Question: teddi khana halal hy yan haram
Answer: Agar tiddi ko hath sai ya kisi aur zariay sai zindah pakar lia jae to wo mar janay k baad halal hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2585)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kia cinema hall jana mutalqan jaiz hai?
Answer: Mutlaqan jaiz nahi hai laikin agar film gumrah karnay aur shehwat bharkanay wali na ho aur isay shehwat ki nigah sai na dekh raha ho aur wo jigha kharab na ho to jaiz hai. (Ref : Sistani.org urdu) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: my behavior is very bad with other people and i usualy misbehave with my family and friends. plz tell me how i improve my "ikhlaq" with other people?
Answer: Ap ko do chezoo per sakti se amal karain, 1
Question: Asalm o laykum, Q-Kya Aurat ko jamat ke sath khule asman me namaj padna jayaz hai ya nahi..plz jaldi batayn.
Answer: Auratoo k lie behtr hai k aisi jigha namaz parhain jo na-mehram sai mehfooz honay k lihaz sai doosri jighoo sai behtr ho chahay wo makan ho ya masjid ho ya koi aur jigha. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 881)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mujhe cigrett ki bhot zyada aadat pad gaee h cigrett chorne k lea main kya karoon ????
Answer: One who recite 686 times bismillah بسم الله الرحمن الرحیم and recite 676 times durood اللہم صلی علی محمد و آلمحمد then pray, your duas/wishes will be answered. (Ref : Naemul aamaal pg # 317) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asdasd
Answer: 1)Nikah chahay daimi ho ya ghair daimi(yani muta) is main seeghah (nikah k bool) perhna zarori hay.aurat or merd ka faqat raazi hona kafi nahi, or isi terah (nikah naama) likhna ehtiyaat e wajib ki bina per kaafi nahi hay. Aqd e nikah ki khuch shara,it hain jin me se khuch ye hain k:- 1)Ehtiyaat e wajib he nikah ka seeghah sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sighah arabi main nah perh saktay hon tu arbi k Alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana laazimi nahi hay. 2) sigha parhne wala aqal-mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari hai . 3)Merd or aurat or uska vakil sigha parhte waqt qasd e insha(nikah ka irada ) rakhte hon. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2328+2335) Agar merd or aurat khud ghair daimi nikah(muta) ka seegah perhna chahain to, nikah ki muddat aur meher taay karney k baad pehlay aurat kahay k (زوجتک نفسی فی المدۃ المعلومۃ علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma’loom) Or os k baad merd furan kahay (قبلت)(qabilt) tu nikah ho jaay ga. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2334).
Question: asa
Answer: sadasdasd
Question: janab e wala aik student ko aj ke dor men kin uloom ka seekhna zaroori he?
Answer: Ap apne maqsad (intrest) ko achi terhan samjeye or phir is ke mutabiq un uloom ko hasil karne ki koshish karain jo ap ke maqsad tak ponhchate hon or Allah Taala ki kushnodi ka bais bhi bante hon. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3 , sawaal # 220 , 221 , pg # 90 , 91 , ALLAH TAALA hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Main bht pareeshan hun meray baal bht taizi say ghr rahay hain ..meri shadi hai plz koe aisa tareeqa ya wazeefa btain k meray baal jald he phr say ghanay hojaen
Answer: Darj zail ayaat e majeeda ko subah ki namaz k baad 11 martaba pani par dam kar k pi lain to qad lamba, baal ghanay aur nazar e bd sai mehfooz rahain gay- i: Surah e furqan surah # 25,ayat # 45 ka shru ka kuch hissa, ( ﺍﻠﻡﺘﺮﺍﻠﻰﺮﺑﻚﻜﻴﻑﻤﺪﱠﺍﻠﻆﻞ ) ii: surah hajj surah # 22, ayat # 5 ka kuch hissa (ﻔﺎﺬﺍﺍﻨﺰﻠﻨﺎ ------ ﻭﺭﺑﺖ), iii:surah e fateh surah # 48, ayat ayat # 29 ka kuch hissa (ﻜﺰﺭﻉﺍﺨﺭﺝ ------ ﺴﻮﻘﻪ), iv:surah e qalam surah 68 , ayat # 50 and 51 (ﻭﺍﻦﻴﻜﺎﺪﺍﻟﺬﻴﻦ ------ ﺬﻜﺭﻠﻠﻌﻟﻤﻴﻦ) (Ref : Naway e Salaheen pg # 327) wazifay par bhi amal karain jo is k alawa qad ko barhanay k lie homoeopathic k drops aatay hain jin k istemal sai bhi faida ho ga. aap apnay qareebi homoeopathic store sai kent 35 khareed kar din mai 3 time aik ghont pani mai 10 drops daal kar istemal karain. Drops k nam (kent 35) hai-(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kya bhabhi se nikah kar sakte hai.
Answer: Bhabi jab tak apki bhabhi (matlab apke bhai k nikah men ho) tab tak unse nikah nahi hosakta, lekin agr talaq jojaye ya bhai ki wafat hojaye to uski iddat ka wqt guzarne k bad nikah hoskta hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2349,2353,before2328).Update on dated 23-06-2016.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)