Question: Assalam walekum mera sawal hai ki kya koi musalmaan ladki kisi Hindu ladke se sex kiya ho to kya vo ladki kisi musalmaan ladke se shadi kar sakti hai plzz jawab de dijye
Answer: G han kar sakti hai (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2364).Update on dated 17-11-2015.(Ref : Naway e Salaheen pg # 401) (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: salam
Answer: Darj zail ayaat e majeeda ko subah ki namaz k baad 11 martaba pani par dam kar k pi lain to qad lamba, baal ghanay aur nazar e bd sai mehfooz rahain gay- i: Surah e furqan surah # 25,ayat # 45 ka shru ka kuch hissa, ( ﺍﻠﻡﺘﺮﺍﻠﻰﺮﺑﻚﻜﻴﻑﻤﺪﱠﺍﻠﻆﻞ ) ii: surah hajj surah # 22, ayat # 5 ka kuch hissa (ﻔﺎﺬﺍﺍﻨﺰﻠﻨﺎ ------ ﻭﺭﺑﺖ), iii:surah e fateh surah # 48, ayat ayat # 29 ka kuch hissa (ﻜﺰﺭﻉﺍﺨﺭﺝ ------ ﺴﻮﻘﻪ), iv:surah e qalam surah 68 , ayat # 50 and 51 (ﻭﺍﻦﻴﻜﺎﺪﺍﻟﺬﻴﻦ ------ ﺬﻜﺭﻠﻠﻌﻟﻤﻴﻦ) (Ref : Naway e Salaheen pg # 327) wazifay par bhi amal karain jo is k alawa qad ko barhanay k lie homoeopathic k drops aatay hain jin k istemal sai bhi faida ho ga. aap apnay qareebi homoeopathic store sai kent 35 khareed kar din mai 3 time aik ghont pani mai 10 drops daal kar istemal karain. Drops k nam (kent 35) hai-(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: sir, meri hight meri faince se kam hy mai apni hight long karna chata hn kohai wazefa bata dejye ya surat bata dejye plx
Answer: Darj zail ayaat e majeeda ko subah ki namaz k baad 11 martaba pani par dam kar k pi lain to qad lamba, baal ghanay aur nazar e bd sai mehfooz rahain gay- i: Surah e furqan surah # 25,ayat # 45 ka shru ka kuch hissa, ( ﺍﻠﻡﺘﺮﺍﻠﻰﺮﺑﻚﻜﻴﻑﻤﺪﱠﺍﻠﻆﻞ ) ii: surah hajj surah # 22, ayat # 5 ka kuch hissa (ﻔﺎﺬﺍﺍﻨﺰﻠﻨﺎ ------ ﻭﺭﺑﺖ), iii:surah e fateh surah # 48, ayat ayat # 29 ka kuch hissa (ﻜﺰﺭﻉﺍﺨﺭﺝ ------ ﺴﻮﻘﻪ), iv:surah e qalam surah 68 , ayat # 50 and 51 (ﻭﺍﻦﻴﻜﺎﺪﺍﻟﺬﻴﻦ ------ ﺬﻜﺭﻠﻠﻌﻟﻤﻴﻦ) (Ref : Naway e Salaheen pg # 327) wazifay par bhi amal karain jo is k alawa qad ko barhanay k lie homoeopathic k drops aatay hain jin k istemal sai bhi faida ho ga. aap apnay qareebi homoeopathic store sai kent 35 khareed kar din mai 3 time aik ghont pani mai 10 drops daal kar istemal karain. Drops k nam (kent 35) hai-(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Aslam U Alikum, 1) mujhy yeh poochna hy ky agar kisi girl ny sex kiya ho ga to kesy pata chalta h ky uss ny sex kiya hy. 2) kya Quran Pak mein koi zikar h seal ky mutalak? please reply me soonest.
Answer: Wssalam o alykum, 1 – is ko jaanne ki koshish karna guhnaah e kabeera main se hai. 2 - ?? . (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 2009 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)
Question: salam,emtehan may cheeting krna thek hai ?
Answer: Wssalam o alykum, haraam hai. (Ref : Aqa Sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 224 , eidition # 5 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: some question gets here
Answer: asdasdsa
Question: some question gets here
Answer: asdasdas
Question: Kya begunah non muslims ko qatal krna jihad hai?
Answer: Kisi ghair muslim ko qatal kerna tu door ki baat baghair kisi jawaaz k on ko satana or tang kerna bhi jaiz nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Jadeed fiqhi masael,Mafhoom e Maslah #326). Update on dated 05-05-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Zohar ki namaz kb tk parh skty hain timing btain dain?
Answer: Zuhur or asr ki namaz ka waqt zawal e aaftab(Zuhur e sharee) k baad se ghroob e aftab tak hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #718). Update on dated 04-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Anjane m ki galti hogae ho mtlb ksi insan k sth bura kr dya ho anjane m tou phr us galti ka kufara kese ada kiya jae or wo insan b jb samne na ho??
Answer: Aap Khuda ki bargah main sachay dil se Tauba-o-Istighfaar karain aur jin logon ka jo haq aap par baaqi hai us ko ada karain.( maslan kisi ka maal ya haq, nahaq khaya tha tu us say maafi maangain ya us ka haq ada karain ya agar wo log nahin mil rahe hon to us ki janib se radde mazalm ada karain ya jis kisi ke sath zulm kiya tha to us ke haq men dua e khair karain. (Ref: Nehjul balaghah, kalimaat e hikmaat #417) [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]