Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 15591
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya bhains k bachay ki qurbani ker saktay hein? Khaminei sb k mutabiq.

Answer: Ayatullah Sistani (d.b), ke mutabiq, gaaye aur bhains ki qurbani karne ke liye in ki ehteyaat wajib ki bina per umar 2 saal mukammal honi chahiye. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), edition #1443, Mafhoom e Maslah #1283,1285). [Updated on 02-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15593
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum... Jis shaks pe jadu ho ya kisi asraat ki zad main ho, to kia wo qurbani ka janwer zibah karsakta hai?

Answer: Agar wo shakhs zibah karne ki tamam sharait par poora utarta ho to zibah kar sakta hai. Zibah karne ki sharait: 1. Musalman ho. 2. Sharaei zibah karne ke qasd se ghala kaate.( yani us ko ye baat pata ho ke wo zibah kar raha hay or us ka demaag is baat ki taraf mutawajju ho or sahe kaam kar raha ho ) 3. Lohe ki chhuri se zibah kare. 4. Zibah ke waqt Janwar qibla rukh ho. 5. Zibah karne wala zibah ke waqt Allah ka naam lay. 6. Zibah karne ke baad Janwar ke badan se mutaaraf miqdar me khoon nikle. 7. Janwar zibah ke waqt zinda ho. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition #1443, Maslah #1258). [Updated on 02-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15598
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum. Kia Jo Banda qurbani nai kr sakta wo bhi namaz e Eid parhe ga?

Answer: (Note : Is website per Fiqha e jaffaria {shia mazhab} ke mutabiq jawabaat diay jatay hain). Jee haan, Qurbani karna mustahab amal ahin, Albatta ajj ke zamane me jabke Imam asar(a.s) ghaibat me hain ye dono namazen (Eid ul fitr or Eid ul azha) mustahab hain, wajib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #1497). [Updated on 04-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15604
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: عید الاضحی منانے کا حکم

Answer: 1: Khuwab me Hazrat Ibrahim (a.s) ko jesay hi apne betay Hazrat Ismail (a.s) ki qurabi karne ka hukum mila to 10 zil hajj ke din Aap (a.s) ne khuda ke hukum ki baja aawri ki khaatir Hazrat Ismail (a.s) ko sar zameen e minna me qurbani ke liye lay gaye. Jab minna me jamra e awwal ke maqam par punhcha to shaitaan un ke samne zaahir hua or Hazrat Ibrahim (a.s) ko warglane ki koshish ki to Hazrat Ibrahim (a.s) ne saat pathar maar kar use bhagaya isi tarah jamra e duwwam or siwwam ke maqam par ye amal takraar hua, or youn Hazrat Ibrahim (a.s) ka ye amal Hajj ke amaal me shaamil hua or aaj har Haaji par wajib hai ke Hajj ke dauran is amal ki peravi karte hue shaitaan ko kankriyan maare. Hazrat Ibrahim (a.s) jab Ismail (a.s) ko lay kar qurban ghah me punhche or apne lakht e jigr ko khuda ki raah me qurban karne ka musamam irada kiya or qurbani karte waqt Ismail (a.s) ki paishaani ko zameen par rakha or tez chaaqu ke zariye Hazrat Ismail (a.s) ka gala katne ke liye us ki gardan par chhuri pheri lekin chhuri ne gardan ko nahin kata. Jab khuda ne baap , betay ke ikhlaas ko dekha to un ki qurbani ko qabool kiya or Jibraeil (a.s) ke sath aik mendhay ko Ismail (a.s) ke badle qurbani ke liye bheja, youn Hazrat Ibrahim (a.s) ne us haiwaan ki qurabni khuda ki raah me pesh ki yahan se qurabi ki sunnat marsoom huei or aaj qurbani karna Hajj ke wajib arkaan me se hai or duniya bhar me musalman apni basaat ke mutabiq is sunnat par amal pera hone ki koshish karte hain, or youn har saal is din hazaron , lakhon ki tadaad me haiwanaat zibah kar ke gareebon me taqseem karte hain. 2: Eid ul azha bare pemaane par manaei jati hai, aur is me khushi manana, naya libaas pehenna, zeenat karna, shab or roz ke aamal baja lana jese ghusl karna, namaz eid parhna, Imam Hussain ki ziyarat parhna, dua e nudba, parhna, makhsoos duaen parhna, qurbani karna, is din ki mashhoor takbeeren parhna wagera wagera.. ye sab amaal anjam diye jate hain or shareiat me in amaal ko anjam dena mustahab shumar kiya gaya hai. mazeed maloomat ke liye zel me diye links mualiza farmayen. (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D8%B9%DB%8C%D8%AF_%D9%82%D8%B1%D8%A8%D8%A7%D9%86 . + https://www.erfan.ir/urdu/25314.html . + http://ur.imam-khomeini.ir/ur/n32324/%D8%B9%DB%8C%D8%AF-%D9%82%D8%B1%D8%A8%D8%A7%D9%86-%D8%AA%D8%A7%D8%B1%DB%8C%D8%AE%DB%8C-%D8%A7%D9%93-%DB%8C%D9%86%DB%81-%D9%85%DB%8C%DA%BA-%D8%A7%D9%88%D8%B1-%D8%A7%D8%B3-%DA%A9%D8%A7-%D9%81%D9%84%D8%B3%D9%81%DB%81 ). [Updated on 05-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15610
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar apka kisi say nikah na ho or kia us ka nam ki qurbani kar sakta hai

