Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 514
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam,mutah kei baad iddat hooti hai,toh kya yeh iddat boy n girl dono ko rakhni chahiye ya sirf girl ko? plz reply jald...kyuki boy nei muta ka iddat nahi rakhi thi..plz bohot urgent hai yeh..jald se jald jawab dei.

Answer: Jee han mutta ki iddat hoti , albatta iddat ka hukm islam men faqat orat k liay hai. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2479). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 828
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: my father has died at 13 Nov. my mother is in eddat(that time woman spend in home when her husband died).she is 50 year old.how many days are mentioned for eddat in islam

Answer: Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress),surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay,laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2481,2482). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1088
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aoa, fiqh-e-jaafria me, kisi WOMEN k HUSBAND ki DEATH ki soorat , me wo WOMEN kitni dair ghar se bahir nhe nikal sakti? pls reply soon

Answer: jo orat wafat ki iddat men ho us k liye rangbaranga libaas pehnna , surma lagana or isi tarah doosre ayse kaam karna jo zeenat shumar hote hen haram hen, lekin ghar se bahir nikalna haram nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1108
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: What is the period for Iddat after the divorce? Are there any restrictions on the movement of the woman while she is observing the period of iddat?

Answer: If a wife who has completed nine years of her age and is not in menopause, is divorced by her husband after sexual intercourse, it is necessary for her to observe the waiting period of divorce. The waiting period of a free woman is that after her husband divorces her during her Pak period, she should wait till she sees menses twice and becomes Pak. Thereafter, as soon as she sees menses for the third time, her waiting period will be over and she can marry again.there is no restriction on the movement of the woman while she is observing the period of iddat. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2475). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1399
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: iddat kitne period ki hoti hai? agar kisi ka shohar / husband pehle accident mei bed pe 2.5 months se ho and then who maar jae died aisi larki ko agar shadi karni ho tu aus ke leye kitne period ki iddat ho gi shohar / husband ke marne ke baad?

Answer: Jese hi shohar ki wafat hojaye usi wqt se lekar 4 mahine 10 din tak orat iddat rakhe yani shadi nah kare.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2481). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2157
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir please Quran ke kisi verse ka hawala de kar batai ke ek burhi bewa(an old widow) ki iddat kya hai...? Jis ki umer zeyada ho ... pregnancy ka koi chance na ho...Aur na hi usse periods aate hoo

Answer: Wo aurat jo haamla nah ho, os ki Iddat e wafaat 4 mahine 10 din hoti hay. Quran main sorah baqra ki ayat#234 main is ka zikr hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2481). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2405
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: bewa aurat iddat k doran kab ghar sy nikal sakti ha suraj garoob hony sy pahly ya baad ma

Answer: jo orat wafat ki iddat men ho us k liye rangbaranga libaas pehnna , surma lagana or isi tarah doosre ayse kaam karna jo zeenat shumar hote hen haram hen, lekin ghar se bahir nikalna haram nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3285
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asalam-o-alakum meneap se iddat kay bare mail bhi pocha tha kya aik talaq ki iddat hotti ha jabke mere shohar ne mujhse rojjo karliya ha

Answer: Agar apke shohar ne apko talaq rije di thi or iddat k doran hi rujoo kerliya tha to iddat khatam hojaye gi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2486). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3352
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam O Alaikum.mje mery husband ne 5mah bad tallaq dy de koi khas haq e zojieat b ada ni kia mere iddat ki muddat kia hy?

Answer: Agr ap k shohar ne apse hambistari nahi ki to ap per koi iddat nahi hai.lekin agr hambistari ki thi to is surat main aap itni muddat tak sabar karen k apko 2 baar haiz aye or phir pak hojaen or jese hi teesra haiz ayega to aap ki iddat khatam hojayegi phir dusra nikah agar kerna chahain to kar sakti hen.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2475). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3411
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aik larki jiska nikah 3saal raha aur is doran mubasarat bhi hue to uske bad divorce hogae ab kya iddat kerni hogi ya nahin kerni hogi.

Answer: Jee iddat rakhna hogi. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2474). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!