Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 10665
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Qurbani karne ka time kia hai fajar k baad kar sakty hain?

Answer: jo mustahab qurbani anjaam dai rahen hai un k liye 3 din ka waqt hota hai.qurbani ka waqt pehle din (10 zilhaj) fajr k tuloo hone se shuru hota hay qurbani ka afzal waqt soraj tulu hone k itni dair baad hota hai jis waqt mai namaz e eid adaa ki jaaa sakay jesey. (Ref:http://www.sistani.org/urdu/qa/02443/). [Updated on 10-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10668
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: bakra zibah krty waqt churi gardan k kis hisa par chalani chaye matlb shahrag ki hadi se agy ya pechy ya hadi k uper.

Answer: agar Janwar daeen(Right) ya baeen(Left) taraf laita ho tu zarori hay keh janwar k gala kaatne ki jagah or os ka pait qibla rukh ho or os k paon, hatho or monh ka qiblah rukh hona lazim nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), tauzihul masael, edition#41, Mafhoom e Maslah #2557). [Updated on 10-08-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12454
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: can buffalo be slaughtered on Eid ul Azha?

Answer: Jee bhens (buffalo) ki qurbani ki ja sakti hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/). [Updated on 13-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12537
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya bakray ki qurbani mai ek se zyada hissay ho sakte hain?

Answer: Mustahab Qurbani main jaiz hay k insan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi tarah qurbani main kaseer afraad(many persons) ka Hissa dalna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani (d.b) ,Manasik-e-haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#2, ques#4) [Updated on 11-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12544
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mai Apne Chacha ki Taraf se Qurbani Kerna Chahta hoon, kyounke wo aaj kal Financially weak hain.. Kya mai Onki Taraf se Qurbani Ker Sakta hoon... ?

Answer: Mustahab Qurbani main jaiz hay k insan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi tarah qurbani main kaseer afraad(many persons) ka Hissa dalna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani (d.b) ,Manasik-e-haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#2, ques#4) [Updated on 09-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12545
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia qutbani ka pasy kisi gharib ko diye ja saqty hen

Answer: Qurba karna mustahab e taqedi hay us shaks k lea jis k lea mumkin ho or wo shaks jis k lea qurbani karny pr qdrat to rakhta ho lykin us ko qurbani ka janwar na mily us k lea mustahab hay k is ke qemat sadqy me dy or q k bazar may janwar ki qemat mukhtalif hoti hay to kam say kam qemat ada karnay say mustahab ada ho jahy ga.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/search/80624/) [Updated on 15-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12546
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar Kurbani ka Saara Gosht gareebo mai baat diya jaye atho chalega ?

Answer: Jaiz hay. (Ref:Sistani(d.b),Manasik e haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#27, sawal#4). [Updated on 15-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12559
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia qurbani ka pason sa kisi gharib ki madad Kar saqty hen plz reply me

Answer: Jee kar sakte hai kyun k qurbani mustahb hai wajib nahi hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/). [Updated on 14-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12560
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar kisi k ghar family member ka inteqaal hojaye to kya wo qurbani kar sakte hain? ya unko 1 saal wait karna chaye?

Answer: Qurbani mustahab e takeedi hai. Agar qurbani ki jaey tou aap sawaab milay ga or is qurbani ko marhoom ki janib se bhi kar sakte hain. eid per qurabi karna koe khushi ki alamat nahi hay. (Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/) [Updated on 14-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12568
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr bkre ki umar ak saal se thori kam ho or uske dant tot jae kia qurbani ho skti ur bkre ki ?

Answer: Ehtiyaat e lazim ki bina per qurbani main gaey or bakre ki umar 2 saal se kam nah ho daton ki koi shart nahi.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/). [Updated on 17-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!