Answer: Jee han, kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh Ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Maslah #1286). [Updated on 11-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15611
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya Mei apni wife sey bakry pr churri pehrwa sakta hou?

Answer: Jee han pherawa sakte hain, isi tarah wo janwar zibah bhi kar sakti hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2557). [Updated on 06-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15631
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aehle Tashrih Eid ki nimaz se pehle qubani kewn kerten hen

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Aur fiqh e jafferiya ke mutabiq qurbani ka waqt pehle din (yani 10 zilhaj) fajr ke tulu hone se shuru hota hay, or qurbani ka afzal waqt soraj tulu hone ke itni dair baad hota hai jis waqt mai namaz e eid adaa ki jaa sakay. Aur ahl e tashi is liye namaz eid pehle qurbani karte hain Q ke ahadees or riwayaat me dono cheezen waird hui hain ke fajr tulu hone ke baad or namaz e eid adaa karne se bhi qurbani kar sakte hain aur namaz e eid ke baad bhi kar sakte hain, lihaaz is liye fiqh e jafferiya me eid ki namaz se pehle qurbani karte hain or eid ki namaz ke baad me bhi karte hain. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition #1443, Maslah #1288) [Updated on 15-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15632
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aehle Tashrih Eid ki nimaz se pehle qubani kewn kerten hen

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Aur fiqh e jafferiya ke mutabiq qurbani ka waqt pehle din (yani 10 zilhaj) fajr ke tulu hone se shuru hota hay, or qurbani ka afzal waqt soraj tulu hone ke itni dair baad hota hai jis waqt mai namaz e eid adaa ki jaa sakay. Aur ahl e tashi is liye namaz eid pehle qurbani karte hain Q ke ahadees or riwayaat me dono cheezen aaae hain ke fajr tulu hone ke baad or namaz e eid adaa karne se bhi qurbani kar sakte hain aur namaz e eid ke baad bhi kar sakte hain, lihaaz is liye fiqh e jafferiya me eid ki namaz se pehle qurbani karte hain or eid ki namaz ke baad me bhi karte hain. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition #1443, Maslah #1288) [Updated on 15-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15633
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalamu aalaikum.. Agr qurbani ka gosht kharab hojayen kya hum kuttun ko daal sakte hain ya waise b kuttun ko qurbani ka gosht khila sakte hain

Answer: Agar gosht kharab ho gaya ho to daal sakte hain, aur kharab hone se pehle sahi salamat gosht bhi daal sakte hain lekin qurbani ke jo 3 hisse kiye jate hain un ka sawab nahin mile ga Q ke qurbani karna baais e sawab hai or qurbani ke 3 hisse karna ye aik alag sawab hai. or in 3 hisson me se aik hissa apne or apne ahle ayaal ke liye or aik hissa musalnon ke liye or aik hissa ehtiyat e mustahab or afazal ye hai ke gareeb musalnon ko diya jaye, lehaaza is me kutton (dogs) or kaafiron ka hissa nahin hai or agar kutton ko daala jaye to in 3 hisson ka sawab milna tha wo nahin mile ga. (Ref: Istiftaat e Ayatullah Sistani(d.b), + Tauzeeh ul Masail Jaame, part #2, edition #1443, Maslah #1289). [Updated on 17-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15634
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalamu aalaikum.. Agr qurbani ka gosht kharab hojayen kya hum kuttun ko daal sakte hain ya waise b kuttun ko qurbani ka gosht khila sakte hain

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai [Updated on 17-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!