Question: agar mera roza kisi wajha say toot jata hai to mujhaykya karna chahiay?
Answer: Please Aap apney sawal ko wazeh karain
Question: Kindlly quote quranic refrence for "Khums".with related surah and parah.
Answer: Surah Anfaal Ayat #41 (Para #10).
Question: Kindly quote quranic reference of Khums? Can we rely on The Shawal moon which was declared by government?
Answer: Ayat of Khums : Surah Anfaal Ayat #41 (Para #10)... Agar chaand honay ka Yaqeen ya Itmeenaan hasil ho jaey to manna zaroori hay.
Question: what is the process of mutta plz explain me breifly its seegay also.
Answer: Agar khud Aurat aur Mard chahain to -naiz Daimi Nikah(Muta)- ka seegha nikah ki muddat aur meher moien karnay kay baad parh saktay hain.Lihaza Aurat kahay Ýí ÇáãÏÉ ÇáãÚáæãÉ Úáì ÇáãåÑ ÇáãÚáæã ÒæÌÊõßó äÝÓí aur iskay lamha bhar baadmard kahay ÞÈáÊõ to nikah sahih hay.aur agar wo kisi aur shakhs ko wakeel banain to pehlay aurat ka wakeel mard kay wakeel say kahay ÒæÌÊõ ãæßáÊí ãæßöáóßó Ýí ÇáãÏÉ ÇáãÚáæãÉ Úáì ÇáãåÑ ÇáãÚáæã aur is kay baad mard ka wakeel mamooli tawaqquf kay baad kahay ÞÈáÊõ ÇáÊÒæíÌó áãæßöáöí åÐÇ to nikah sahih hay.Ref:Tauzeehul Masail Page No.356 Masala No.2329..Masail..(1).Jo larki sinn-e-buloogh ko pohunch chuki ho aur Rasheeda ho yani Apna bura bhala samajh sakti ho agar wo shadi karna chahayaur Kanwaari ho aur apni zindagi kay umoor khud mukhtari say anjaam na deti ho to usay chahiye kay apnay baap ya dada say ijazat lay balkay aihtiyat-e-wajib ki bina par yehi hukum us kay liye bhi hay jo khud mukhtari say apni zindagi kay kaamoo ko anjaam deti ho.Masala No.2336...(2).Agar Kanwaari na ho laikin baap ya dada is mard kay saath usay shaadi karnay ki ijazat na detay hoon jo urfan o sharaan is ka KUFW (ham palla) ho ya baap ya dada baiti kay shadi kay maamlay main kisi tarah shareek honay kay liye raazi na hoon ya deewangee ya is jaisi kisi doosri wajah say ijazat denay ki aihliyat na rakhtay hoon to in tamam soortoon main un say ijazat lena Laazim nahi hay.isi tarah in kay maujood na honay ya kisi doosree wajah say ijazat lena mumkin na ho aur larki ka shadi karna bay hadd zaroori ho to baap aur dada say ijazat lena laazim nahi.(Masala No.2337)..(3).Agar larki kay baap aur dada ka intiqaal ho chuka ho aur larki fikri aitibaar say baligh ho yani apna bura bhala samajhnay ki salahiyat rakhti ho to koi haraj nahi hay.(I-7).
Question: allah ke sab se nazdeek kon hota hai
Answer: bismehi taala, yeh to wazeh hain k Allah k sab se nazdeek us k bargazida bande hain k jin me sab se sare fehrist Rasoole khuda salllaho alayhe w aalehi was salam aur aal (s.a.a.w.) ki pak-o-pakiza aal w ahle bayt alhemus salam hain. baqi aam bando me Allah se nazdeek hone ki liye dil me rasool (s.a.a.w.) aur aap (s.a.a.w.) ki aal (a.s.) ki mohabbat rakh kau un k farameen par amal pela ho kar mutqrrebeen (nazdik walain) ka rutaba hasil kiya ja sakat hain. mazeed maloomat k liye Aytullah Daste gaibe Sharazin (r.a.) ki kitab tafseere sure waqea ko mulaheza kiya jaye.
