Question: Assalam-o-Alaikum, Agha Shab I want to know that: If Pregnant woman want to know the gender (Sex) of child that she have a boy or girl before delivery and because of this she did ultrasound and knows that. Is this OK?
Answer: Jee haan bazat-e-Khud ye JAIZ hay.Ref:Istiftaat A.Sistani I-17.
Question: Kiya wife pregnant ho to us kay saath hambistari ke jasakti hay?aur kuch log kehtay hain kay 7 month start honay say delivery kay 40 days baad tak wife kay saath hambistari nahi karni chahiye.. kiya ye baat theek hay ?
Answer: dauran-e-hamal (during pregnancy) mein jima karna jaiz hai, chahey koi sa bhi mahina ho. aur bachay ki wiladat kay baad jab nifaas ka khoon (blood) band ho jai to jima karna jaiz hai. aur agar khoon 10 din se ziyada jari rahay to yeh khoon-e-haiz ki tarha hoga. yanay agar is ki haiz ki adat kay ayyaam maslan (for eg.) 7 days hain to 7 days tak nifaas shumaar hoga. aur baqya dino kay liyay tafseeli kitab mein "istehaza" ke ehkaam ki taraf ruju karain.aur agar yeh khoon 10 days se ziyada nahi aae to phir yeh poora nifaas shumaar hoga. REF: A.Sistani, www.sistani.org, chapter: jima, Q: 5+25.
Question: Salaam.. During the pregenency intercourse Jaiz hai.?
Answer: jaiz hai. REF: www.sistani.org, arabic istiftaat, jima, Q:5.
Question: kia emedden isqate hamel karana jaiz hai or is kia kafara hai? bahalatay majbore k nazeryay say bhe roshnee daliay.
Answer: Jee nahi,qarar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad isqaat e hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k keh hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsandah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat jaiz hay,laikin hamal main jaan perhnay k baad bachchay ka zaya kerna jaiz nahi hay. Aur agar maa khud bachay ko zaya karay to o ski diyat sohar ya doosray warsa ko de. Aur agar bap hamal zaya karay to zurari he k maa ko diyat de(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) jaded masayl ,masla # 73). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: jab bewi pragnet ho jay to hamal thar jane ke bad kab se kab tak uss ke sath sex ker sakte hai?????????
Answer: Jab biwi hamila ho to wazu kar k hambistri karna mustahib he. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3,masla # 5) Albetta bachay k pate se bahir aanay k waqt se 10 din tak jo blood aata he os ko nifas kahtay hein aur in 10 dinoo me jima karna haram he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 504) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam hamul ke doran agr maan aor bacha dono ki jan khatre ma ho to is surat ma kis ko bachana wajib aor kis ko bachana wjib nhe he......
Answer: Qarar e nutfa k baad isqaat e hamal jaiz nahi hay magar ye khof ho k hamal ka baqi rakhna aurat ki zandigi k lie nuqsandah to hamal mai agar jan na pari ho to bachay ko zaya karna jaiz hai. laikin hamal mai jan parnay k baad bachay ka zaya karna hargiz jaiz nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, jaded masail, masla # 72)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kya aborsion karna jayez hai? agar hai tou kis surat main?
Answer: Hamal girana(Abortion) jaiz nahi hay, agar hamal k baqi rehne se aurat ki zindagi ko khatra ho ya na-qabil e berdaasth zehmat hogi tu agar hamal main rooh nah aae ho tu hamal girana jaiz hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #72). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: jab bivi pergnent hoti hai to shoher ko kab jana huta hai hum bistari ka liya ka intazar karna huta hy 9 month.
Answer: Jab biwi hamila ho to wazu kar k hambistri karna mustahib he. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3,masla # 5) Note : albetta is masla me doctor se bhi rajoe kar lia jay.
Question: AoA Hamal sy biwi ho to bk tk hm hambistri kar sakhty hain?
Answer: Haamilah (pregnant) biwi say hambistari (Itercourse) kerna haram nahi hay.Mustahab hay k biwi say wuzu ker k hambistari ki jaay waqt khaas taur per jab wo haamilah ho.Biwi say halat e haiz(period) or nifaas main hambistari kerna haraam hay. Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(tauzeehul masail,Ayatullah Sistani (d.b.),maslah #2382). (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen,part#3,maslah#5,email Received from Ayat Ullah Seestani(d.b),dated 13-07-10,Tauzee hul masail, maslah#448,504). Note: Doran e hamal jima kertay waqt is baat ka zaroor khiyaal rakha jay k aap jima k waqt bivi k pait per apnay jism ka wazan nah daalain, is say hamal ko nuqsaan pohanch sakta hay.aam taur per doctor hazraat 8th mahinay say jima kernay say mana kertay hain.laikin ye her aurat ki jismani kaifiyaat or taqat per muhasir (depend) hota hay.hum aap say guzarish kertay hain k aap is silsilay main apni bivi k lady doctor say ruju karain or hamal ko nuqsan pohchanay wali chizoo say perhaiz karain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Meri bivi pregant hai. 6 mahine ka bachha hai. Kya hum daily sex kar sakte hai?
Answer: Haamilah (pregnant) biwi say hambistari (Itercourse) kerna haram nahi hay.Mustahab hay k biwi say wuzu ker k hambistari ki jaay , khaas tor per jab wo haamilah ho.Biwi say halat e haiz(period) or nifaas main hambistari kerna haraam hay. Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho. (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen,part#3,maslah#5,email Received from Ayat Ullah Seestani(d.b),dated 13-07-10,Tauzee hul masail, maslah#448,504, 2382). Note: Doran e hamal jima kertay waqt is baat ka zaroor khiyaal rakha jay k aap jima k waqt bivi k pait per apnay jism ka wazan nah daalain, is say hamal ko nuqsaan pohanch sakta hay.aam taur per doctor hazraat 8th mahinay say jima kernay say mana kertay hain.laikin ye her aurat ki jismani kaifiyaat or taqat per muhasir (depend) hota hay.hum aap say guzarish kertay hain k aap is silsilay main apni bivi k lady doctor say ruju karain or hamal ko nuqsan pohchanay wali chizoo say perhaiz karain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)