Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Gunahaan-e-Kabera ( 314 Questions)


Id: 240
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: I want to ask that I had homosex with 1 of my friend being a shia is it good? if it is wrong then what should I do?

Answer: Ye Fiel(kaam) Gunahaan e Kabira main say hai aur Sakht tareen Azaab ka Bais hay Lihaaza aap fauri tor par Khuda ki bargaah main Nadim hotay hoay Tauba karain.Ref:www.sistani.org/html/ara (Lawaatat)

Id: 988
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar ek lrka dusray larkay se lawatat karay to kia baad me us ki behan se nikkah ho sakta hai?

Answer: Aglaam karwanay walay larkay ki maa , bahn aur bati aglam karnay walay per jabke (aglam karnay wala) balig ho haram ho jatay hein.lakin aglam karnay walay ki maa , behan , aur bati aglam karwanay walay per haram nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2369) Agr dkhool hwa ho to : Faail par mafool ki maa , bahn aur bati haram hein agr mafool nabalig aur faail balig ho to agr ya sharit mogood no ho to ya hukm iehtiyat kay mutabiq hay. Mafool par faail ki maa bahan aur bati haram nahi hay (Ref. Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Minhaj us Salaheen v.3 pg. 63 masala 185 & 188)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1452
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mujay kabera gunah ke waja sy merda bemari lag gai is ky liya kuch brain main ny toba sachy dil sy ker le hy kabera gunah ka azalea b brain plz Allah toba kaisy kabol kerta hy detail main brain or her merdana bemari ka Hal b brain plzzzz

Answer: bismehi taala, 1 ) sab se pehle to parvardigare aalam ki barghah me ham ne jo gunah kiye ho un par pshemani honi chahiye, us ke baad aeenda gunah na karne ka pakka irada phi hona chahiye, is k baad tisre marahel me jo gunah kiya gaya he uska azala karna bhi zaroori he aur woh is tarh se k agar namaz ko choda gaya ho to us ki qaza karni padegi aur agar kisi ko kisi qisma ka nuqsan phonchaya tha to woh nuqsan pura karna padega, yeh sari batain insan k apne gunaho ki qafiyyat par he, in umoor ki anjam dahee k baad raheeem o kareem parvadigar aalam se mohammad w aale mohammad s.a.w.w. ka wasta dekar dua ki jaye to inshaAllah zaroor tauba qabool ho jayegi. 2 ) sahifaye kamela jise sahifaye sajjadiya bhi kahete he us me moujood "dua-e-tuba" ek behtreen dua he.ok

Id: 1485
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia yeh kehna k meri qismat buri ha gunnah ha

Answer: kisi insane k lie jaiz nahi k wo hasrat ka izhar karey. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 229, pg # 93)

Id: 1493
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: KIA KOI SAY BEH DRAMAY DEKHNA GUNAH HAI???please batain

Answer: TV drama dekhna lazzat k baghair jaiz hay laikin agar TV dramay main kaam karnay wali na-mehram khawateen k jism k wo hissay jo aam taur say chupay hotay hain,dikha’e dain ,ya dekhnay wala shehwat k saath dekhay ya is k Haram main parhnay ka khauf ho to phir inhain dekhna Jaiz nahi hay.(Ref : Istiftaat A.Sistani I-30.).

Id: 1548
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: gunah kabira ki toba ka trika

Answer: Toba ka tareeqa : sab se pehle to parvardigare aalam ki barghah me ham ne jo gunah kiye ho un par pshemani honi chahiye, us ke baad aeenda gunah na karne ka pakka irada bhi hona chahiye, is k baad tisre(3) marahel me jo gunah kiya gaya he uska azala karna bhi zaroori he aur woh is tarh se k agar namaz ko choda gaya ho to us ki qaza karni padegi aur agar kisi ko kisi qisma ka nuqsan phonchaya tha to woh nuqsan pura karna padega, agar zina kia he to us ko chorna ho ga, yeh sari batain insan k apne gunaho ki qafiyyat par he, in umoor ki anjam dahee k baad raheeem o kareem parvadigar aalam se mohammad w aale mohammad s.a.w.w. ka wasta dekar dua ki jaye to inshaAllah zaroor tauba qabool ho jayegi. Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karte he aur aisa hirgis nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba)

Id: 1549
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: me ye pochna chahti hon k me un marred hon lekin khayalon me sex sochti hon kya ye ghalat ha gunah ha?

Answer: Agar mani nikalne ka sabab na bane to ethiat e mustahib he k usi tark kar dia jey. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 2, ques # 199, pg # 82)

Id: 1553
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar gary syed, syed lagata hai aur apna nikah naama me bhi syed lagata hai to uske liye kya hukam he.

Answer: Ye jooth he aur Allaha per jooth bandhna , us k rasool per joot bandhna , us k ao’sia per joot bandhna balke mutlaq jooth Kabira ghunahoo me shumar hota he. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. masla # 29)

Id: 1591
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir, Agar kisi k sar pe quran rakh k usy uske ki marzi k khilaf kam krne ya faisla karne pe majboor krne jaiz hai ya ni ur ur agar arna jaiz hai to uske liy kia shrait hain

Answer: Amar bil maroof wa nahi anil munkar is surat wajib hota hay jab maroof ka anjaam daina wajib or munkar ka anjaam daina haram ho or Amar bil maroof wa nahi anil munkar is surat mustahab hota hay jab maroof ka anjaam daina mustahab or munkar ka anjaam daina makhroh ho. Amar bil maroof wa nahi anil munkar main laazmi hay k khata kaar ki haisiyat o shaksiyat ko mad e nazar raka jaay keh osay aziyat or ihanat mehsoos nah ho or isi terah laazmi hay keh itni sakhti or dushwari say oski girift nah ki jay keh osay deen or deeni programe say nafrat paida ho jaay. Amar bil maroof wa nahi anil munkar k chand darjay(steps) hain: 1) gunahgaar say dili azhaar e bayzari maslan rukh morh laina or baat nah kerna. 2) Zabaan say waaz o nasihat kerna 3) Amali iqdaam maslan maarna or qaid kerna Or laazim hay keh abtida pehlay ya dosray darjay say ki jay or pehlay oska intekhab karain jis main aziyat kam or asar ziyada ho.or agar natija hasil nah ho tu bil tadreej sakhti or dushwari ikhtiyaar karain or agar dili or zabani azhaar e nafrat asar andaaz nah ho tu naubat amali darjay tak pohanch jati hay or ehtiyaat e wajib hay k teesray darjay k intekhaab k liay hakim e shara say ijazat lain. (ref: a.sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2008,2010).

Id: 1681
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya gair-e-momin ki geebat kerna jaiz hai?aur kya gair-e-momin se hasad kerna gunah nahi hai?

Answer: Momin ki gheebat karna haram hay. Hasad ka (amali tour per) izhar karna ghair momin k sath bhi haram hay. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 2009),(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!