Question: mujey jism ke ghair zaroori baal saaf karney ke barey mian batiye kahan se kahan tak karney chahiye.ye masala bohat aam hia bohat kam logon ko is key barey mian pata hia app ki theek rai chahiye
Answer: bismehi taala, Darhi key elawah jism key baqi baal katna jayez hay (ref:www.qoitrat.org/QA/other/q.198)
Question: Kia islaam main White Gold pehnna jaez hay ya mamno hay?
Answer: White gold sona nahi he lihaza usi pahana jaiz nahi he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 1, ques # 198, pg # 94) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mera sawal ye hai k kya eyebrows pluck kerna haram hai??ya unko shape dena?? aur is bat ko kuch scholers haram kehty hain aur kuch nain...to plz ap mujy betaye k ye haram ha ya nain??
Answer: Eyebrows banwana (Pluking kerna) or inko shape dena jaaiz hay.or na-mehram say chopana wajib nahi.(Ayat Ullah Seestani(d.b), nigah or libaas,sawaal#163).
Question: Salaam 1)I want to ask that kya mehendi zeenat me shumar hoti ha means agar hath par design lagai jae to kya na-mehram k samne gloves se chupana zaruri ha??? 2)And bridal mehendi lagai ho???
Answer: Urf(awaamun naas) ko dekha jaay ga agar wo mehndi ko zeenat sumaar kartay hain to zurori he k na-mehram mardo se chupa’ein. (ref : Email rec from ayatollah sistani d.b. at 28 oct 2010).
Question: can a married woman/women can cut her hair
Answer: It is permissible for a women to cut her hair. (Ref : email received from ayatollah sistani d.b.)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: islam me pant ya salwar takhne se oopar ya takhne ke barabar honi chahiye
Answer: Riwayaat main jo warid hoa hay os ka mafhoom khuch yoon hay k shalwaar itni nehchay nah ho k zameen per righray or najis ho. Aisa kerna takabbur ki alamat hay.(Ref: Tehzibul Islam, pg#21). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sharm gha say ball utarna jaiz hai
Answer: Baaz riwayaat main takeed(mustahab) aae hay k zair e naaf baal ko 40 din se ziyada katne ko terk nah kia jay, or aurat 20 din se ziyada zair e naaf baal kaatne ko terk nah karay. Or rahi baat baghal k baal ki tu riwayaat e kaseera main in baalo ko kaatne k liay baghair mudaat e muayyana ki qaid k hokum diya gaya hay or agar aurat ye baal shohar k liay bivi se lazzat or faida hasil kerne ki raah mian nafrat ka sabab banain tu aurat k liay in baalo ka kaatna wajib hay.(Re: http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/). Note: zair e naaf baal or baghal k baalo k kaatne ki takeed e mustahab aae hay laikin dubur(anus) k baal ki takeed e mustahab nahi aae.. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia orat (woman) orat ky baal (hair)kat sakti hai shadi wghyra k moqa per.
Answer: Jee haan Jaiz he. (ref : e mail rec from ayatollah sistani d.b. dated : April 6, 2011) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Molana Shab Salam, muje ye janna chahtahu k kia meri Bivi kisi Non Muslim Specially Hindu se se Makeup(Eyebro,Facial Massaj etc karwa sakti hai ya nahi jwab ka muntazir rahu ga Thanx Muhammad Raza Karachi Pakistan
Answer: Jee haan non muslim se make-up karwana jaiz he. (Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : August 2, 2011) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: haiz k dino may hatho may mehndi lagana jaiz hay ya nahi?
Answer: Mehandi ya is jaisi doosri cheezoon se khizab karna baaz fukha k qoul k mutabiq makrooh he. Jab ke ayatullaha sistani d.b. k mutabiq makrooh nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 78) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)