Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 13194
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Divorce k baad iddat itni hoti hai (iddat zaruri hoti hai ya nhi ?

Answer: Talaq ki iddat : Jis larki ki umer puray 9 sal ho chuki ho aur jo aurat yaessa na ho, us ka sohar us se mujameat karey to agar wo use talaq de to zurari he k wo aurat talaq k bad iddat rakhey. Aur aisi aurat ki iddat (jis k do haiz ka darmiani fasla 3 mah(month) se kum ho) ye he jab is ka sohar use paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. Aur dosra nikah kar sakhti he. Lakin agar sohar aurat se mujameat karney se pahle (yani shadi to ki hai lekin hambistri nahin ki) use talaq de to us k lie koi iddat nahi he yani wo talaq k foran bad shadi kar sakhti he. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#2355,2475 ) [Updated on 13-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13448
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam o alaikum please btayen k ab mera husband muslman nhi rha mgr main aur hmare bche muslim hain to kia hum abhi bhi mian bivi ki trah ek ghar main rh skte hain?

Answer: Agar koi mard shadi k baad murtad e fitri ho jaye to is ki biwi is par haraam hojati hai. Agar is ne biwi se hambistari ki ho aur aurat yaesa ya Umar mein choti nah ho to aurat ko chahiye ke iddat e wafaat ke barabar iddat rakhay jis ka zikar ehkaam talaq mein bayan hoga. balkay ehthyat e wajib ki bana par agar hambistari nah ki ho ya aurat yaesa ho ya kam Umar ho tab bhi iddat e wafaat ke barabar iddat guzaray. Agar iddat ke douran mard tauba karle aur dono akhatay zindagi guzaarna chahain to ehthyat e wajib ki bana par dobarah Aqad parheen aur agar judda hona chahain to talaq di jaye . [Updated on 24-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13479
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Iddat mai apne hone wale damaad se mil sakte hai??

Answer: Jaiz hai.(Ref: Ayatullah Khomeini, Tauzeeh ul masael, Mafhoom e Maslah # 2514). [Updated on 27-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13485
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamo alaikum kiya idatt men CCtv Camera sy ghar sy bahir manazir or ghar k khayal k k liye CCtv istamal kar sakti hen??

Answer: 1: Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. 2: Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress), surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zeenat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay, laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2481,2482). [Updated on 20-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13565
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya talaq wali aurat iddat k time py ghr sy bahar nikal skti ha?

Answer: Wo aurat jise talaq e rijee di gae ho wo iddat k dooran os mard k liay sahree bivi ki haisiyat rakhti hay yahaan tak keh iddat khatam ho jaey. Aurat k liay zarori hay keh har qism k istimtaa(lazzat) se jo shohar ka huq hay nah roke or jaiz balkeh mustahab hay keh shohar k liay banao singhaar kare or oski ijazat k baghair os k ghar se bahar nikalna jaiz nahi hay. Iddat e rijee k doran bivi k akhrajaat shohar per wajib hain. Bashart yeh keh wo aurat nashiza(Nafarman) nah ho or os ka fitra or kafan bhi shohar k zimme hay. Kisi aik k marne se doosra waris ban sakta hay or mard iddat k doran saali se shadi nahi kar sakta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2508) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13577
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: talak k bad agar aurat idat na krna chahye ya kam se kam kitny dino ke idat krni chahye

Answer: 1: Aurat iddat k doran dursa nikah nahi kr sakti, is liye agrchhe talaq hochuki ho phir iddat k doran aurrat apne shohar ki sharaee biwi ki hesiyat rakhti hai, yahan tak k iddat ka period khatam hojaye.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2475-2508). 2: Jis ladki ki umar qamri 9 saal ho chuki ho, aur isi tarah jo aurat yaesa nah ho chuki ho, os ka shauhar os se hambistari kare to agar wo ose talaq de to zaruri hai keh wo (ladki ya aurat) talaq ke baad Iddat rakhe. Aur aisi aurat ki Iddat jis ke do haiz ka dirmiyaani faasla teen maah se kam ho yeh hai keh jab os ka shohar use paaki ki haalat mein talaq de to wo itni muddat sabr kare keh use dobar haiz aay aur paak ho jaay aur joonhi ose teesri dafa haiz aa jaey to os ki Iddat khatm ho jaey gi aur wo doosra nikah kar sakti hai. Laikin agar shohar aurat se hambistari karne se pahle use talaq de de to os k liay koe iddat nahi yani wo talaq ke fauran baad dosra nikah kar sakti hai. Laikin agar shohar ki mani us ki sharmgaah mein daakhil hoey ho to us surat mein zaruri hai keh wo aurat Iddat rakhe. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2475). [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13578
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: talak k bad agr aurat idat na kary or foren shadi krly to kia hukum ha .

Answer: Talaq ki iddat k doran nikah karna haram hai. agar koi aurat se nikah kare jo dosre ki iddat mein ho to agar mard aur aurat dono ya un me se koi aik janta ho keh aurat ki iddat khatam nahi hui aur yeh bhi jante ho keh iddat ke doran nikah karna haram hai to agar cheh mard ne nikah ke baad aurat se jima na bhi kia ho to woh aurat hamesha ke liay us par haram ho jayegi aur agar donon iddat ke doran hone ya iddat mein nikah ke haram hone se bekhabar ho to nikah batil hai, agar humbistri bhi ki hai to hamesha ke liay haram ho jayenge, agar humbistri na ki ho to haram nahi hain aur iddat ke khatam hone ke baad dobara nikah kar sakte hain. (Ref: Aayatullah Seestani, Tauzeehul Masail, Masala # 2365,2475). [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13622
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam o alaikum agha jan Mera nikkah 2013 men howa tha jo ek sunni Molvi ne parhaya tha kya mera nikkah durust hay? Agha jan ager durust nahi to us larki se ab mujhe 4 bache hen or kya mene zina kiya?

Answer: Agar nikah main seeghay shia fiqh ki sharaet k sath perhe gaey thay tu nikah durust hay. or agar nikah k seghay nahi perhe gaey thay tu nikah durust nahi hoa, laikin Q keh aap ko maloom nahi th keh ye nikah batil hay is liay hambistari ko zina shumaar nahi kia jaey ga laikin aap per wajib hoga keh aap apni bivi se alag ho jain or aap ki bivi apni wati bish shubbah ki 3 haiz iddat rakhe phir os k sath dobara shia tariqe se nikah kia jaey. (Ref: Minhaajus saliheen, ayatullah sistani, maslah#30, 567) [Updated on 13-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13724
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Baywah orat idat me bhir nikal sakti hai ya ni apny shohr ki qabar pe jana k lia

Answer: Bewah aurat jo iddat mai hai us k liye ghar sai bahar nikalna jaaiz hai lehaza wo kahin bhi jaa sakti hai. bus us par ye laazim hai k iddat k doraan zeenat na karay or doosra nikah na karay.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 2481,2482). [Updated on 22-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13738
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: KIYA ORAT BEWA HONY K BAAD , IDDAT MAIN NAYA KAPRA NAYA DRESS PEHAN SAKTI HY//

Answer: Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo hamila nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy gi. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga(colour full dress) libaas pehenna, surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zeenat main shumaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay, laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 35, Mafhoom e Maslah #2481,2482). [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!