Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Gunahaan-e-Kabera ( 314 Questions)


Id: 2952
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: KON SAW GUNNAH-E-QABERA HAI JIS KI TOBA NI HOTI SHIRK K ELAWA

Answer: Quran e kareem main khuda ka fermaan hay k : “Allah is baat ko maaf nahi kersakta k oska shareek qaraar diya jay or is k alawa jis ko chahay bakhsh sakta hay or job hi iska shareek banaay ga os nay bohot berha gunah kia hay. (Ref:Sorah#4 Nisaa, ayat#48) “Allah is baat ko maaf nahi kersakta k oska shareek qaraar diya jay or is k alawa jis ko chahay bakhsh sakta hay or job hi iska shareek qaraar day ga wo gumrahi main bohot door tak chala gaya hay. (Ref:Sorah#4 Nisaa, ayat#116) Note: wazeeh rahay k sorah e nisaa ki ayat # 48 main jis maghfirat ka zikr hay os k 5 asbaab hain: tauba, hasanaat(naikiyaan), gunah e kabira se ijtenaab, shafaa,at, khuda ka afu o darguzar, in asbaab k baghair bakhshish ka koe tasawwur nahi hay.or is ayat main wada nahi kia gaya hay k shirk k alawa her gunah ko maaf ker diya jay ga balkeh maslah ko mashiyat per moqoof kiya gaya hay k jab tak insaan ko mashiyat ka ilm nahi hay osay apni maghfirat ka intezaam khud kertay rehna chahiaay(Ref: Allama Zeshan Haider Jawwadi k tarjumay e quran ka Hashiya pg#204-5 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2955
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar koi apni behn ke sath galat kaam kare to uska kyakaffara hai

Answer: 1) Bivi k alawa kisi bhi mehram ko lazzat k iraday se chomna ya os se kisi bhi qisim ki jinsi lazzat hasil kerna haram hay or isi terah kisi bhi na-mehram aurat ko chooma or os se kisi bhi qisim ki jinsi lazzat hasil kerna ghunah e azeem hay or aap per is amal ki tauba kerna wajib hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30 ) 2) Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karte he aur aisa hirgis nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 3063
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir i am 18 year old and i am unmarried and i am involve in hand practice (musht zani) plz tell me any thing please

Answer: First of all you must repent and pray to Almighty Allah (swt) for forgiveness and promise yourself not to do that sin again and always remember that Allah (swt) is looking at you and by doing that sin you do obey devil and disobey Allah(swt). Also try to engage in some useful activities such as sport reading ...etc and avoid anything that may arise your sexual desire. Also if you cannot control yourself then you must get married.( Ref:Email rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010).

Id: 3070
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: musht zani ya masturbation se ghusal farz hojta hai ya nai ?

Answer: 1-Hand practice(Istimna) karna kisi bhi zariay se ho haram he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 462 pg # 253) 2-Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ). Note: Agar musht zani ya masturbation kerne se jism se mani kharij hoe ho tu ghusl wajib hoga.

Id: 3098
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: main bohat wada khilafi karta hon meharbani kar ke mujhe koe ache salah de mari koe madad kare take main is bad tareen gunah se bach saaakoon

Answer: Momineen or saliheen ki sifaat main aik ye hay k wo qaul o fail main sachay hoon or wada wafa karain.Allah ne apne nabi Isma,eel(a.s) ki in alfaaz main tareef ki hay: “wo waday k sachay thay or khuda k rasool or nabi hain. ” Or Rasool e akram (s.a.w.w) ne fermaya : “ jo shaks khuda or rooz e aakhirat par emaan rakhta ho osay chahiay k jab kisi se wada karay tu os pora karay.” Sach boolna or wada ki wafa kerne ki ehmiyat yaheen se zahir hoti hay k bohot se ghair muslim Islam k baray main apna faisla ya raay ka izhaar mulasmano ki rawish or on k kirdaar ko daikh ker kertay hain.Chunachah aisay musalman bohot hain jinho ne apne pasandidah kirdaar k zarye Islam ko ghair muslimo k saamne behtareen andaaz se paish kia or on afraad ki bhi koe kami nahi jo apne kirdaar k zerye Islam ko daaghdaar{yani badnaam} kertay hain.(Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 307). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3184
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam kay baad arze hai kay mari 2 wives hain or combine rehti hain. mari absences mai wo apas mai sex karti hain. is ka kia hal hai

