Question: main nay apni wife ko ghussay main teen martaba kaha kay main nay tumhain talaaq di kya meri talaaq ho gae hai kya mujhay 3 mahinay kay baad doobara talaaq daini ho gi
Answer: Talak ki sharait ko made nazar rakhte hue ye talaq sahi nahi hai (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: If a wife had not had sexual intercourse with her husband for two months and the husband pronounce the third talaq while the wife is in haidh is the talaq valid?
Answer: 1) A man who divorces his wife must be adult and sane, but if a boy of ten years of age divorces his wife, precaution must be exercised. Similarly, a man should divorce of his own free will, therefore, if someone compels him to divorce his wife, that divorce will be void. It is also necessary that a man seriously intends to divorce; therefore, if he pronounces the formula of divorce jokingly, the divorce will not be valid. 2) It is necessary that at the time of divorce, wife is Pak from Haidth and Nifas, and that the husband should not have had sexual intercourse with her during that period. 3) It is necessary that the formula of divorce is pronounced in correct Arabic using the word “Taliq”; and two just (Adil) persons should hear it. If the husband wishes to pronounce the formula of divorce himself and his wifes name is, for example, Fatima, he should say: Zawjati Fatima taliq (i.e. my wife Fatima is divorced) and if he appoints another person as his Wakil to pronounce the formula of divorce, the Wakil should say: Zawjatu muwakkili Fatima taliq (Fatima, the wife of my client is divorced). And if the woman is identified, it is not necessary to mention her name. And if the husband cannot pronounce divorce in Arabic, or cannot find a Wakil to do so, he can divorce in any language using the words of the same meaning as in Arabic formula. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2462-73)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kia aurat mard ko talaq da skti ha
Answer: Talaq dainay ka huq merd ko hay , laikin ye mumkin hay k merd apni bivi ko khud talaq nah day balkeh talaq k liay kisi shaks ko wakeel muqarrar karay or wo ye bhi ker sakta hay k apni biwi ko talaq dainay k liay khud os biwi hi ko wakeel muqarrar karay k wo talaq k seeghay jaari karay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#473, 503 ) Aurat k liay ye jaiz hay k wo naikah k waqt shart rakhay k wo apnay shohor ki janib se khud ko talaq dainay ki wakeel hogi.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#334 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asllam u alekum meri saadi huw 7 sal hu gye h sasural wale muj se talaq lena chate h me talaq nhi dena chata hu agar me talaq nhi duga to talaq nhi huga na or agar muj se jebar dasti talaq lege to talaq huga ya nhi metalaq nhi dena chata hu plz help
Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3.zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: khulla key bad bv shohar se shadi karna chaey to kiya hukum hai kiya halala zaroori hai jab k shohar ne muh se talak nahi di kagzi amal huwa ho
Answer: Talaq ki khuch shara,it hain jin main se ye shart bhi hay k talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay or 2 adil merd osay sunain.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2472). Note: aap ki talaq e khula durust nahi hay or aap ko apne shohar se shadi kerne ki koe zarorat nahi hay q k aap ki talaq hi nahi hoe or wo ab bhi aap k shohar hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Q. mere husband ne mujhe tallaq ke paper bhejdiye jis main 2 witness ke bhi sign hain likin mujhe zabani tallaq nahi di 2 beetiyan bhi hain meri kiya tallaq hogai
Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) . Note: Talaq k seeghay bivi k saamne perhna zarori nahi hain, yani bivi ki ghair maujodgi main bhi 2 adilo k saamne talaq k seeghay perhay jasktay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalamualaikum mai ye puchna chahta hu k 80saal ka budha aur 25 saal ki biwi kya wo ladki us shohar sey talak le sakti hai islam mey kya ye jayez hai
Answer: Jee haan biwi shohar ye talaq maang sakti hay, laikin shohar par wajib nahi k wo os ko talaq day jab k wo os ko naan o nafaqqa or dosri zaroriyaat e zindagi day raha ho. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah#379,428 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Agar koi aurat Hamla (Pregnent) ho tou kiya us ko talaq (Devorce) ho sakti hai ya nahi
Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Agar shohar ko maloom ho k b.v hamlah hay tu os ko talaq daina sahi hay chahay wo hamlah ho ya nah ho. Or agar shohar b.v ko haiz ki halat main talaq day day or baad main shohar ko pta chalay k oski b.v hamlah thi tu talaq batil hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2464). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mera rishta ho chuka tha mere mangetar ne mujhse kaha ke agar nikah k baad tumhe tu se bolu to tumhe talaak ho jae mujhe yaad nahi unhone ye alfaaz kitni baar kahe ab mera unse nikah ho gaya he .. To wo ab mujhse tu se bolenge to kya talaak ho jaegi
Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: aoa mery nikah ko 3 hogay aur rukhsati ni hoi aur main apny shohar say khula layna chati hoo plz koi ka qanoni tariqa bata day jazak Allah
Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Talaq e Khula: os aurat ki talaq ko jo apne shohar ki taraf maa,il nah ho or os se nafrat kerti ho apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh woo say talaq day day, talaq e khula kehtay hain. Talaq e khula main mutabar hay k aurat apne shohar se is qadar shaded nafrat kerti ho k osay wazifa e zaujiyat(maslah hambistari ) ada nah kerne ki dhamki day.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2492). Note: aap apne shohar ko talaq daine par razi Karin k wo aap ko talaq day chahay wo baghair kisi raqam ko wusool kiay baghair aap ko talaq day ya phir aap apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh woo say talaq day day.yehi iska qanoni or sher,e hal hay. Q k agar shohar apne tamaam huqooq e shar,e puray ker raha ho to os ko koe bhi majboor nahi ker sakta k wo apni bivi ko talaq day.(ref: ehkaam e azdawaaj, Frasi kitaab, pg#148)