Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Gunahaan-e-Kabera ( 314 Questions)


Id: 3713
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Maine bachpan mein ek larki ke sath sex kiya tha aur uski sharmnigah mein penis bhi dala tha ab meri shadi ho juki hai kisi aur se to main kya karu

Answer: Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)

Id: 3716
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Gunha

Answer: Is link par click karain aap ko ghunah e kabeera k mutaliq sawalaat aur os k jawabaat mil jain gay. http://qoitrat.org/Qa/searchtopic.asp?Main=106&MainTopc=117 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 3922
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: according to islam shaadi se pehley ek ladka n ladki foreplay and kind of oral sex karney ki kya saza hai.

Answer: Shadi sai pehlay Na mehram k sath par oral sex zina nhi hai laikin haram hai. is lie toba karain. (Ref : kitab nigah aur libas masla # 109, pg # 70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4109
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia yahodi, eisai ya bulkul be-deen hamsae ko tang krna jaiz hai?

Answer: Bagair kisi jawaz k in ko satana ya tang karna jaiz nhi. (Ref : Jaded Faqhi Masail Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 326, pg # 207) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4201
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: jhoti tohmat laga k quran uthane wale ki saza kya hai kuch logo ne mujh pe tohmat laga k quran uthaya or meri zindagi barbad kardi.

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. 1)Momin par bohtan lagana gunah e kabeera mai shumar kia jata hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1, masla # 29) 2)agar koi shakhs qasam khae k mai jo keh raha hon sach keh rha hon aur agar wo jhoot bol raha ho to haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2638) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4403
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar aap ko aap k kam mai thorha bhoat joothe bolna pary to jub k is ka maqsat os ko nuksan dena nahai hai

Answer: Jhoot haram hai jhoot yani wo khabr dena jo haqeeqat mai na ho. Aur is mai koi faraq nhi k jhoot mazaq mai bola jae ya sanjeedgi mai. Laikin agar tauriyah kia jae to koi haraj nhi hai yani alfaaz k zaheri mafhoom ko choor ker dosray mutlab ki niyat karey maslan agar koi zalim kisi ko aziat dena chaea aur kisi dosray shakhs se pochey ke kia tum ne fullan shakhs ko dekha hai? Aur is ne us shakhs ko aik minute pehlay dakha ho to wo kahay k mein ne use nahi dekha aur qasad (irada) ye karay k us waqt sai 5 minute pehlay mai nai use nahi dekha. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 2, masla # 38) (Ref : Tauzeeh e ul masayl ayat ullaha Sistani (d.b.) masla # 2638). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4534
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia cel phone py chat k doran sex kr skty hen.plz ans me

Answer: Biwi k alawa kisi sai bhi fahash kalam karna haram hai laikin chahae phone mai baat karain ya kisi aur tareeqay sai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 2, masla # 34)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4858
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Janab hum log shookiya shatranj (CHESS ) khel te hane kiya is tarha bhi mana hai

Answer: Shatranj khailna haram hai chahae kisi maal ki shart par khela jae ya is k bagair khela jae. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 469, pg # 254)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4897
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam kia islam may mard aur mard ya mard aur larkay k darmayan sirup kissing ka taluq rakna jaiz hay? please jaldi reply karey buhat zarori chahiye

Answer: Mard ka doosray mard ko shehwat ki nazar sai bosa dena haram hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 500 pg # 261)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5892
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ghunah sai bachanay ka tareeqa kia hai?

Answer: Gunahon sai bachnay k bohat sai tariqay hain jin mai sai chand yai hain k 1)mout ki yaad ko dil main bassa’en 4) ye tassawur karain k khuda aap ko har waqt dekh reha hay. 5)khaas tor par namaz e shab ki pabandi karain. 6)Pakiza aur halal ghiza kahain…. etc (ref : kitab tark e ghunahan k 40 tareeqe). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!