Question: Me shohar k sath 7 months rahi , uske baad 2.5 saal me ussay alag rahi hmare beech intercourse nhi hwa is dohran r ab mjhe talaq aagai hai . Kya mjh per iddat ayegi ?
Answer: Jis ladki ki umar qamri hisab se poore 9 saal ho chuki ho aur jo aurat yaesa na ho, agar os ka shohar os se hambistari kare aur ose talaq de to zaruri hai keh wo (ladki ya aurat) talaq ke bad Iddat rakhe. Aur aisi aurat ki Iddat jis ke do haiz ka dirmiyaani faasla teen maah se kam ho yeh hai keh jab os ka shohar ose paaki ki haalat mein talaq de to wo itni muddat sabr kare keh ose 2 bar haiz aay aur paak ho jaay aur joonhi ose teesri dafa haiz aa jaey to os ki Iddat khatm ho jaey gi aur wo doosra nikah kar sakti hai. Laikin agar shohar aurat se hambistari karne se pahle ose talaq de de to os k liay koe iddat nahi yani wo talaq ke fauran baad dosra nikah kar sakti hai. (Ref: Ayatullah Ruhollah Khomeini, Tauzeehul masail, maslah #2507). (Note: 7 months pehle jab aap apne shohar ke sath thin agar us waqt intercourse howa tha to aap ko iddat rakhni ho gi aur agar us waqt intercourse nahin howa tha aur baad men bhi nahin howa to aap ki iddat nahin hogi.) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri shadi k 7 months baad kuch maslay ki wajah se me wapis waldein k Ghar agai r uske baad hmare beech intercourse nhi hwa r 2.5 saal baad mjhe talaq agai . Kya mjh pr iddat hogi ? R agar hogi to kitne arsay Tak ?
Answer: Jis ladki ki umar qamri hisab se poore 9 saal ho chuki aur jo aurat yaesa nah ho chuki ho, os ka shohar os se hambistari kare to agar wo ose talaq de to zaruri hai keh wo (ladki ya aurat) talaq ke bad Iddat rakhe. Aur aisi aurat ki Iddat jis ke do haiz ka dirmiyaani faasla teen maah se kam ho yeh hai keh jab os ka shohar ose paaki ki haalat mein talaq de to wo itni muddat sabr kare keh ose 2 bar haiz aay aur paak ho jaay aur joonhi ose teesri dafa haiz aa jaey to os ki Iddat khatm ho jaey gi aur wo doosra nikah kar sakti hai. Laikin agar shohar aurat se hambistari karne se pahle ose talaq de de to os k liay koe iddat nahi yani wo talaq ke fauran baad dosra nikah kar sakti hai. Laikin agar shohar ki mani os ki sharmgaah mein daakhil hoey ho to os surat mein zaruri hai keh wo aurat Iddat rakhe. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, 39th edition, maslah #2475). (Note: 7 months pehle jab aap apne shohar ke sath thin agar us waqt intercourse howa tha to aap ko iddat rakhni ho gi aur agar us waqt intercourse nahin howa tha aur baad men bhi nahin howa to aap ki iddat nahin hogi.) [Updated on 28-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum.. Mere Phoppi ki iddat khatm honay wali hai. and aik rasm hai hamaray khandan mein k kapray wagra dye jayengay phoopi ko. Mujhe yeh pochna hai Islam ya Sunnat kia kehte hai. and kiya dena chahye. Jazakallah
Answer: Ye dunyavi rasam hay, Quran o hadees main is ka koe zikr maujood nahin hay. [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamu Alikum ...kya iddat main mere Ammi T.V Dekh sakte h ...???
Answer: wsalam. jee tv dekhne mai koi maslah nahi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2481,2482) [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar koi aurat bewa hojaye to kiya iddat k doraan wo kisi mard ki awaz mn bayan ya tilawat wagaira sun sakti hai?