Answer: 1- Aurat ka aurat ko shehwat ki nazar se daikhna haram he.or isi terha aurat ki sharamgaah ka aurat ki sharamgaah se milna bhi jaiz nahi he.(Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 460,461) 2- Amar bil maroof(naikiyo ka hokum daina) or nahi anil munkar(bura,eyo se rookna) 5 sharait k saath wajib hay.layhaza aap par wajib he k sharait ki maujodgi main on ko is gunah se rokain.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2009). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3190
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Me ek din me 8 bar muth marata hu to usse koi problem to nahi hoga

Answer: 1. Hand practice(Istimna) karna kisi bhi zariay se ho haram he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 462 pg # 253) 2. First of all you must repent and pray to Almighty Allah (swt) for forgiveness and promise yourself not to do that sin again and always remember that Allah (swt) is looking at you and by doing that sin you do obey devil and disobey Allah(swt). Also try to engage in some useful activities such as sport reading ..etc and avoid anything that may arise your sexual desire. Also if you cannot control yourself then you must get married.(E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010) Translate: sub se shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or this gunah ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah kin a-fermani ker rahay hain.aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perha,e waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon tab aap k liay zarori hay k shadi karain. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3194
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: lawat ki toba ho sakti hai?pehli bar lawat kiya to lawat karanewala jab bhi lawat karata hai uske gunah lawat karne wale par jate hai ya nahi?lawat karane wale ki kaise toba karai jae.

Answer: 1-Lawaat kerna or karwana dono hi gunah e kabira hain.or aisi baat nahi hay k lawaat kerne wala gunah gaar hay or jis k saath lawaat kia gaya ho wo gunah gaar nahi hay.haan ye or baat k agar os k saath jabran lawaat kia gaya ho or wo is par raazi nahi that u wo gunagaar nahi hoga.(Ref: A.Sistani(d.b),Minhaajus saliheen, part#3, maslah#30, gunahaan e kabira, muallif ayatollah dastaghaib e sheerazi(r.h) part#1, pg#272-283). 2-Istighfaar(taubah) main 6 batain shamil hain: Nidamat k saath sachcahay dil say 14 masoomo(a.s) k waseelay k saath Allah say maafi talab kernay say tubah foran qabool hoti hay. 1)maazi(past) k gunah per shamindagi. 2) Aaindah(in future) gunah nah kernay ka masboot iradah. 3) logo ka jo haq aap per baaqi hay os ko ada kerna.(maslan kisi ka maal ya haq, nahaq khaya that tu os say maafi maangna ya oska haq ada kerna). 4)jin wajibaat ko ada nahi kiya os ko ada kerna.(maslan namaz roza ko agar ada nahi kiya that u os ki qaza bja laana). 5)jo ghosht maal e haram say jism main paidah hoa ho os ko gham o ranj say pighla daina yahaan tak k naya ghosht paidah ho. 6) jism ko waisay hi ibadat ka mazah chakhana jis terah osko gunagh say maza chakhaya tha.(Nehjul balaghah,kilimaat o hikmaat # 417) 3-Sachay dil say tauba karain Parwardigaar ne quran me wadah kia he k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3270
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir ji hand prectice gunah hay ya nhi

Answer: Hand practice(Istimna) karna kisi bhi zariay se ho haram he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 462 pg # 253). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3320
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Muth marna sahai hy ya galat

Answer: 1-Hand practice(Istimna) karna kisi bhi zariay se ho haram he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 462 pg # 253) 2-Jo shakhs shadi na karnay ki wajah se fail e haram me mubtila hota ho os per wajib he k shadi karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) ghunahoon se bachnein k bohat se tariqe hain jin me se chand ye he k 1)mout ki yaad ko dil main bassa’en 4) ye tassawur karain k khuda aap ko har waqt dekh reha hay. 3-Sachay dil say tauba karain Parwardigaar ne quran me wadah kia he k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!