Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Gunahaan-e-Kabera ( 314 Questions)


Id: 12323
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalumualikum bina shadi ke Ladke ke sharamgah ko muh may lena zina hi kya aur zina kya hi plz answer me

Answer: Sharhe nikah ke begaire namehram aurat se kise bhe trah ke jinse tualluqaat qaim karna or lazzat hasil karna maslan lazzat se use daikhna chuna haram hay .or ghunaae kabira hay. Note : jab tak aurat aaghe ya pheche ki sharamgha mard ka aala tanasul daakhil na kia jaay us waqt tak zina nahe khelata hay .laikin ye kaam haram hay or ghunaae kabira . Jo shaks shadi na hone ki waja se haraam me mubtela hota hay us ke lie shadi karna wajib hay. ( Ref:minhajussuleheen aytullah sistani ,jild no :1 masla no: 30) [Updated on 06-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12688
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: dosri shadi ni krna chahta or mai haram taluq k haq mai nahi hun jb k meri shadi ni hoi abhi. hum ny 2 bar humbistari ki hy.. Tab hamary khyal mai mutah nahi tha ab kya hum Bina guidance k mutah kr skty hain ta k gunah se Bach jain kindly rehnumai kr dain

Answer: 1)Zina karn aharam hai aur is ko gunahan e kabeera mai shumar kia gya hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # masla # 29) 2) kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os ka muta k liye baap ya dada ki ijazat ka hona zaroori hai un ki ijazat k bagahir mutaa durust nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2341). 3)Agar shaadi na karne ki wajah sai koi fail e haraam mai mubtilaa hota hai tou us k liye shaadi karna wajib hai or is soorat mai agar shadi nahi karna tou gunah hoga or agar kisi haram fail ka irtikaab nahi karta tou phir shadi karna mustahab hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2407). [Updated on 03-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12689
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Galti sy Quran pak ki telawat krty waqt .aik person pir bht gusa tha.os ka zahan my aaty hi moo sy os banday k liy gali nikl GI .ab kaya jarin

Answer: gali aik gunah e kabeera hai is ki tauba aap par laazim hai. Sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gi.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). [Updated on 03-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12690
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ma Quran pak phar rahi thi. Jis sy larai thy os pir bht gusa that .achanak sy demagh my os ka khayal aya to moo sy os banday k liy gali nikl GI . ab mujhy kaya Karna ho ga plz answer me

Answer: gali aik gunah e kabeera hai is ki tauba aap par laazim hai. Sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gi.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12817
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia mard khud apna nafs munh mein ly sakta hy

Answer: Istimna or khud lazzati, haram hay or gunahaan e kabeera mai sai hai chahay haath se ho ya film or tasweer per nigah daalne se ho ya khayalaat or is ki manid kisi cheez se ho.Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le. (Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame, Edition# 1435, 2407,Mafhoom e Maslah #2296). [Updated on 15-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12818
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia kisi peri sex jaiz hy

Answer: Shohar aur Bivi k alawa kisi bhi mehram ko lazzat k iraday se chomna ya os se kisi bhi qisim ki jinsi lazzat hasil kerna haram hay or isi terah kisi bhi na-mehram aurat ko chooma or os se kisi bhi qisim ki jinsi lazzat hasil kerna ghunah e azeem. or zina kerna gunah e azeem hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30 )(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30) [Updated on 15-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12827
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr koi bnda nafsani khuawish ki Wja s depression m h or us ki shadi nhi horhi to uski liyai zina kisa h

Answer: 1)Zina islam ki nazar mai haram aur gunah e kabira hai. is se bachna laazim hay. aur is ko kerne ki ijazat nahi ha.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430) 2)Jo shakhs shadi na karnay ki wajah se haram kaam me mubtila hota ho os per wajib he k shadi karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407 [Updated on 15-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12847
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam! Mera sawal ha kay gheebat kin sorton ma jaiz ha?

