Question: kya bivi ko lips kiss karsakte hai
Answer: 1) Sohar aur biwi apnay badan k kisi bhi hissay ko doosray k badan k kisi bhi hissay se mass kar sakhtay hein.(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 406 pg # 236). 2)Jee haan, shohar or b.v aik dosray k honto(lips) ka bosa(French kiss) lay saktay hain.(Ref: e-mail rcvd from sistani(d.b), dated: Dec 5, 2011). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Main ek larki se piar karta hon ap mujhe aisy dua btain jis ke parhne se woh bhi mujh ko piar karne lage ?
Answer: Jina e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kia Ayatullah Sistani ky Muqalad Zanjeer Zaini kr skty hen?? Plz Tell me
Answer: zanjeer ka matam karnay mein behtar hai ke mahol (society) aur mutaarif tareeqay kay mutabiq azadari ki jay. (REF: www.sistani.org , farsi , shaair-e-deeni , Q 11.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalamunalaykum, I wanted To know About The (QASR) What is Qasr, is it related to namaz when we go far from our home or What is the condition of QASR For Namaz...I want To Understand Fully About The QASR..Kindly Let Me know About it. Shukriya
Answer: Please see this link. (Ref: http://www.sistani.org/english/book/48/2250/ ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salaam ye zanjeer ka matam qama ka matam ispe koi fatwa hai kya sistani saheb k mujhe plzz bataye
Answer: Ye fatwa tabdeel ho gaya hay, shayad isi liay website se remove ker diya hay. Ham aap ko upto date fatwa send ker rahe hain. Up to date fatwa :Ayatullah sistani (d.b) khoon k matam k jaiz hone ya nah hone main koe raey nahi rakhte lehaza momineen alam falalam ka lehaz rakhte hoay doosre mujtahid k fatwe per amal ker sakte hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame,edition#1433 Mafhoom e pg #885, question#153). Update on dated 21-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: muth marne ka kia azab ha
Answer: haraam o Guhnaah e Kabera hai. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 2009 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: kaya islam me barthday manane ki ijajat h?
Answer: Ager is main Shariat e Muqaddasa ki mukhalifat na ki jaae (masalan parde ka khayaal rakha jaae, gaane wagera na bajaae jaain ect) to jaiz hai. (Ref : aqa sistani,Jadeed masail , part # 2nd, pg # 84 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hia).
Question: mery ek friend hy jo k hindu hein woh meray namaz rozay ka bohat ehtram karty hy kya ys k ghar mein bana howa khana meray liyay haram hy ?
Answer: Ager vegetable food per in ke gele haath lagne ka or is food ke ajzaa main kisi haraam cheez masalan sharaab wagera ke mojood hone ka yaqeen o itminaan na ho ya to kha sakte hain. Or ager food gosht wagera main se ho to is ka khana jaiz nahi hai. (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 153 , 159 , eidition # 5 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: AoA janab aapne bataya k Aadmi ko badan pe Noora Lagana Chahiye kya Aap Bata sakte he Noora Ka Matlab Kya Hai reply asap.
Answer: Chonay or harhtaal(aik qisim ki zehrili dhaat) k murakkab(compound) ko norara kehtay hain.(Ref: tehzeebul Islam, Allama Baqir Majlisi, pg#213+ferozul lughaat,pg#1385). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: waledain ki qaza namaz ada karwanay k lye kisi sy namaz parhwa sakty hain?agar qzaz namaz na ada hogi tou kia waledain per sy qaza namaz ka azab nahi hat sakta?please jaldi reply kardain...please
Answer: 1-Gee haan, insaan k merne k baad on namazo or doosri ibadato k liay jo wo zindagi main nah baja laya ho kisi doosray shaks ko ajeer banaya jasakta hay yani wo namazain osay ujrat say ker perhwae jasakti hain or agar koe shaks baghair ujrat liay on namazo or doosri ibadato ko baja laay tab bhi sahi hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1314). 2-Ajeer aisay shaks ko muqarrar kerna zarori hay jis k baray main itminaan ho k wo amal ko baja laay ga or ehtimaal ho k sahi baja laay ga. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1519) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)