Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 16464
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alikum plz mujha ya malom karna ha ka talaq ka bad iddat 3 month 10 din Hoti jab ka sohar ki death ka baad iddat 4 month 10 din Hoti Kyo ha ASA plz answer zaror deya ga

Answer: Woh sabab jis ki binaa par aik Talaq Yafta aurat ki iddat teen maاh yani teen haiz hai aur jis aurat ka shohar mar gaya ho us ki iddat, shohar ki wafaat se chaar maah das din hai. 1: Abi Haisham se riwayat hai ke aik martaba unhon ne Hazrat Abal Hasan Sani(a.s) se daryaft kya ke Talaq Yafta aurat ki iddat teen haiz ya teen maheene hai to shohar ki wafaat ki iddat, shohar ki wafaat se chaar maah das din kaisay ho gayi? to Aap(a.s) ne farmaya: Talaq Yafta aurat ka haiz ya teen maah ki iddat aurat ke reham ko bachay se pak karne ke liye hai aur iddat wafaat to Allah taala ne kuch sharaait aurton ki muwafiqat mein lagaei hain aur kuch aurton ki mukhalfat mein, aur jo shart un ki mukhalfat mein lagaei hai woh bhi usi shart ke barabar hai. is ki us shart ke jo muwafiqat mein lagaei hai. woh shart jo un ki muwafiqat mein lagaei hai woh yeh hai ke eela(ایلاء) (yani mard qasam khaale ke mein is aurat se hambistari nahin karoon ga) mein chaar maheene rakhay hue hain is liye ke us ko ilm hai ke aurat ziyada se ziyada chaar maah sabr kar sakti hai. chunanchay irshad parwardigaar hai ke: (pas mard ke liye yeh jaaiz nahin ke chaar maah se zayed apne eela(ایلاء) par qaaim rahay) (surah baqra, ayat, #226) (us ko kaffara day kar apni qasam ko torna parhe ga ya Talaq day kar aurat ko azaad karna parhe ga). is liye ke Allah ko ilm hai ke aurat ziyada se ziyada chaar maah tak mard se be niyaz reh sakti hai aur woh shart jo auraton ke khilaaf hai woh yeh hai ke is ke liye irshad parwardigaar hai ke: yani agar shohar mar jaye to aurat par wajib hai ke chaar mah aur das din iddat rakhay jis tarah eela(ایلاء) ke mauqay par shohar ko chaar maah ka paband banaya gaya hai. Allah taala ko ilm hai ke ziyada se ziyada chaar maah tak aurat sabr kar sakti hai is liye yeh dono is ke mukhalif o mawafiq kar diye gaye. 2: Abdullah bin Sinaan ka bayan hai ke aik martaba mein ne Hazrat Imam Jaffar Sadiq(a.s) se arz kiya ke kya wajah hai ke Iddat e Talaq teen maah aur Iddat e Wafaat chaar maah das roz ho gayi? Aap(a.s) ne farmaya: is liye ke Talaq ki soozish (nagawari ya dard waghera ki taseer) aurat ke dil mein teen maah ke andar sukoon paa jati hai aur shohar ki wafaat ki khalish aurat ke dil mein chaar mah das din se pehlay qarar nahin paati. (Ref: Elal-us-Sharaye, pg #531,532). [Updated on 30-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16468
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alikum plz mujha ya malom karna ha ka talaq ka bad iddat 3 month 10 din ki Hoti jab ha bewa hona ka bad iddat 4 month 10 din Hoti Kyo?

Answer: Jawab de diya hai. [Updated on 05-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16564
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salaams If a divorced girl don't want to pay iddah so what's the kaffara for it ?

