can decide what is in her own interest) wishes to marry, she should, obtain permission from her father or paternal grandfather, although she may be looking after her own affairs. It is not, however, necessary for her to obtain permission from her mother or brother. In the following situations, it will not be necessary for a woman to seek the permission of her father or paternal grandfather, before getting married: 1. If she is not a virgin. 2. If she is a virgin, but her father or paternal grandfather refuse to grant permission to her for marrying a man who is compatible to her in the eyes of Shariah, as well as custom. 3. If the father and the grandfather are not in any way willing to participate in the marriage. 4. If they are not in a capacity to give their consent, like in the case of mental illness etc. 5. If it is not possible to obtain their permission because of their absence, or such other reasons, and the woman is eager to get married urgently. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2341-42). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mutaa kintay age mai aur kisi bhe girl friend se ki jaati hai? agar dono razi hai..
Answer: 1-Muta e nikah men umar ki koi pabandi nahi hay, Na baligh ka nikah bhi ho sakhta he. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2340). 2-Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335) 3-Na-baligh larki se nikah os k wali(baap ya dada) ki ijazat se sahi hoga laikin jab tak larki ki umar qamri 9 saal nah ho jaey tab tak us k saath jima (hambistari ) karna haram he. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2374). Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mere sath meri girl friend hai aaj raat ka liye aur muj se gunah hone ka khatra hai ..to kya me khud uss k sath ek raat ke liya mutaa pad sakta hoon??
Answer: wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya professional (prostitute) se muttha jaiiz hai agar wo iddaat ke leye razi ho?
Answer: Chahe wo iddat k liay razi ho ya na ho, Professional (prostitute (matlb jo zina-kar mashoor ho) se mutta kerna ehtiyat e wajib ki bina per jaiz nahi hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 261, Eidition 1417 hij). Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).