Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 14360
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ager mian bv mein 4 saal se koi hez na huva ho aur Usk baad woh tlak de de to kya edat wajib ho giii???

Answer: Jee iddat wajib hai. Aur jis waqt talaq k seeghay jaari hoay thay os waqt se hi iddat shuru ho jaati hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #2480). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14676
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamu alaikum Agar kisi ki puri umar kiraye ke makaan me guzar gai or wahi khawind ka inteqaal ho jaye to or unki bewa aurat or bachhon ko apne ghar ja kar iddat kar sakti hai ya jaha shohar ka inteqaal hua wahi iddat puri karna zaruri hai.

Answer: waffaat ki iddat chaad ke hissab se 4 mahene ,10 din hote hai . aurat per wajib nahe hai ke wafaat ki iddat use ghar me guzaare ke jis ghar wo aurat apne sohar ki wafaat ke waqt apne sohar ke sath rehte thi or iddat ke duraain ghar se bahar nikalna bhi haraam nahe hai (ref:sistani .org ,arabi,topic , aliddat filwafaat ,sawaal no:2, 7) [Updated on 16-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14684
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum Recently my mamu passed away and my Mumani is going through her iddat days, my Mumani parents health is not good can she go n meet them. Your quick response will be much helpful.

Answer: wsalam. wafat ki iddat mai aurat par laazim hai k zeenat na kary or doosri shadi na karey lekin wo ghar sai bahar nikal sakti hain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2481-2482). [Updated on 31-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14775
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam u Alaikum..meri waleda iddat main hai is doran kya woh apny mamu se parda karein gi ? Please reply. Thank you

Answer: Agar koe aurat baywah ho jaay to qamari (Chaand k lihaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakhay. Chahe uske shohar ne us se Jima(Intercourse) kiya ho ya nah kiya ho dono sorton men Iddat e wafat rakhay gi. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liye rang baranga libaas(colour full dress) pehenna, surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zeenat main shumaar hotay hon, haram hain or dosray nikah say bhi roki rahay, laikin ghar say bahar nikalna haram nahin hay. Aur mamu mehram hai aur merham afrad se parda karna zaroori nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #2481,2482). [Updated on 14-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14788
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr koi orat bewah ho jae or bewah hony ky bad dobara shadi ka irada na rkhty ho to kia wo idat us pr farz ho gy ya nhe

Answer: Jee wafaat ki Iddat har soorat me rakhni hoti hai chahe shadi ka irada ho ya na ho, wafat ki iddat ki muddat(chand ke hisab se) 4 mahine 10 din hai. Iddat ka matlab faqat shadi se ruki rehna nahin hai balke is ke alawa aur bhi haram chezain hai jin se apne aap ko iddat ke dauran rok ke rakhna zaroori hota hai jese ke zeenat wala libaas pehenna, surmaa lagaana aur isi tarah aise doosray kaam karna jo zeenat shumaar hotay hon, Q ke iddat ke dauran in cheezain ko anjam dena bhi haram hota hai. Lekin ghar sai nikalna haram nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2481,2482). [Updated on 09-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14850
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri shaadi ko 1.5 saal hua h aur mujhe ladka paida hua ladka paida hune ke 9 din ko shohar ka inteqal hua mujhe kitne din iddat karna chahiye 9108143603 ye no. Ko answer dena

Answer: Shohar ki wafaat par biwi ko iddat rakhni zaroori hogi aur iddat ki muddat(Duration) chand ke lehaz se 4 mahine 10 din hai. aur jab se shohar ki wafat hoi ho us din se iddat shuru ho jati hai. Jo aurat wafaat ki iddat mai ho us k liye zenat wala libaas pehenna, surmaa lagaana aur isi tarah aise doosray kaam jo zeenat shumaar hotay hoon haram hain. Lekin ghar sai nikalna haram nahin hai.(Ref: Minhaj us Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, masalah #578,586)+Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2481,2482). [Updated on 30-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14984
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum. Hamari nani idat mein roz hamare ghar atein kya karein

Answer: Agar aap ka sawal wafat ki iddat ke hawale se hai to wafat ki iddat ke dauran bewa aurat ghar se bahir jaa sakti hai (yani aurat ka ghar se bahir nikalna wafat ki iddat ke dauran haram nahin hai). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2481,2482). [Updated on 12-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15384
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya Orat ko iddat ma apny damad sy bat krna mna ha

Answer: Saas k liay damad mehram hay. Agar koi aurat bewah ho jaye to us ke liay doran e iddat shadi karna, aisa libas pehenna jo zeenat wala ho, surmah lagana, aur isi tarah dosray aise kaam karna jo zeenat mein shumar hote hon haram hain, lekin ghar se bahar nikalna haram nahi hai. Lehaza mehram ya na-mehram afraad se baat kar sakti hai koi mana nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #2481,2482). [Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15508
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: talaq k bad iddat se phele dono husband wife ban skty Hain?

Answer: Jee han, ban sakte hain agar talaq, talaq e rejiye hai to iddat ke dauran ruju kar ke dubara biwi banaya ja sakta hai. aur agar talaq to riyie thi lekin talaq ke iddat mukamal ho gayei ho to iddat ke baad nikah ke zariye dubara biwi banaya ja sakta hai tab wo dono phir se miyan or biwi ho jayen gay, Aur agar talaq e baain hai to is men iddat ke baad dubara nikah ke zariye se biwi banaya ja sakta hai tab wo dono phir se miyan or biwi ho jayen gay. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2486,2487,2488). [Updated on 27-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15511
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar talaq hojay or or aisi orat jic ko bacha ho he nhi sakta kia us ko bhi iddat pori krni hogi

Answer: Agar shohar, aurat se jima karne se pehle use talaq dede to us k liye koi iddat nahin yani wo talaq ke fauran baad dosra nikah kar sakti hai. Laikin agar shohar ne aurat se jma kiya ( chaae jima aurat ki aaghe wale sharamgha me kia ho ya piche wale sharamgha me kia ho ) ya shohar ki mani us aurat ki sharamgaah mein daakhil huyei ho to is soorat mein zaroori hai keh wo aurat Iddat rakhe. chahe aulad na bhi hoti ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2475). [Updated on 27-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!