Answer: (Note: Talaq ki iddat ka matlab ye nahin ke aurat ne alag se ihtemam karna hai ke fulan fulan kaam karna wajib hain balke is ka matlab ye hai ke is dauraniye (time period) me nikah na karay Q ke talaq ki iddat ke dauraan nikah karna Haram hai, lekin baaqi tamam kaam kiye jaa sakte hain jo roz mara anjam diye jaate hain. lihaza agar aurat ne is dauraniye (time period) me nikah nahin kiya to is ka matlab ye hai us ne iddat rakhi hai. lekin agar aurat ne is dauraniye (time period) me kisi se nikah kar liya hai to is ka matlab ye hai us ne iddat nahin rakhi aur ye ghunah gar hai aur zaroori hai tauba kare, lekin kaffara nahin. Albatta ye baat bhi waazih rahe ke iddat ke duaraan nikah karne ka aik sharaei maslah ye bhi hai ke agar koi shakhs aik aisi aurat se nikah kare jo dusre ki Iddat mein ho to agar mard aur aurat dono ya in me koi aik janta ho ke aurat ki Iddat kahtam nahin hui aur yeh bhi jante hon ke Iddat ke dauraan aurat se nikaah karna haram hai to agarche mard ne nikah ke baad aurat se jima na bhi kiya ho to wo aurat hamesha ke liye is par haraam ho jaaye gi. aur agar dono Iddat ke dauraan hone ya Iddat me nikaah ke haraam hone se be khabar hon to nikaah baatil hai, ab agar hambistari bhi ki hai to hamesha ke liye haraam ho jayen ge. agar hambistari na ki ho to haraam nahin hain aur Iddat khatam hone ke baad dobarah nikaah kar sakte hain). 1: Nikah ho jane ke baad agar shohar, aurat se jima karne se pehle biwi talaq dede to is surat me aurat ke liye koi iddat nahin yani wo talaq ke fauran baad dosra nikah kar sakti hai. Lekin agar nikah ho jane ke baad shohar ne aurat se jima kiya tha (chaahe jima aurat ki aaghe wali sharamghah me ho ya piche wali sharamghah me ho, chahe sirf aik baar dukhool hua ho) ya shohar ki mani us aurat ki sharamghaah mein daakhil huei ho to is surat me zaroori hai ke wo aurat Iddat rakhe. 2: Jis larki ki umr poore 9 saal ho chuki ho aur jo aurat yaesa na ho, us ka shohar us se jima kare to agar wo use talaaq de to zaroori hai ke wo (larki ya aurat) talaaq ke baad Iddat rake. Aur aisi aurat ki Iddat jis ke do haiz ka darmiyaani faasla teen maah se kam ho yeh hai keh jab us ka shohar use paaki ki haalat me talaaq de to wo itni muddat sabar kare ke use do baar haiz aaye aur paak ho jaaye aur junhi use teesri dafa haiz aaye to us ki Iddat khatam ho jaye gi aur woh dusra nikah kar sakti hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2365,2475). [Updated on 11-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16584
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Wafat k bad idat k Kiya huqam hn

Answer: Shohar ke inteqal ke baad zaroori aur wajib hai ke us ki biwi 4 mahine or 10 din wafat ki iddat rakhe yani nikah (daaimi ya muttah) nah kare, isi tarah zeenat wala libas nah pehene, surmah nah lagaye, aur isi tarah dosray aise kaam anjaam nah day jo zeenat mein shumar hote hon, lekin ghar se jana haram nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2481,2482). [Updated on 17-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16777
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr aurat k lye iddat guzarne k lye jga na ho kisi majboori se wo apne ghr bhi na reh skti ho or wo bgair iddat nikkah kr k rehna chahti ho to kya wo aesa kr skti hai?

Answer: Talaq ki iddat ke dauran jo cheez haram hai wo shadi karna. aur wafat ki iddat ke dauran jo cheezen haram hain in me se shadi karne ke sath sath, aisa libas pehenna jo zeenat wala ho, surmah lagana, aur isi tarah dosray aise kaam karna jo zeenat mein shumar hote hon ye haram hain, lekin ghar se baahir nikalna haram nahin hai iddat chahe Talaq ki ho ya wafat ki ho. Lehaaza job ke liye jaa sakti hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2365,2475,2481,2482). [Updated on 21-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16778
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr aurat k lye iddat guzarne k lye jga na ho kisi majboori se wo apne ghr bhi na reh skti ho or wo bgair iddat nikkah kr k rehna chahti ho to kya wo aesa kr skti hai?

Answer: Jawab de diya gaya hai. [Updated on 20-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17286
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalam.o.allaiqum.i :ave one question for khulla during iddatshe face alot of difficulties so islam can make an easy way to complete her iddat easily which tasks are prohibbited in khulla edday kindly gives me an answer

Answer: Talaq ki iddat me jis cheez se parhez karna zaroori hai yani jo cheez haram hai wo faqat shadi karna, Lekin is ke alawa aurat wo tamam kaam kar sakti hai jo aam dino me kiye jate hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2475). [Updated on 07-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17615
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr larki ko 8 years ho jayn apney husband say separate hoy aur 8 years k baad dissolution of marriage ho jay phr be us per iddat hogi

Answer: Agar nikah ke baad se talaq hone tak ke dauraan kabhi bhi miyan biwi ke darmiyan hambsitri (aaghe ki sharamghah ya peeche ki sharamghah me) huei thi to talaq ke baad iddat rakhna zaroori hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani (d.b) edition #42, maslah #2475). [Updated on 30-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17621
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia mutta k baad bhe iddat hoti hai agar hoti hai to kitny arsy ki?

Answer: Agar mutah ki muddat ke duaraan hambistri huei thi to aurat iddat rakhe gi lekin agar mutah ki muddat ke duaraan hambistri nahin huei thi to iddat nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2479). [Updated on 30-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17656
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Khula lene k liye iddat kb se start hoti hai?

Answer: Talaq Khula ki iddat ka aghaz usi waqt se shuru hoga jb se khula ka sigha perhna khatam hojata hay chaie aurat ko pata chale ya na chale ke use talaq hoghe hay .pas agar iddat ke barabar din guzar jane ke baad pata chale ke use talaq hoghe hay tu zarori nahe hay ke dobara iddat rakhe (Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 2480) [Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!