Question: Kya Australia cow ki qubarni jaiz ha jisa hum walati cow kehta hain
Answer: Jee har qism ki gaey(cow) ki qurbani ki jaa sakti hai. Ref:(https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/) [Updated on 27-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Qurbani k janwar k payee khana jaiz hy??
Answer: Jee jaiz hai. (Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01863/). [Updated on 27-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kia gair mehram k sath kurbani ki ja skti hai?
Answer: Jee bilkul shirkat ki jaa sakti hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/ [Updated on 07-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: KYA BAKRY KI QURBANI ME HISSA DALA JA SAKTA HY. KYA AIK SY ZIYADAH AFRAD BAKRY KI QURBANI ME PAISY DY KR HISSA DAL SAKTY HY.
Answer: Jee bilkul bakre main hissa daal saktay hain koi harj nahi hai. (Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/). [Updated on 04-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Qurbani ka janwar kesa hona chaihey?
Answer: Mustahab qurbaani main wo sharaet o sifaat wajib nahi hain keh jo wajib qurbani main shart hain. pas kaana, llanghra, kaan kata yya seeng toota, khasi, ya llaghar jaanwar ki qurbani daina jaiz hay. agarcheh ahwat(ehtiyaat se qareeb tar) or afzal ye hay keh os k ajzaa salamat hoon or moota ho. Jabkeh mmakhrooh hay apne paalto janwar ki qurbani ki jaey.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/). [Updated on 04-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: QURBANI KTNY BJY TAK KI JA SKTI HAI
Answer: Fajr k baad ki jaa sakti hai lekin afzal wakt tuloo e shams k baad namaz e eid adaa kar laine k baad se hay.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/ [Updated on 04-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum jo bhi bail ya camel ka ghosht nahi khaate.. Kia unlog ke naam par in janwaaro par qurbani desakte hai kia? Ya fir bakri par hi qurbani dena hoga??
Answer: Agar wo gosht nahi khaatay tub bhi un ko qurbani mai shaamil kia jaa sakta hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/) [Updated on 03-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar janwar ko chooti si choot lag jaye to qurbani Hoti he ?
Answer: Jee Mustahab qurbani main naqs or aib k hote hoay bhi qurbani hojaaye gi.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/). [Updated on 03-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ASSALAM WA ALAIKUM mera sawal ye hai k kiya hum qurbani ka sara gosht khud rakh saktey hen or DEEN E ISLAM main is k kia ahkamat hain??
Answer: Qurbani ka poora goosht khud rakh saktay hain lekin ehtiyaat e mustahab ye hai k kuch hissa ghareeb musalmaano ko sadqa kar dain. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/). [Updated on 03-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum Mera sawal aap se ye h ki kiya hum 4 din tak qurbani kar sakte hain..?
Answer: Mustahab qurbani ka waqt 3 din k guroob e aaftaab hone se tak hai. (Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/). [Updated on 05-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]