Question: kya nikah se pehle talalq ho sakti hai?jaldi jawab dein mein bht parishan hun
Answer: Talaq di hi jab jae gi jab koi shadi shuda ho agar shadi shuda nahi hai to talaq kaisay ho sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2462)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: ghsa mn talaq ho jati ha
Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabat diay jatay hein. 1)Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464).
Question: agar shohar biwiko aik talaaqe rajai de or phir us se ruju kare tu iska kaffara kia hoga or usko kitni talaaqo ka haq baqqi reh jai ga.
Answer: Is ka koe kaffara nahi hay or ab os k paas srif 2 talaq baqi reh jay gi.Q k Agar koi shakhs apni biwi ko 2 dafa talaq de kar os ki taraf rajhu kar le ya osay 2 dafa talaq de aur har talaq k bad os se nikah kar le ya aik talaq k bad rajhu karay aur doosri talaq k bad nikah karay to teesri talaq k bad wo is mard per haram ho jay gi.lakin agar aurat teesri talaq k bad kisi doosray mard se nikah karay to wo 5 shartoo k sath pehlay mard per halal ho jay gi. Yani dubara nikah kar sakhti he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2491) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ma ny ghsuy mein apni wife ko talaq keh dia ha ek dafa ab kya krna chaye?
Answer: Ye talaq sahi nahi hay. Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 ). 6) Zarori hay k aurat talaq k waqt haiz ya nifaas say paak ho or os k shohar nay oski is paaki k doraan jis main talaq di jaay os say hambistari nah ki ho. Aurat ko haiz ya nifaas ki halat main 3 soorto main talaq dayna sahi hay. 7) shohar nay nikah k baad os say hambistari nah ki ho. 8) Malloom ho keh wo haamlah(pregnant) hay or agar ye baat maloom nah ho or shohar osay haiz ki halat main talaaq day day or baad main shohar ko pta chalay keh wo haamlah thee tu wo talaq baatil hay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Dear Sir Main KHULA ke bare me jaana chatahu kiya KHULA ke bad ladki our shahor us alag ho jate hai kia ouse koi our shadi kar sak tahai ? plz mujhe iss ke bare me bataye A am really thanks to for giving a time my ?
Answer: 1)Jee haan talaq e khula k baad aurat shadi kar sakhtay hay laikin aurat os waqt tak shadi nahi kar sakhti he jab tak aurat ki talaq ki iddat puri na ho jay. 2) Talaq ki iddat : Jis larki ki umar puray 9 saal ho chuki ho aur jo aurat ya’essa na ho, us ka sohar us se mujameat karey to agar wo osay talaq de to zarori he k wo aurat talaq k bad iddat rakhey. Aur aisi aurat ki iddat jis k 2 haiz ka darmiyani faasla 3 maah(month) se kam ho ye he jab is ka sohar osay paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. Aur dosra nikah kar sakhti he. Lakin agar sohar aurat se mujamiat karney se pahle usay talaq de to us k lie koe iddat nahi he yani wo talaq k foran bad shadi kar sakhti he. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2475 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kiya khula k baad wapsi k liye halala zaruri hai pls es guneghar banday ki madad farmey
Answer: Talaq e khula talaq e baa,in main se hay.or talaq e baa,in wo talaq hoti hay k jis k baad merd apni aurat ki taraf ruju kernay ka huq nahi rakhta yani k baghair nikah k dobara osay apni bivi nahi bana sakta yani jab oski bivi ki iddat khatam ho jay tu os se jaeed nikah ker k apni bivi bana sakta hain.((Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah# 514) Teen qisim ki talaq e main iddat nahi hoti yani baghair iddat ki wo dosra nikah ker sakti hain. 1-jis lerki ki umar poray 9 saal(chand k layhaaz se) nah hoe ho. 2-wo aurat jo yaa,esa ho chuki ho (yani jis aurat ki umar 50 saal hogae ho or umar rasida honay ki wajah se osay haiz nah aata ho or dobara aanay ki umeed bhi nah ho). 3-jis aurat ko hambistari se pehlay hi talaq day di gae ho. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Mere husband ne mje gusai ki halat mai 3 dafa talaq dai hai hum akhle tai koi gawa nhe tha aur hmre foran sula ho gai aur sex be kia to kya hmre talaq hui ya nhe?plz jalde jawab dai
Answer: Ye talaq sahi nahi hay. Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye
Question: Meri Biwi muj se talaq ka matalba akele main kar rahi hai
Answer: Agr ap talaq dena chahen to ap talaq de sakte hen. or talaq men is ki tamam sharait ka khayal rakhna zaroori hai, jo ye hen. 1. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2. Talaq zabani di jaye yani likh ker talaq dayna batil hai or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaye. 4. talaq do adil(jo zaahiran gunahgaar na hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo se bachte hon) gawaho ki maujodgi men di jaye. 5. zarori hai k mard talaq apne ikhteyar se de or agr use apni bivi ko talaq dene pr majbur kia jaye to talaq batil hai. 6. Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, lehaza agr wo maslan mazaq ya nashe ya ghusse ki halat men talaq de to,talaq sahi nahi hogi. (Ref: Ayat-ullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, masla # 345)
Question: mera sawal ya ha ka ma na apni wife ko phone pa teen talaq de aak sat jaldi ma or gussay ma mari neeaiat talaq ke nahi the or na he wife na mangi mari 2 months ke beti ha kaya talaq ho gai ha ?plz jaldi batai
Answer: Ye talaq sahi nahi he. Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-2473 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalam O Alaikum! Mera sawal ye hai ke Meri biwi Mujh se Khula laena chahti hain lkn mai sulah chahta hoon.kuch aisa den ke meri biwi Khula ka irada chor de aur wapas meray pass aajay meri aik beti bhi hai 3 month ki.
Answer: Aurat talaq e khula os waqt lay sakhti he jab aurat khud apne sohar ki taraf maail na ho aur us se nafrat karti ho balkeh talaq e khula me mautaber ye he k aurat apne sohar se is qadar nafrat karti ho k usay wazifa e zojiyat ada na karne ki dhamki de.(tauzeehul masail,Ayatullah Sistani (d.b.),maslah # 2492). Wazifa: 1. Hazrat Imam Jaffar e Sadiq (a.s.) se marvi he k surah e Mubarak e jumma ko sohar aur biwi k darmian it’ti’faq k lie 5 bar parhna chahaie. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 84) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)