Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 11687
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr kisi ka intekal 28 September 2019 ko (chand ki 28 muharram) his hue he to iddat kab khatm hogi

Answer: Agar koi aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress),surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay,laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Minhajus Saliheen part#2,published by aarul hujjah, Mafhoom e Maslah #1446,1452) (Note: wo aurat muharram k baad k 4 mahine iddat rakhne k sath sath muharram main jitne din iddat rakhi ho os k sath jamius sani se ittne din iddat rakhe k 10 din mukammal ho jain. phir is aurat ki iddat mukammal hogi. [Updated on 11-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11720
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri cousin ki shadi k aik saal baad talaq ho gae lekin wo sirf aik mahina apne husband k sath rahi uss k baad wo dosrsy mulk chala gaya kya uss ki iddat ho gi

Answer: talaq ki iddat : Jis larki ki umer pura 9 sal ho chuki ho aur jo aurat yessa na ho, us ka sohar us se mujameat karey to agar wo usi talaq de to zurari he k wo aurat talaq k bad iddat rakhey. Aur aisi aurat ki iddat jis k do(2) haiz ka darmiani fasla 3 mah(month) se kum ho ye he jab is ka sohar use paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. Aur dosra nikah kar sakhti he. Lakin agar sohar aurat se mujameat karney se pahle use talaq de to us k lie koi iddat nahi he yani wo talaq k foran bad shadi kar sakhti he. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#2355,2475 ) [Updated on 08-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11757
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam!mera sawal ye hay kay iddat complete ho jae to kya krna chahye jesay kay meri khala ki iddat pori honay ko hay to unko kis tarha mtlb koi khas qisam ka ghusal krna hota hay ya kya?

Answer: W/Salam, Jee nahin iddat khatam hone ke bad kuch nahin karna hota aur iddat ke khatam hone ke bad koi gusl nahin hai. lekin agar aap ka sawal iddat e wafat silsilay me hai to agar koi aurat bewah ho jaye to us ke liay iddat ke doran shadi karna , aisa libas pehenna jo zeenat wala ho, surmah lagana , aur isi tarah dosray aise kaam karna jo zeenat mein shumar hote hon haram hain, lekin ghar se bahar nikalna haram nahi hai (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail edition 42, Masla no # 2481,2482).(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani topic wajib gusl edition 39 page # 62,). [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11840
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AoA. Main ny apni wife ko 1 dfaa talaq di phr 3 month sy pehly hm donu ny 1 sath rehny ka fesla kia lekin us k parents ny mery sath ni byja meri wife ko, kia talaq ho gai? Please ans

Answer: Talaq e raje main merd iddat k doran ruju ker sakta hay yani baghair nikah kiay osko wapas apni bivi bana sakta hay or agar iddat k doran ruju nah karay tu iddat k baad nikah k zerye apni bivi bana sakta hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2486,2491) [Updated on 29-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12281
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mamu ki 20 Din phle death hoi hai or Mami pregnant hai iddat poori hone sy phle nikkah kia ja skhta hai?

Answer: 1)G nahin nikah nahin kiya jasakta, Agar koi aurat bewah ho jaye to us ke liay doran e iddat shadi karna , aisa libas pehenna jo zeenat wala ho, surmah lagana , aur isi tarah dosray aise kaam karna jo zeenat mein shumar hote hon haram hain, lekin ghar se bahar nikalna haram nahi hai. 2)Aurat dosri shadi apni iddat khatam honey k bad kar sakhti hai, aur wafat ki iddat ye hai: Agar koi aurat bewa ho jey aur agar wo hamila na ho to qamri yani chand ke hisab se 4 mahine 10 din iddat rakhe. Yani shadi karne se ruki rahe aur agar hamila ho to wazh e hamal tak iddat rakhe. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail edition 42, Masla no # 2481,2482). [Updated on 20-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12287
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kis age ki aurat ko idat kernay zaroori nahi

Answer: Jis larki ki umar pori no saal na hoi ho aur esi tarah jo aurat yaaisa (jis ko umar ki ziydati ki wajah se haiz aana band ho gaya ho) ho chuki ho us ki koi iddat nahin hoti.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #2474). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12542
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir, meri sister ka husband 8 year sy bahar mulk me tha. Aur wahen uski heart attack sy death ho gye. Sawal ye hy meri sister kk idat krny hogi ya nhe.

Answer: ji bilkul wafat ki iddat karni hogi jo k 4 mahine 10 din hai iddat sai muraad ye hai k wo doosri shaadi na karay ya aisay afaal anjaam na de jo zeenat shumaar hote hai jese (surma lagana, naya libaas pehenna wagaira) lekin ghar sai bahar nikal sakti hai.Ref:(Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2481). [Updated on 10-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12890
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Khula ki iddat ka time period kitna hy .

Answer: Talaq ki iddat : Jis larki ki umer puray 9 sal ho chuki ho aur jo aurat yaessa na ho, us ka sohar us se mujameat karey to agar wo use talaq de to zurari he k wo aurat talaq k bad iddat rakhey. Aur aisi aurat ki iddat (jis k do haiz ka darmiani fasla 3 mah(month) se kum ho) ye he jab is ka sohar use paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. Aur dosra nikah kar sakhti he. Lakin agar sohar aurat se mujameat karney se pahle (yani shadi to ki hai lekin hambistri nahin ki) use talaq de to us k lie koi iddat nahi he yani wo talaq k foran bad shadi kar sakhti he. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#2355,2475 ) [Updated on 18-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12944
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir mera yah sawal hai k agr larki talaq mangy or larka dy b dy or 2months k andr andr dobra ruju karna chah rahy hon matlb dobra nikah main ana chahty hon to kya tareeka hai us ka

Answer: Iddat k time men ruju karnay say wapas wo biwi ban jaati hay talaq ka asar khatam ho jata hay.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, Edition# 1439, part#03,Mafhoom e Maslah # 530). [Updated on 16-May-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13162
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamoalaekum, meri khala iddat mein hain,kya iddat mein mamu zaad behan ke bete se parda hai. Wo mere shauhar bhi hain.

Answer: Jo afrad iddat se pehle na--mehram thay wo iddat k doran bhi na-mehram hoon gay. iddat k doran na-mehram se baat karna haram nahi hay.(Ref: Tauzihul masael, ayatullah sistani, maslah#2480-2484). [Updated on 24-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!