Question: Assalam-o-alekum: mere susar ka intiqal hogaya hai aur meri saas ki age 73 years hai . Kia meri saas iddat k dinno main operation karasakti hain? Unka operation hona tha aur susar ki death hogae. Please jaldi reply kardain
Answer: Agar koi aurat bewah ho jaye to us ke liay doran e iddat shadi karna, aisa libas pehenna jo zeenat wala ho, surmah lagana, aur isi tarah dosray aise kaam karna jo zeenat mein shumar hote hon haram hain, lekin ghar se baahir nikalna haram nahin hai. Lehaaza wo operation karwane ke liye jaa sakti hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2481,2482). [Updated on 30-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam-o-alekum: mere susar ka intiqal hogaya hai aur meri saas ki age 73 years hai . Kia meri saas iddat k dinno main operation karasakti hain? Unka operation hona tha aur susar ki death hogae. Please jaldi reply kardain
Answer: Jee, iddat main ghar se bahar jaana har sorat main jaiz hay.(Ref: Tauzihul masael, Ayatullah sistani, maslah#2480) [Updated on 30-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Miyan biwi 1 saal tk alag ho aur Aurat Khula Ly to kya Iss surat aurat ki iddat hosakti hai? Asked By: Abdullah ,Email: samikhan.kpk.chd@gmail.com, Country: Pakistan, City: Lahore, Gender: male
Answer: Agar nikah ke baad shohar ne jima karne se pehle talaq dedi ho to is surat me koi iddat nahin yani talaq ke fauran baad dosra nikah kar sakti hai. Laikin agar shohar ne jima (chahe agli sharamghah me ya pichli sharamghah me) kiya ho ya kisi tarah se shohar ki mani aurat ki sharamghaah me daakhil huei ho to is surat me zaroori hai keh wo aurat iddat rakhe. chahe jitna arsa alag rahe hon. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2475). [Updated on 29-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslaam alaikum mera 3 din pahle 3 talak pyr hogae hai . 3 mahine mainsath rahi husband k n 2 .5 years se apne parents k ghr pr hu ... Iddat k duran kya main tution padhne bacho k ghr ja skti hu qki mere na jaane. Se unka nuksaan hoga ..
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Jee han, Iddat chahe khula ki ho ya talaq ki ho ya wafat ki ho is Iddat ke dauran kisi bhi kaam ke silsile me ghar se baahir nikal sakti hain Q ke iddat ke dauran jo cheezen haram hain in me se shadi karna, aisa libas pehenna jo zeenat wala ho, surmah lagana, aur isi tarah dosray aise kaam karna jo zeenat mein shumar hote hon ye haram hain, lekin ghar se baahir nikalna haram nahin hai. Lehaaza tution parhne ke liye jaa sakti hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2481,2482). [Updated on 14-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o walaikum Janab mera sawal ye ha k agar talaq yafta aurat iddat kaise kare agar us k ghar mein koi kamane wala na hu to ?
Answer: Agar shohar ne aurat hambistari nahin ki to aurat par koi iddat nahin hai. lekin agar hambistari ki thi to is surat main aurat itni muddat tak sabar kare (yani nikah na kare) ke aurat ko do baar haiz aaye or phir pak ho jaye or jese hi teesra haiz aayega to aurat ki iddat khatam ho jaye gi phir dusra nikah agar karna chahe to kar sakti hai. (yani talaq ki iddat me nikah ke alawa tamam kaam kar sakti hai or ghar se bahir bhi ja sakti hai, sirf nikah nahin kar sakti ). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2475). [Updated on 08-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: میری بہن کے شوہر کا انتقال 31 May 2022 کو ہوا تھا.. تو بتا دیجئے انکی عددت کس تاریخ کو پوری ہوجائے گی؟؟
Answer: (Note: yeh masalah, Pakistani Citizens ke liye hai or ye sawaal Pakistan ke city Karachi se kia gaya hay,kyu ke har country me chaand ke saabit hone ahtebaar se Chand ki phele tareekh alak ,alak hosakte hay ) Iddat qamari (chand ke) lihaaz se 4 mahinay 10 din iddat rakhni hoti hai (yani shadi karne se ruke rehna hai), nah ke English tareekh ke mutabiq rakhni hoti hai, aur qamari (chand ke) lihaaz se 10 Rabi-ul-awal ko Iddat khatam honi thi jo ke khatam ho chuki hai Q ke aaj kal to Rabi-ul-saani mahina chal raha hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2481,2482). [Updated on 05-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya najaiz talaq Dany waly mard ki bhi iddat hoti h?
Answer: sahe nikha ke baad agar shohar ne APne biwi se aik Baar bhe humbistri ki hay tu Iddat aurat ne guzarni hoti hai wo bhi us surat me jab aurat ko mukamal sharaait ke sath Talaq de di jaye, mard ke liey iddat nahin hoti. (Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2474,2481). [Updated on 08-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya dusri bar muta padne k liye iddat zaruri hai ye pehla muta khatam hote hi dusra pad sakte hai
Answer: Agar mutah ki muddat poori ho jaye ya bakhsh di jaye or mutah ke dauran hambistari bhi ki ho to 2 mukammal haiz iddat rakhna zaroori hogi, us ke baad kisi or mard se nikah kare gi. or agar hambistari nahin huei thi to phir iddat ki zarorat nahin or fauran baad dosre mard se nikah kar sakti hai. lekin wo shakhs jis ne kisi aurat ke saath pehle mutah kiya ho wo ye kar sakta hay ke jis aurat ke sath is ne pehle mutah kiya hai or abhi is ki iddat khatam nahin huei (jabke mutah ki muddat khatam ho gayei ho ya bakhsh di ho) is se daaimi nikah kar lay ya dobara mutah kar lay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2396,2473,2479). [Updated on 31-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya talak ke 1 month bad ladki job ke liye bahar ja skti he
Answer: Iddat chahe Talaq ki ho ya wafat ki, is Iddat ke dauran kisi bhi kaam ke silsile me ghar se baahir jaa sakti hain Q ke Talaq ki iddat ke dauran jo cheez haram hai wo shadi karna. aur wafat ki iddat ke dauran jo cheez haram hain in me se shadi karne ke sath sath, aisa libas pehenna jo zeenat wala ho, surmah lagana, aur isi tarah dosray aise kaam karna jo zeenat mein shumar hote hon ye haram hain, lekin ghar se baahir nikalna haram nahin hai iddat chahe Talaq ki ho ya wafat ki ho. Lehaaza job ke liye jaa sakti hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2481,2482). [Updated on 16-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 1 Talaq ki iddat me Biwi ko khusbu wali chize use kar sakti he yani k shampoo tel ya bodylotion.or mob me vedio dekh sakti he ya TV dekh sakti he
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). (Agar wafaat ki iddat na ho tu )Talaq ki iddat ke dauran upper zikar shuda kaamo me ju halal Hain wo tamaam. Halal kaam kar sakti hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2475). [Updated on 10-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]