Question: Boy name: Sajid Nizam
Answer: test
Question: maine kisi sai bhi yai nahi sunaa hai kai mard or woman ek dosre ka muh me lesakte hai kya yai sahi hai kya plz send me answare in my id
Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. 1-Sohar aur biwi aik dosray k badan k zahari aur baatni tamaam hisso ko hatta keh sharamgah ko bhi dekh sakhtay hein. sohar aur biwi dono apne badan k kisi bhi hissay ko dosray k badan k kisi bhi hissay se mas ya cho saktay hein chahae lazzat se ho ya baghair lazzat k. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl masla # 406 pg # 236) 2-Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat halaq mian nah jaay. Aur is say nikah batil nahi hota hay. Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Slam bhai me apne career k bre me buht pareshan hu me biochemistry me mphil kr rhe hu b manzil ka pata nai job milna mushkl he shadi k b abi koi chancs nai mere leye dua kre muje apne pasnd ke job ml jay nd achi jga shadi ho nd wazifa b btay plz
Answer: 1. wos’at e rizq aur rozi k lie surah e qaaf 3 bar qibla ki taraf monh ker k parhein ajeeb asar rakhti he.(ref kitab payam e shifa pg # 227) 2. Job milnay or shadi hone ki niyat se sadqa dain. Sadqe ki wajah se rizq naazil kiya jata he.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen,Part#2,albaabus saani-fis sadqa, page no.425). 3. Agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. (REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76). 4. Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) 5. Agar jald shadi chahatay hein to ( Ya latee’fo یا لطیف ) ko har roz 129 martaba 40 roz tak bil nagah parhay to jald hi shadi ho jay gi. (ref : kitab naway salaheen pg # 406). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: assalam o alikum..mjhe please aurtoon key wazu karneka sahi tareqa bata dien.. k monthly mences key baad or hubby k sath sath sex key baad paak hone ka tariqa bhi bata dien
Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. 1- Wuzu ki niyat se sub se pehlay chehray ko lamba,e(lengh) main peshani k oper os jagah se lay ker jahaan se baal ugtay hain thorhi k aakhiri kinaray tak dhona zarori hay or chorha,e(width) main beech ki ungli or angothay k phailao main jitni jagah aajaay osay dhona zarori hay.chera dhone k baad pehlay sedha haath or phir ulta haath kohni se lay ker ungliyoo k siro tak dhona zarori hay.or dono haath dhone k baad sar k aglay hissay ka masah wuzu k pani ki os tari(wetness) se kerna chahiay jo hatho ko lago reh gae ho,sar k 4 hisso main se paisahni se mila hoa aik hissa wo maqaam hay jahan masah kerna chahiay, is hissay main jahan bhi or jis andaaz se bhi masah karain kaafi hay.or sar k masah k baad wuzu k paani ki os tari se jo haatho main baqi ho pair ki kisi aik ungli se lay ker pair k jorh(joint) tak masah kerna zarori hay.or ehtiyaat e lazim ki bina par pair k masah main ultay pair ka masah sedhay pair k masah se pehlay nah kia jay.Laikin aik saath dono pairo ka masah kerna jaiz hay laikin ehtiyaat e mustahab hay k aik saath nah karain balkeh pehlay seedhay pair ka masah karain or os k baad ultay pair ka masah karain.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 235,236,244,248,249,251,281) 2- Haiz k khatam hone k baad or hambistari k baad namaz perhne k liay or aisi hi dosri ibadaat k liay ghusl e janabat kerna wajib hota hay jis ka tariqa ye hay: 3- Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365). Note#1: wuzu ki mazeed tafseel jaane k liay is link par click karain(http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/35.htm). Note#2: ghusl ki mazeed tafseel jaane k liay is link par click karain(http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/46.htm). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Mufti sahab agar koi shakhs apni bevi se back side jama kar ly to is ka kafara kia he
Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari(jima) kerna bivi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay.(ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)