Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 3584
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: iddat kise kehte hain kyun ki main jab tak is ka matlab nahi janta mujhe dosra kuch bhi nahin samajh ayega plz jald reply kijiye?

Answer: iddat us zamane ko kehte hen jis men orat k liye dusra nikah kerna jaiz nahi hota, or aysa waqt orat per 2 waja se aata hai ya to uska shohar us ko talaq dede,is ko iddat e talaq kehte hain or dusra ye k uska shohar wafaat pa jaey or is iddat ka maan iddate wafaat hay or is main shadi nah kerne k alawa kuch or kaamo se bhi perhain kerna perhta hay. , albatta iddat ka zamana guzar jane k baad agar orat dusra nikah kerna chahe to ker sakti hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2475-2481). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3739
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A O A. main ek larki se ek ghanta muttah karna chahta hon agar doran sex condem use kron tb bhi us larki ka iddah zaroi hai.....

Answer: Jee haan, is sorat main bhi iddat rakhna hogi. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2479). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 4179
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Jo aurat sohar ki wafat ki iddat mai ho os par kia wajib hai?

Answer: jo orat wafat ki iddat men ho us k liye rangbaranga libaas pehnna , surma lagana or isi tarah doosre ayse kaam karna jo zeenat shumar hote hen haram hen, lekin ghar se bahir nikalna haram nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 4342
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOE- MARAY FATHER INLAW KA INTAQL HAL HE MA HOW HA KEA MARI MOTHERINLAW APNA BAQE EDDAT APNE BATEE KA PASS DUBAI MA KAR SAKTEN HAN ? KEA WHO SAFAR KAR SAKTEN HAN ?

Answer: Jee han jaiz hay .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 4367
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ASalam Walaum > agr nikah ho jaye or rukhsati na ho or Shohar Intakal kr jaye to kya Larki pr Iddat lazim hai ??????......

Answer: Jee han iddat rakhna phir bhi lazim hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2481). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 4447
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar larki waly larky sy talaq lein.kiya larka larki ka iddat ka kharcha dega ????

Answer: Jee haan iddat k doran biwi k akhrajaat uske shohar per wajib hen lekin iski shart hai k wo orat nashza(yani hambistari or jinsi lazzato main shohar ka sath nah dainay wali) nah ho.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2508). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 4874
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalamualy cum janab me abi iddat me hu mere sohar ne muje talak dya he aap muje talak e iddat ke hukuk aur is iddat ke farz aur wajibat bata sakte he ?

Answer: Jab tk orat talaq ki iddat men ho wo dusri shadi nahi kr sakti hai, q k iddat men bhi wo usi ki biwi shumar hogi or sare ahkamat wohi honge jo taklaq se pehle the.albatta iidat khtm hote hi wo ek dusre k liye na-mehram hojaen gay. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2474-2487). Update on dated 25-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 4924
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalamualycum me abi talak ki iddat me hu kya aap muje iddat ke wajibat aur farz bata sakte he ? kya isme kisi male se phone se bat ya MEssage se bat kersakte he ?

Answer: Orat iddat k doran dursa nikah nahi kr sakti, is liye agrchhe talaq hochuki ho phir iddat k doran orat apne shohar ki sharaee biwi ki hesiyat rakhti hai, yahan tak k iddat ka period khatam hojaye.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2475-2508). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5805
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia aurat iddat mai shadi kar sakti hai?

Answer: Jee nahi orat iddat men shadi nahi kar sakti.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2475). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 6074
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: talak k kuch din bad hum nikah ker sakte hain kyon k kuch mujbore thi or lady hamala bhi nahi thi

Answer: Talaq e rije main iddat k doran ruju ker k bivi banaya jasakta hay or agar oski iddat khatam hone k baad ruju kia jaey tu os se nikah ker k os ko bivi banaya ja sakta hay. ker.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2475). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!