Question: AGHA SAHAB MERAS MY BATA , BATI , OR BIWI KA HISA KITNA HY?HISABI SHAKAL MY LIKH KAR BATAEN?SHUKREYA.
Answer: Marne wale k maal se mali wajibaat nikaalne k bad jo maal bache us ka 1/8 hissa(bivi ko zameen se koe hissa nahi milta balkeh zameen k oper ki imarat, fasal or degar cheezo se hissa milta hay) biwi ko dene k baad jo maal bache wo is tarh taqseem Karen ge k bate ko beti k muqaable me dugana hissa mile ga. misaal k taur par marne wale ki aik biwi, aik beta aur aik beti ho aur meraas ki raqam 75,000 rs ho tu 9,375 rs. biwi ko 43750 rs. bete ko aur 21,875 rs beti. Milen ge. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2689-2723). Update on dated 06-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: ASSALAAM O ELEKUM . 8400000 rupees left by ma father , we r 2 brothers , nd 6 sisters , all married , mother is alive , how much for each person ? Thanks a lot . ALLAH HAFIZ . Suhail
Answer: Agar keo maali wajibaat hain tu pehle wo pore kerne k baad agar merhoom k waaldain zinda nahi hain tu merhoom ki bivi yani aap ki Mother k liye 1/8 hissa(bivi ko zameen se koe hissa nahi milta balkeh zameen k oper ki imarat, fasal or degar cheezo se hissa milta hay) hoga , or is baad baaqi meras 10 hisse kiay jain gaey, or is main se Har behen ko 1 hissa or bhai ko 2 hisse diay jain gaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2740-2779). Update on dated 06-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia karrki k naam ghar ya jaidad ka hisa likhwana islam me zarori he
Answer: Zarori nahi. Update on dated 06-06-2015. (Ref : Minhajus Saliheen, part#2,Ayatullah Sistani d.b. masla #1336 ). (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: asa keya walid apne pure jaydat kese ek ladka ka nam karsakte hai
Answer: Jaiz hay.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1320, Eidition 1417 hij). Update on dated 06-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya baap k marne(death) k baad us ki Islamic books per siraf baray beta ka haq hai ya sub baiton ka barabar haq hai? marne walay ne koi waseat nahi ki answer me please thanx a lot
Answer: Marhoom ki Books par us ke sare wurasa ka brabar haq hai, Albattah Marhoom k quraan per faqat barhe bête ka haq hota hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2691-2737). Update on dated 04-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya ager marhoom ki bewi, beta or beti mujood ho to warasat main marhoom k bhai, behn, chacha, taya, mamoon ko hissa milay ga ya nahein
Answer: In ka keo hissa nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2691). Update on dated 06-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mera walid pauth hogaya hain, mere 2 behan hain au aik main hon, mera aik behan bi fouth hochoki hain, ab jadad mere au mere 1 behan main taqseem hogi , ya jo behan fouth hochoki hain us ke bacho ko bi melega?
Answer: 1)Agar aap k walid ki wafaat k waqt aap ki behan zinda thi tu unka hissa unki aulad ko mile ga lekin agar walid ki wafaat se pehle hi wo faut ho chuki theen tu meras men on ki aulaad ka koe hissa nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2691) 2)Agar aik behen walid sahib ki wafaat se pehle faut ho gae thi tu meeras k 3 hisse kiay jain gay or phir 2 hisse aap ka aur 1 hissa aap ki behan ka hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2691-94). Update on dated 04-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: As Salam o Alikum mufti shab mere walidein faut ho chuke hai hum inki aaulad mein teen (3) ladkhiya aur duo (2) ladkhe hai bahiyon ne aapas mein hi hissa kar liya meri baheno ko mujhe kuch bi nahi maila main apna hisha chaati hu .
Answer: Agar qanoon ki madad se aap k liay hissa lena momkin hay tu aap k liay apna hissa lene ki koshish karna jaiz hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Jadeed Fiqhi Masail, Mafhoom e Maslah #). Update on dated 06-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad (s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: allama sahab shia fiqha k mutabiq baap ki jaidaad mein sy beti aur betay ka kya hissa ho ga?
Answer: Her bete ko beti se dugna (double) hissa milay ga.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2694). Update on dated 04-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamu alaikum. Meri walida ka inteqal hogaya. Aur unka mall yani zewar ki takhseem kis tarha ki jani chahiay. jo k sab ko acha lagay aur islam k mutabiq rahe.
Answer: Agar aap ki wailda k inteqal k baad aap k walid zinda hon or walida k waaldain nah hoon tu aap ki walida k pore maal ka (chotha ¼) hissa aap k walid ko or baqi maal ko aulad men is tarah taqseem kiya jaey ga k har bête ko beti se dugna(double) hissa mile hoga, or agr aap k walid bhi zinda nahi hen to aap ki walida ka sara maal is tarah taqseem hoga k aulad men se har bhai apni behn se dugna(double) hissa paey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2691). Update on dated 04-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).