Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 4512
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: qurbani k janwa k lye kaya sharty hoti ha

Answer: Baqra eid k din(hajj k ilawa dosere jaghao me) qurbani kerna mustahab e maukadah hay.or is qurbani main jaiz hay k insan khud apni taraf sai or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 janwar ko qurban karay, isi terah qurbani main ka’e afrad(many persons) ki shirkat jaiz hai.(Ref : Sistani(d.b), Manasik e haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah # 27, sawal # 4). Hajj me jo qurbani wajib hoti hai is me ye sharait hain : wajib hai k qurbani me camel ho ya cow, bhair ho ya baqri(goat). Camel os waqt tak kafi na ho ga jab tak 5 sal puray kar k 6 sal me dakil na ho chuka ho, cow aur baqri bina bar ahwat jab tak 2 sal mukammal kar k teesray sal dhakil na ho aur goosfan jab tak 7 month ko mukamal kar k 8 month me dakil na ho. Qurbani mai ye bhi zaroore hai k is k aza salim ho pas kana,lanra,kaan kata aur sink tota waghaira kafi nahe hai aur khase bhi na ho makar ya k kohe dosera na milraha ho .ye bhi zaroore hai k louqo k ahtebaar se kamzoor na ho .(ref.manasiq hajj ,aqa sistani ,masla 384) Mustahab qurbani me wo sharait hona zaroori naha jo wajib qurbani me bayan ki gae hain siwaye umer(age) wali shart k yani ehtiyat e wajib ki bina per ount(camel) ki umer me zaroori hai k wo 5 sal pure kar k 6 sal me dakil ho chuka ho , ghay(cow) ho ya baqre(goat)me ehtiyat e wajib ki bina par 2 sal mukammal kar chuke ho aur 3 sal me dakil ho chuke ho aur goosfan me 7 month(mahene) mukamal kar k 8 month me dakil ho chuka ho .(Ref : Sistani.org Arabi topic azha) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4522
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia qurbani eid namaz se pehlay karni chahiay ya baad main

Answer: Qurbani ka waqt talou e aftab k baad shru ho jata hai aur talou e aftab k baad qurbani ka afzal waqt eid k pehlay din namaz e eid parhnay ki miqdar ghuzr janay k baad hai.(yani behtr ye hai namaz eid k baad qurbani ki jae) (Ref : ayatollah sistani d.b. http://sistani.org/index.php?p=831716&id=6&pid=3555 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 4524
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia khassi janwer ki qurbani jaiz hai

Answer: Mustahabb qurbani k janwar mai wo shrait lazim nhi hain jo hajj ki wajib qurbani mai lazim hain, lehaza kana, langra, kaan kta, seeng toota, khassi aur dublay janwar ki qurbani jaiz hai agar chah afzal o ahwat ye hai k salim aur mota ho. (Ref : ayatollah sistani d.b. http://sistani.org/index.php?p=831716&id=6&pid=3555 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4539
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: slam kia qurbani ki neat say janwar ghar main pala ja sakta hai

Answer: Qurbani ki niyat sai janwar ko palna jaiz hai laikin jis janwar ko insan nai pala ho osay khud apnay hath sai zibah karna riwayaat mai makrooh shumar kia gya hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2563)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5100
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sawaal :- Kya aurat bakre ko zibah karsakti hai?

Answer: Jee han aurat janwar ko zibah kar sakti hai. albetta is k alawa janwar ko zibah karnay ki aur bhi shrait hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2557)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5579
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia Bail (Ox) yani nar gai ki qurbani jaiz hay ya mada hona zaroori hay

Answer: Mustahab qurbani k janwar mai nar aur mada (male or female) mai koi faraq nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani d.b. masla # 4 http://www.qoitrat.org/Qurbani/qurbani%20k%20masail.html )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6187
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia qurbani ka ghosht non muslim ko bi diya ja sakta hai (with reference) jazakallah

Answer: Jaiz to hai magar qurbani k teen hissay kia jain aik hissa apnay lie, doosra hissa baqi muslmanoo k lie aur afzal ye hai k teesra hissa gareeb muslmanooko sadqay mai dia jae. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6252
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam,i want to ask that in which age we can zibah the goat ?

Answer: It is obligatory precaution that when goat complete 2 years of its life.(Ref: email aqa e sistani d.b)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6611
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam Alikum! main abhi KSA me hun. Kya mere naam se Qurbani India me ho sakti hae mery gair haajri men?

Answer: wssalam o alykum, ge han ho sakti hai.(Ref:Sistani(d.b),Manasik e haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#27, sawal#4 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 6843
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslkm koi naye jagah par koi janvar qurban kiya ja ye toh kya wo qurbani bache ke aqiqe ke liye consider kar sakte hai

Answer: Ge haan qurbani k sath aqiqa keya jasakta hai.(Ref : Minhajus Salaheen Ayatullah Sistani d.b. Part #3, masla#394).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!