Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Gunahaan-e-Kabera ( 314 Questions)


Id: 1769
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: zina karne ka bahut pachtava hain, sacche dil se tauba karna hain. Meri madad kare

Answer: Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karte he aur aisa hirgis nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba)

Id: 1902
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam, is it permiscible to play card(tash)without bet just to enjoy with friends? Q.2. is it allowed to play chess, or cards on computer without any bet?

Answer: 1)Joay k tamaam alaat k zerye jaisay cards(taash) hain, khelna haram hay basharte keh kisi maal ki saht per khaila jay, balkeh Ehtiyat-e-wajib ye hai k maal ki shart k beghair bhi juwa baazi ko tark kiya jaye. Or computer per jua khelne ka yehi hokum hay. (Ref: jadeed fiqhi masail pg#255+259,masla#470+488) 2) Computer per bhi 2 afraad ka mil ker shitranj khelna haram hay or ehtiyat e wajib ki bina per 1 admi bhi computer k sath mil ker shitranj khele tub hi haram hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Jadeed Fiqhi Masail, maslah # 469) (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa Farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1924
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: is betting alooed on horse ridding

Answer: No, it does not allow betting on horse riding. (ref : email rec from ayat ullaha sistani d.b. dated : April 13, 2011) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1939
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar koi larka kise dosra larka ka sath sex karla aur wo balig na hoo aur us ko kuch nahe pata ho ka yaa kitna bara gunnah hai to us ko gunnah mila ga kya?

Answer: Itstighfar is required. (ref : e mail rec from ayatollah sistani d.b. dated : April 5, 2011) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1970
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: I feel i killed a cat but not deliberately so, what is kaffarah for that. she was wounded but not sure whether died or not.

Answer: Janwar ko qatal kerna jaiz hay or koe gunah nahi hay.aap per koe kaffara nahi.(Ref: sistani(d.b),http://www.sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=139). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2009
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: janab saheb hum india main rahtai hain kya india main light chori jaaej hai

Answer: Ghair islami mumalik me begli ya light chori karna jaiz nahi he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 229 pg # 148) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2104
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asa gunah batain k jis ki maafi na ho sakay?

Answer: Quran e kareem main khuda ka fermaan hay k : “Allah is baat ko maaf nahi kersakta k oska shareek qaraar diya jay or is k alawa jis ko chahay bakhsh sakta hay or job hi iska shareek banaay ga os nay bohot berha gunah kia hay. (Ref:Sorah#4 Nisaa, ayat#48) “Allah is baat ko maaf nahi kersakta k oska shareek qaraar diya jay or is k alawa jis ko chahay bakhsh sakta hay or job hi iska shareek qaraar day ga wo gumrahi main bohot door tak chala gaya hay. (Ref:Sorah#4 Nisaa, ayat#116) Note: wajeeh rahay k sorah e nisaa ki ayat # 48 main jis maghfirat ka zikr hay os k 5 asbaab hain: tauba, hasanaat(naikiyaan), gunah e kabira se ijtenaab, shafaa,at, khuda ka afu o darguzar, in asbaab k baghair bakhshish ka koe tasawwur nahi hay.or is ayat main wada nahi kia gaya hay k shirk k alawa her gunah ko maaf ker diya jay ga balkeh maslah ko mashiyat per moqoof kiya gaya hay k jab tak insaan ko mashiyat ka ilm nahi hay osay apni maghfirat ka intezaam khud kertay rehna chahiaay(Ref: Allama Zeshan Haider Jawwadi k tarjumay e quran ka Hashiya pg#204-5 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2122
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: QURAN PAK KIS GOHNA KI MAFI NAHI ASTAGFIRULLA AGER INSAN SAY ASA KOI GOHNA SIZAD HO JAY TO OS KI TOBA KA KOI TARIKA HI

Answer: Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2123
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: QURAN PAK MAIN SAB SAY BRA GOHNA KONSA HI

Answer: Quran main sab se berha gunah khuda k saath shirk hay. Q k khuda quran main fermata hay k “innash shirka lazulmun azeem”(Ref: sorah e luqmaan ayat#13). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2166
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya kisi larki ko chumna zina hai

Answer: Ye zina nahi hay.laikin ye kaam Haram he. (ref : kitab nigah aur libas Sawal # 109 Pg # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!