Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 16888
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: As salam o alekum....mai kafi saal se dumba paal kar qurbani karta ho aur is saal ki qurbani ke lye mai ne dumba pala hoa hai mjhe ye maloom hoa hai ke hamare maslak mai ghar me khud janwar paal k qurbani nahi ki ja sakti....is hawalay se rehnumai farmae.

Answer: Jis janwar ko insaan ne khud paala ho us ka aam dino me zibah (ya qurbani) karna jaiz hai (yani kar sakte hain) lekin makrooh hai. (Ref: Tauzeeh ul masail Jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #1282). [Updated on 12-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16907
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam, aqeeqa ke janwar ki qurbani ghar may kerna zaruri hay, ya aqeeqa ki niat kerke kisi idare may ya kisi kitchen wale ke pas bi qurbani kerwa sakte hian jahan aqeeqa ke janwar ke Gosht ka khana banwaya ja sake...

Answer: Aqeeqa ke janwar ki qurbani ghar me karna zaroori nahin hain, balke koi bhi jagah ho bas janwar ko sirf aqeeqa ki niyat se qurbani ke liye zibah kar dena kaafi hai. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/18336/ ). [Updated on 15-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 17041
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa!! Kia Mian aur Bv agar job kartay hain to pasay mila kr qurbani ka ek hissa poora kr saktay hain? Yani ke agar 30000 hissa banta ha to 15 bv da da aur 15 shohar kia asa ho sakta hai?

Answer: Mustahab qurbani men 2 ya 2 se zaaid afrad (chahe miyan, biwi hon ya dusre log) mil kar aik janwar ki qurbani kar sakte hain, isi tarah miyan biwi mila kar qurbani ka aik hissa poora kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail Jaame(farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #1286). [Updated on 29-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17277
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aslam o alikum janab meri umar 22 saal ha me apna aqeeqa kar skta hun jab ky me 2 saal se qurbni bhi kar raha hun tw kia qurbani ky bad mera aqeeqa karna zaruri ha ub ?

Answer: Aqeeqa karna aik mustahab amal hai, agar aqeeqa pehle nahin hua tha to zindgi me kabhi bhi kar sakte hain lekin jab qurani ki thi agar us waqt janwar me hisse nahin kiye thay to wo qurabani karna aqeeqay ke liye bhi kaafi hai aur agar us janwar me us waqt hisse kiye gaye thay to is soorat me aqeeqa alag se karna hoga tak aqeeqa shumaar hoga. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #374,375,377). [Updated on 28-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17554
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کیا ہم اس جانور کی قربانی کر سکتے ہیں جو ہم نے خود پالا ہو

Answer: Mustahab qurbaani main wo sharaet o sifaat wajib nahin hain ke jo wajib qurbani main shart hain. pas kaana, langhra, kaan kata ya seeng toota, khassi, ya laghar jaanwar ki qurbani daina jaiz hai. agarcheh ahwat (ehtiyaat se qareeb tar) aur afzal ye hai ke us ke ajzaa salamat hon aur mota ho. Jabke makrooh hai insaan apne paalto janwar ki kare. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/ ). [Updated on 16-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 21036
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Mufti sahab mene ye pta karna hay k QURBANI kab wajib hoti hay oskey liye hamarey paas kiya kuch hona chahiye..agar mufti sahab kisi ne CAMETY (B.C) daali hui ho or os ne ab tak 30,000 jama karwa diye hon or os k pass 20,000 ka aik CAMERA bhi hoto kiya QURBANI wajib ho jaye gi...or EID tak aur PAISEY aajayein to kiya tab wajib ho gi...mein wo MIKDAAR or tareeka poochna chahta hoon k kitna paisa or kon kon c cheez shamil hoti hay QURBANI wajib karney k liye....tafseel batayyee ga Shukriyaa... or ye bata dijiye k ap kis FIKKEY k mutabik jawab dein gey..

Answer:

Id: 21547
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Please poochi gai sawal ke mutabiq jawab din, Shukriya. Sawal ye hai kih kya Gai ya bhens ki qurbani ke aik hisse (jo kih aik momin aur us ki ahlekhana ka hota hai, aur 3 hisse kerke masakeen aur rishtadaron min taqseem kerna hota hai) min 2 ya 3 momin shamil ho sakti hain?

Answer:

Id: 22360
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: salam alkum janab mai qurbani ke mashail ke bare me janna chahta ho jaisa ki isme likha hai haj ke alava doosri jagah qurbani karna mustahbe muqedda hai aur mustahb qurbani me us janvar ki qurbani ho sakti hai na millne par jo ki kana singh toota hua ya khasi kiya hua mera sawal ya hai ki india me jahan ham log hai waha pe pe gaye (cow) ki qurbani de nahi sakte qki hindu muslim danga ho jayega unt (cammel) hai nahi aur khasi (goat) 2 saal ka nahi milta aur mai aap se ye baat poochna chahta ho ki kahan likha hai ki qurbani ke liye khasi (goat) ki age 2 saal se kam na ho jabki log kahte hai ki 1 saal se kam na ho hamne to nahi dekha lekin log kahte hai ki tohfatul aawam me yahi baat likhi hui hai ki khasi 1saal se kam na ho

Answer:

Id: 23118
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: assalamualaikum janab mere pas ek bakri h jo takreeban 5 6 saal h badi khoobsoorat taaqatwar tandurust h bina bacho ki h koi aulad nhi h bas uska ek baanya seeng upar se adha toot gaya tha usme se koi khoon wagera nhi nikla na shayad use koi taqleef hui is baat ko ek sal se zyada ho gaya h mujhe bataiye ki qurbani jaiz h

Answer:

Id: 24185
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Assalam Alikum mera sawal hai kay. Mere husband qurbani kar rai hain bakra ke magar unki behan bol rai bakray mai mere bhe pese mila lo tu kya is tarha qurbani jaiz hai ya inko phly apny name se qarbani karni hogi phr kese or kay name se wo cow ni khareed sakty

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!