Answer: Bewa k liay ye kaam jaiz hay. (Ref: Ayatullah sistani, jadid fiqhi masail, mafhoom e masla #2481). [Updated on 03-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ek saas k lia damad mehram hai? or agar saas iddat mein ho tou kya damad k samnay asakty hai?
Answer: saas k liay damad mehram hay. Agar koi aurat bewah ho jaye to us ke liay doran e iddat shadi karna, aisa libas pehenna jo zeenat wala ho, surmah lagana, aur isi tarah dosray aise kaam karna jo zeenat mein shumar hote hon haram hain, lekin ghar se bahar nikalna haram nahi hai. Lehaza mehram ya namehram afraad se mulaqat kar sakti hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #2481,2482) [Updated on 18-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum... Kya iddat me her mehran se bat ki na Sakti he Kam k silsile me?? Or get mehran Ka photo Dekh sakte he??
Answer: 1: Talaq ki iddat k doran sirf nikah karna haram hai. Is ke elawa koi cheez mana nahin hai. Aur wafat ki iddat k doran nikah karna, rang ba-ranga libaas pehnna, surma lagana aur isi tarah ke dusray aisay kaam karna jo zeenat mai shumaar hotay hon haram hain, Laikin Ghar say bahar nikalna haram nahi hai. Lehaza iddat mai baat cheet karna jaiz hai. Na-mehram se aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koi shehwat angaiz baat nah ho, koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil nah ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh-ul-masail, edition #42, maslah #2475,2481). (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part #3, ques #115, pg #57). 3: Agar lazzat kay qasd k bagair ho to un hisso par nazar dalna jinhe aam tor par mard nahin chupate masalan (chehra, sar, dono hath etc.....) to aisa karna Jaiz hai magar in hisso kay ilawa baqi jism par nigah dalna Haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2397). [Updated on 18-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: asalam o alaikum mera apse swal hai k kia idat me aurat apne bety ka rishta leny ja skti hain lrki walon k ghr ? kindly mjhy yeh bta dein
Answer: Iddat k doran Ghar say bahar nikalna haram nahi hai. Lehaza iddat ke doran baite ka rishta lene ja sakti hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh-ul-masail, edition #42, maslah #2475,2481) [Updated on 26-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya iddat krna zaroori hai
Answer: Jee han, Iddat guzarna zaroori hai chahe Iddat e Talaq ho ya Iddat e wafat. Talaq ki Iddat:- Agar shohar nay hambistri(intercoursesex) k baad talaq di ho tu zarori hay k talaq k baad iddat rakhi jaay. Or aisi aurat ki iddat jis k 2 haiz ka dermiyani faasla 3 maah se kam ho, ye hay k jab oska shohar osay oski paaki ki halat main talaq day tu wo itni muddat sabar karay k osay do baar haiz aay or paak ho jaay or jonhi osay teesri dafa haiz aay tu oski iddat khatam ho jaay gi or wo doosra nikah ker sakti hay. Wafat ki Iddat:- Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lehaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress), surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hon haram hain or dosray nikah say roki rahay, laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition #42, maslah #2474,2481,2482) [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ایک عورت کا شوہر اگر ولیمہ والے دن مر جائے بغیر عورت کو چھوئے تو کیا وہ عورت ایک ہفتے بعد اپنے مرے ہوئے شوہر کے بھائی سے نکاح کر سکتی ہے؟
Answer: Agar koe aurat baywah ho jaay to qamri (Chaand k lihaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakhay. Chahe uske shohar ne us se Jima(Intercourse) kiya ho ya nah kiya ho dono sorton men Iddat e wafat rakhay gi. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liye rang baranga libaas(colour full dress) pehenna, surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zeenat main shumaar hotay hon, haram hain or dosray nikah say bhi roki rahay, laikin ghar say bahar nikalna haram nahin hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #2481,2482). (Note: Us aurat ko 4 mahinay or 10 din ki iddat rakhni hogi aur is ke bad marhoom shohar ke bhai se nikah kar sakti hai ). [Updated on 07-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]