Answer: 1: Gheebat haram hai or gheebat se murad ye hai ke kisi bara imami shia ke makhfi aib (عیب) ko us ki gair mojudgi men doosre ke saamne bayan kare chahe us ki shakhsiyat ko majrooh karne or us ki tauheen karne ke qasd se ho ya aise qasd ke bagair ho, Han agar tauheen karne ke qasd se us ke aib(عیب) ko bayan kare to do gunah (gheebat or tauheen) hon gay. 2: Chand maqamat par Gheebat karna jaiz hai un men se baaz maqamat mundrija zel hain: 1. Jo shakhs khulam khula gunah karta ho or is se tauba bi na karta ho us ke zaahiri gunah ko doorson se bayan kiya ja sakta hai lekin us ke makhfi gunah bayan karna jaiz nahin hai. 2. Jo shakhs zaalim ho, mazloom ke liye us ki gheebat karna jaiz hai agarche ye kaam us ke aib(عیب) ke aashkar hone ka sabab bane, lekin Ehtiyat e wajib hai ke mazloom sirf us maqam men us ki gheebat kare jab kisi doosre se madad mangne ke liye ho. 3. Agar koi shakhs kisi maqam men jese shaadi, mashwara lay, to us ki naseehat or renumai karna jaiz hai agarche ye kaam us shakhs ke aib(عیب) ke zaahir hone ka sabab bane, albatta laazim hai ke zaroorat ki miqdaar par iktifaa kiya jaye, lekin agar kisi shakhs ko bagair darkhuwast ke mashrwa day to gheebat us soorat jaiz hogi jab use mashwara na dena or rehnumai na karna kisi bare mafsde ka baais ho. 4. Jahan par gheebat karne ka maqsad ye ho ke gheebat kiye jane wale shakhs ko gunah se roken jabke gunah se rokna kisi aur tareeqe se mumkin na ho. 5. Jahan par gheebat kiye jane wale shakhs ka amal aisa ho ke deen ko zarar punhchane ka khauf paaya jata ho to is soorat men deen ko zarar punhchne se rokne ke liye us ki gheebat jaiz hai lekin zaroori hai ke sirf deeni zarar ke bartaraf karne ki mqdaar par iktifaa kiya jaye. 6. Qazawat or hukum saadir karne ke maqam men do gawah ki adalat par shubah warid karne or un ki gawahi ko rad karne ke liye gheebat karna jaiz hai (yani gawahi ko jhutlane ke liye). 7. Jahan par gheebat karne ka maqsad gheebat kiye hane wale shakhs ko aik aise zarar se bachana ho ke jis se bachana wajib hai. (Ref: Tauzeh ul Masail Jame, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #2264,2272) [Updated on 18-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12868
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar Apne Gunnaho ki saza apne Ap ko mut deke deshakte h zina ki aur bohtaan ki

Answer: 1) Zina karna aur Momin par bohtan lagana gunah e kabeera mai shumar kia jata hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1, Maslah #29,30) 3)Sache dil se tauba karen aur Tauba ka sahi mafhoom ye hai k sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gi.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010) (Note: Khudkushi aik haram kaam hai. Allah Taala ne insaan ko zindagi jaisi azeem nemat se nawaza ha lihaza insaan ko chaye ke is nemat per Allah Taala ka khas shukar ada karay or is zindagi ka maqsad (Marifat e Khuda or Ibadat e Khuda) ko pora karay. Allah Taala ki khusnodi ke liye os ke ahkaam ke mutabik apni zindagi guzaray, [Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13019
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mery sohir nmaz prthu hy deni books prhty hy mgr mujhy bht gndi galliya dety hy yha tk kbhi mujhy mry bhi k sath zana ki gsli dty hy kbi khty hy tum apny bhnju k sath soti ho asi gndi gslliya dty hy jo mri bardash sy bhir hy dain kia khta hy

Answer: Gaaliyaan daina gunaah e kabira main se hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1 , Maslah # 29 , eidition # 1414)-(Note: Aap apne shohar ko samjhane ki koshish kare) [Updated on 30-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!