Question: kya qurbani ka gosht khana farz hai musalman kaei liye
Answer: Jaiz hai. (Ref:Sistani(d.b),Manasik e haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#27, sawal#4). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: oont ke qurbani me katnay hassay hatay hain
Answer: Baqra eid k din qurbani kerna mustahab e maukadah hay.or is qurbani main jaiz hay k insaan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi terah qurbani main kae afraad(many persons) ki shirkat jaiz hay.(Ref:Sistani(d.b),Manasik e haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#27, sawal#4). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kia qurbani me sirf cow me aik se ziada momin hissa dal sakte hein ya bakre me bhi hissey ho sakkte hein and maximum kitne hissey allow hain ?
Answer: Mustahab Qurbani main jaiz hay k insan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi tarah qurbani main kaseer afraad(many persons) ka Hissa dalna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani (d.b) ,Manasik-e-haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#2, ques#4)(Khuda aapki tawfiqaat mein Izafa farmaye)
Question: Kiya Qurbani ma Haqeeqa ho sakta ha?
Answer: jis ki janib se eid ki qurabani ki jay os ka aqaiqa bhi hojata hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen, part#3, maslah #394 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kia islam me buffalo( kattay) ki qurbani jaiz he
Answer: Eid ul azah ki qurbani me wajib hai k qurbani me Uont (camel) ho ya gaye (cow) bherr ho ya bakri (goat). ( Ref.manasiq hajj ,aqa sistani ,masla 384) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: 7 hisso mai Amount equally devide hona chahye ya jese 5 bhai hain kisi ne 20000 de dya ksi ne 15000 de dya ksi ne 10000 ye sb amoutn mila k ek janwer agaya jsme 7 hisse hugaye ya amout equally devide krna huga?
Answer: Qurbani me shirkat k lie louqo ki rakamo ka barabar hona zarori naha hai. ) 1)Baqra eid ki Mustahabb qurbani main jaiz hay k insaan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi terah qurbani main ka’e aafraad(many persons) ki shirkat jaiz hay. 2)Qurbani k teen hissay kia jain aik hissa apnay lie, doosra hissa baqi muslmanoo k lie aur afzal ye hai k teesra hissa gareeb muslmanooko sadqay mai dia jae. (Ref:Sistani(d.b),Manasik e haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#27, sawal#4). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kiya mare howy insaan ky naam par qurbani karna jaiz hy
Answer: Marhoom ki taraf se qurbaani ho sakti hai. ( Ref: Deen k ahkaam , A.sistani(d.b) , Mafhoom e maslah#584,Pg#186 ). Update on dated 10-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: bakre ki qurbani me kitne hisse jaiz hai
Answer: Mustahab Qurbani main jaiz hay k insan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi tarah qurbani main kaseer afraad(many persons) ka Hissa dalna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani (d.b) ,Manasik-e-haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#2, ques#4)Update on dated 01-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Qurbni 3bndy mil k dy skty h ya 7ka hna lzmi h
Answer: Mustahab Qurbani main jaiz hay k insan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi tarah qurbani main kaseer afraad(many persons) ka Hissa dalna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani (d.b) ,Manasik-e-haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#2, ques#4)Update on dated 26-08-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia ek cow ya bell me 3 log qurbani kar sakty hen yani 3 hisy hosakty hen
Answer: Mustahab Qurbani main jaiz hay k insan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi tarah qurbani main kaseer afraad(many persons) ka Hissa dalna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani (d.b) ,Manasik-e-haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#2, ques#4)Update on dated 01-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).