Question: Kia talaq ki iddat k Doran biwi ka khrcha husband ki zimedari he ya nhi??
Answer: Wo aurat jise talaq e rijee di gae ho wo iddat k dooran os mard k liay sahree bivi ki haisiyat rakhti hay yahaan tak keh iddat khatam ho jaey. Aurat k liay zarori hay keh har qism k istimtaa(lazzat) se jo shohar ka huq hay nah roke or jaiz balkeh mustahab hay keh shohar k liay banao singhaar kare or oski ijazat k baghair os k ghar se bahar nikalna jaiz nahi hay. Iddat e rijee k doran bivi k akhrajaat shohar per wajib hain. Bashart yeh keh wo nashiza(Nafarman) nah ho or os ka fitra or kafan bhi shohar k zimme hay. Kisi aik k marne se doosra waris ban sakta hay or mard iddat k doran saali se shadi nahi kar sakta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2508). Update on dated 17-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agr kisi oraat ka bacha 8 8 din ka ho or usky husbnd ki death ho jye to kia us py idaat bnti hai???
Answer: Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress),surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay,laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2481,2482). Update on dated 09-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Myri sister ki iddat chal rahi hy aysy mai kia myry shoher un kay samny ja ker unsy baat karsakty hyn?
Answer: 1- Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress),surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay,laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2481,2482). 2- Na-mehram aurat se aisi baatain ki jasakte hain jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kise ajnabi khatoon k saath kiya jana munasib nahi hota .or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahi hay isi tarah gher akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) & http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/). Update on dated 17-09-19. Note: Oper bayaan karda masle ki bunyad per iddat main baywah aurat se baat ki jaa sakti hay. [Updated on 04-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Myri sister ki iddat 11 din pahly shuru hui hy aysy mai kia myry shoher un k samny ja sakty hyn or un sy baat ker sakty hyn?
Answer: agar koi aurat bewah ho jaye to us ke liay doran e iddat shadi karna , aisa libas pehenna jo zeenat wala ho, surmah lagana , aur isi tarah dosray aise kaam karna jo zeenat mein shumar hote hon haram hain, lekin ghar se bahar nikalna haram nahi hai (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail edition 42, Masla no # 2481,2482). [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Qula ka Baad kya sohar apni biwi sa bath karka wapas si nikah kar sakta hai
Answer: agar koi aurat talaq e khula ya talaq e mubaarat ki iddat ke doran apni bakshish se phir jaye to shohar uski taraf rujoo kar sakta hai aur dobarah nikah kie beghair use apni biwi bana sakta hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Ayatullah sistani d.b, maslah no #2498)Û” [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Khula hone K bad kitne din iddat K hote hai
Answer: Agar shadi k baad se hambistari nah hoe ho tu phir koi iddat nahi hai Agar hambistari hoe ho tu iddat rakhni hogi. aur agar hambistri hui hai to phir aisi aurat ki iddat jis ke 2 haiz ka darmiyani fasla teen maah se kam ho yeh hai keh jab us ka shohar use paki ki halat me talaq de to woh itni muddat sabar kare keh use do baar haiz aye aur paak ho jaye aur jo hi use teesri dafa haiz aye to uski iddat khatam ho jaye gi aur woh dosra nikah kar sakti hai. (Ref: tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah 2475) [Updated on 21-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya larki idat k doran kisi gher muharam sy bat Kar Sakti hy?
Answer: Agar koi aurat bewah ho jaye to us ke liay doran e iddat shadi karna , aisa libas pehenna jo zeenat wala ho, surmah lagana , aur isi tarah dosray aise kaam karna jo zeenat mein shumar hote hon haram hain, lekin ghar se bahar nikalna haram nahi hai (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail edition 42, Masla no # 2481,2482). Note: Bewa k liayiddat k doran kisi na mehram se baat karna jaiz hay. [Updated on 17-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera talaq ho chuka h... Me iddat kis tarah Gujaru .?
Answer: Jis aurat k saath us k shohar ne mujamiat ki thi or phir usay talaq day di ho tu aurat k liye zaroori hai k talaq k baad iddat rakhay. Talaq ki iddat ka doraniya 2 haiz hai or jaise hi teesra haiz aaye ga tou us ki iddat khatam ho jaaye gi talaq ki iddat main faqat nikah karna haram hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2475) [Updated on 22-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera dicorce, shadi k 2 months bad hi ho gya tha... Lekin humare bich koi humbistari nhi hui h... Or talaq hue v 5-6 months ho chuke h... Kya mujhe iddat guzarni hogi, or kis trh guzarni hogi... Or dusra nikah kb kr skte h...
Answer: Jee nahi, apko iddat guzarne ki zaroorat nahi Q keh jab shadi k baad shohar aurat se mujameat na kare to talaq ke baad iddat guzaarne ki zaroorat nahi hai, aur woh talaq ke baad foran shadi kar sakti hai.(Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie, Tauzeeh Ul Masail, Masla no # 2520). [Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa. Hm log rent k ghr pr rehty hain. Meri saas ki iddat is ghr se shuru hue hai. Lakin is ghr main kafi masail hain. To kch intehai majburi ki waja se hm ghr tabdeel krna chahty hain. Kya ye mumkin hai..? K wo apni baki idat us ghr main puri kr lain...
Answer: Iddat main ghar se bahar jaana jaiz hay. (Ref: Minhajus saliheen jld#3, maslah#542). [Updated on 28-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]