Question: insan aik cheez janta hai ky wo galt hai aur wo us say chutkara pana chahta hai but nafs galib a jata hai to kia us per gunah lazim hai aur us say bachnay ka tareeqa kia hai aur shadi say phlay ganday khayalat say kaisay nijat hasil k jay
Answer: Gunahon sai bachnay k bohat sai tariqay hain jin mai sai chand yai hain k 1)mout ki yaad ko dil main bassa’en 4) ye tassawur karain k khuda aap ko har waqt dekh reha hay. 5)khaas tor par namaz e shab ki pabandi karain. 6)Pakiza aur halal ghiza kahain…. etc (Ref : kitab tark e ghunahan k 40 tareeqe). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: haram rozi k bary ma rasool saw ka kia irshad hy?
Answer: Rasool e Khuda s.a.w.w. nai farmaya hai k : jis nai haram ka aik luqma khaya to 40 din tak is ki namaz aur dua qabool nahi hoti hai. jo ghost rizq e haram sai paida hoga wo jahanum mai jae ga aur aik luqmay sai bhi ghost paida hota hai. (ref : muharamaat e islam pg # 269)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: aoa sir mera swal ye ha ke agr aik ladka kisi ladki ke sath kis wghra or touching kre or insertion na kre or kamde bhi pehne hue hon or is duran mani nikl jae to kia zina hoga or kya sirf insertion per hi zina hota ha baki chezain haram hoti han...?
Answer: Na mehram k sath jinsi lazzat hasil karna bagair intercourse k zina nahi hai magar haram hai. (Ref : kitab nigah aur libas masla # 109, pg # 70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: me aik larki ko bhool jaana chahta hon.Quran me sab kuch mojod hai.koi aisi ayat jise par kar me usse bhool jao.usse nafrat jaisa karne lagon.plz help me out of this plz.....
Answer: Hameesha yad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or is kaam ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na farmani ker rahay hain. aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perhna, waghaira. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: gunahe kabeera ketnay han aur kon kon se?
Answer: Ghunahane qabira me se 1)allah k sath shiriq karna 2) khuda ki rehmat se mayoos hona 3) khuda ki tadbeer se apne aap ko aman me samajna 4) un cheaso ka inkaal karna jo allah ne nazil ki hai 5) khuda k waliyo se jang karna 6) ghuna ko halqa samajna 7) oqooq waldain ( waldain ko aziyat dena ) 8) musalman aur har nafas moutarma ko Qatal karna au rise tara inhe zakmi karna , marna aur dosere kaam karna 9) pak daman mard , aurat per sharhi ghawoo k beghair zina aur dosere faisha kaamo ki tumat laghana 10) zulman yateem ka maal khajana 11) naab touol me kami karna 12) chori karna 13) jang sefarar karna 14) sood khana 15) zina karna 16)mard ka mard k sath bad faili karna 17) aurat ka aurat k sath bad faili karna 18) istimna karna 19) miah biwi k ilawa kise bhi zaria se zinse lazat jasil karna 20) do louqo ko haram jinse taloukat k lye mila 21) shoar k lye haram hai k us ki biwi kise dosere mard k sath haram taloukat rakhe aur wo khamosh rahe 22) baghair ilm aur ujat k baat karna 23) jhoote bolna 24) jhoote ghawoi dena 25) jo chase allah ne nazil nahe ki hai us k bare me fatwa dena 26) allah ki jhoote kasam khana fasalo k maqaam per 27) ghawai ko chupana28) janbouch kar namaz ko choor dena29) ramzan k roze ko choor dena 30) wo hajj jo zindaghi me aik martaba wajib hota hai us ko choor dena 31) wajib zakat se mana karna 32) kate rahmi karna 33) aise jagha jana jaha deen ko nuqsaan pouche 34) sharab aur dosere nashe aawar chease pina 36) khizeer aur dosere haram khosh jaanwar ka khoosh khana 39) haram kamai khana 40) israaf karna 41) tabzeel karna 42) mali hoqooq ko baghair kise waja k rook kar rakhna 43) zalimo ki madad karna 44) zalimo ka rukun banna 45) zalimo ki mansab ko qabool karna magar ye k ye mansab halal ho sakta hai aga ye kaam khud halal ho aur is me musa;mano k lye maslehat ho 46) moumin ki gibat karna 47) momin ko gali dena 48) momin ko lanatkarna ,49) momin ki touheen karna ,50) momin ko zaleel karna 51) momin ka mazaak urana 52) momin ko darana 53) momin k razo ko donna 54) momin k ghunaho ko zahir karna 55) momin ko halqa samajhna 56) momin per jhoote bahnna 57) momeneen k darmiyaan chukli karna 58) mou se gandi aur fahash batain karna 59 ) dhoka dena 60) khayanat karna 61) ahad ko tourna 62) apne aap ko dosero se bara zahir karna 63) ibadat me riakari karna 64) hasad ka izhar karna 65) haram mouseqi ka istemaal , jado karna , seekna seghana , joa k alaat ,shatrang khelna . .(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 2009).
Question: Kia shaadi ke baad islam mei sex krna a jaiez hai?????
Answer: Shadi k bad ya shadi se pehle donon suraton men biwi k elawa har orat se sex krna jaiz nahi hai.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430 , Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).
Question: question toh ni h bs mjy in logo py hairat hore h jo itny gunah kiy jary hain ic bat ko jan,nty huy b k hm ny ALLAH k pas wapis jana hai ALLAH sb ki touba qabool kry ameen
Answer: (ghuna gharo ko chaiay k )Ghuzishta amal k liay Allah say Sachay dil say tauba karen Parwardigaar ne quran me wadah kia he k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta he aur aysa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wade per amal na kare. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba).
Question: asslam o alaikum mera name huzaifa hai aur ma puchna chta hu keh agar koi toba kare aur phr wahi kaam kare jis se usne toba kii thi to is ke bare me kya hadis ha plz bataen ma bht pareshan hu
Answer: Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) Hazrat Rasool e Khuda irshad farmatay hain k: Jo shakhs surah e talaq surah no 65 ki tilawat karay ga Khuda os ki toba qabool karay ga jis mai ghunnah ki taraf dubara lotna na ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: salam swal yeh puchna hay k me nay apni behan k breast ko suck kiya tha kiya woh jaiz hay aur usko kai baar khawan mein nanga daikha hay plz batain kiya karun
Answer: wssalam o alykum, jaiz nahi hai or gunaah e kabira hai (Q K Behn mehram oraton men se hen or mehram oraton se is qism se is qism k taluqat jaiz nahi hai siwaye ye k biwi ho). (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430).
Question: Salam!! Kia bura sochne pe gunah hai?
Answer: Haram k baray mai sochna agar mani kharij hone ka sabab na banay to ehtiyat e mustahabb hai k osay trk kia jae. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 199,pg # 82)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).